affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Muhabbat Aag Hai To Ph!r

Friday 15 March 2013

Muhabbat Aag Hai To Ph!r

zaroorat%2520badal%2520gayi.jpg 
Muhabbat Aag Hai To Ph!r
Meri Rag Rag Ma!n Bharakti Hai
Meri Aankha!n Ha!n Ek ShauLa
Meri Saansa!n Hai Ek Agan
Alaa'o Teri Yaadon Ka
Mere DiL Ma!n Kah!n Roshan
Mujhe Ab Fikar Hai Ko'i
Na He Gharz Hai Is Say
K Teri Yaad Ma!n Shab'Bhar
vVafa Ka Naam Lay Lay Kar
Kah!n Hum Khud Jalte Ha!n Ya K Deep Jaltay Ha!n_

*

Muhabbat Yaad Hai To Ph!r
Mere DiL Ma!n Youn Raksaan
K Hum Ko Fikar Hai Ko'i
Na He Hosh Hai Baaqi
Faqat Ek Yaad Hai Baaqi
Jo DiL Ki Baanjh Dharti Par
Ashkon Sang Baras Ja'ay
To Ph!r Barsaat Ki Laey Ma!n
Kah!n Ek PhooL Khilta Hai
Hum Us PhooL Ki Khushbu Tumhare Naam Karte Ha!n
Tumhari Yaar Ma!n Aksar Subha Se Shaam Kartay Ha!n_

*

Muhabbat Agar Hai Samundar
To Ph!r Meri vVafaon K
Sabhi Gohar ' O ' Sadaf Uski
Gehrai Ma!n Bastay Ha!n
K Mere DiL Ma!n PaLa Hai
Ajab Chahat Ka Yeh Sagar
Haan Jiski Aakhri Had Se
Sabhi Thehray Say Jazbon Ko
Youn Hum'Kinaar Karna Hai
Mila Kar Aankh Ka Dariya
Is Behr ' E ' Kinaar Ko
Be'Kinaar Karna Hai_

*

Muhabbat Dasht HAi Ko'i
To Ph!r Pairon Ma!n Ab Mere
Nahi Hai Larzisha!n Baaqi
Mere Pairon Se Uljhay Ha!n Jo Yeh Raastay Sab He
Mujhe Tere Junoon ' O ' Shauq Ma!n
Aik Safar La'Haq Hai
K Jis K Morr Par Aakh!r Mujhe Bhatak He Jana Hai
Aur Youn Hum Aik Tasalsul Se
Teri Janib Rawaan Is Ek Musalsal He Safar Ki
Bas Ghubaar ' O ' Gard He Thehray
K Hum Say Khaaksaar To Sahra'Naward He Thehray_

*

Muhabbat Hai Agar Ko'i Khushbu
To Ph!r Hum Sarkashi K Ek Numayaan Dairay Ma!n Ha!n
K Jis K Ird Gird PhaiLi Yeh Tere Lams Ki Mahkaar
Meri Saanson Ma!n ShamiL Hai
Mere DiL Se Nigahon Tak Ka'i Aarasta Rastay
Teri He Simt Atay Ha!n
Suhanay Geet Gatay Ha!n
Mujhe Teri Chahat Ma!n Youn Inka Sath HasiL Hai
K Mujh Par Ab Nahi Zah!r
ManziL Hai Meri Khushbu
K Khushbu ManziL Hai_

*

Muhabbat Khuwaab Hai Ko'i
To Ph!r Khuwabeeda Yeh Aankha!n
Kai Neendon K Aik Gehray Hisaar ' E ' Shehr Ma!n Ha!n Qaid
Meri PaLkon Pay Ha!n Bethay Kai He Un'Ginat Sapnay
K Jin K ManziLon K Ab Ameen Tumhi To Ho Thehray
Hamari Khuwaab'Nagri K Makeen Tumhi To Ho Thehray
So Is Ehd ' E ' Muhabbat Ma!n
Nah!n Ab Dar Ko'i La'Haq
MuqabiL Aandhiyon K In
Roshan Sab Chiraaghon Ki Ab Tabeer Ho Jaisay_

*

Muhabbat Agar Fasana Hai
To Ph!r Inkaar Hai Hum Ko
K Meri Aankh Ma!n Roshan Tumhare Naam K Jugnu
Mere DiL Ma!n Darakhshaan Sab Tumhare Yaad K PehLu
Meri Sochon Pay Haawi Wo Tumhari Qurb Ki Khushbu
Mere Jazbon Ki Sachai, vVafaaon K Rang O Lahu
Ko'i Farzi Kahani Ha!n Na He Afsana Ko'i_

*

Muhabbat Aaina Surat
K Jis Ma!n Sabt Hoo Bahoo Ek Aks ' E ' Haqeeqat Hai
Muhabbat To Muhabbat Hai
Kabhi Dasht ' O ' Samundar Hai Kabhi Aag Ki Surat
Kabhi Yaadon Ki Khushbu Kabhi Khuwaab Ki Surat_

*

Magar Ab Raas Ha!n Hum Ko
Muhabbat K Sabhi Mausam, Muhabbat Ki Har Ek Surat
K Sab Mansoob Ha!n Tujh Se
Muhabbat K Haseen Rastay
Muhabbat K Sabhi Dariya
Teri Janib Rawaan Ha!n Youn
K Chahat K Sabhi Mausam
Kisi Ek Khaas Nuktay Par
Khud Ma!n Gum Ho Jayen
Sarapa Tum Ho Jayen_

*

Muhabbat Tum He Thehray
Muhabbat Agar Tumhi Thehray
To Ph!r Raahon Ma!n Haa'eL In
Bichray Sab He Barson Ki
Qasam Hai Mere Jazbon Ko
K vVoh Tajdeed Kar Dala!n Faqat Itna He Keh Dala!n
K KaL Bhi Dast ' E ' Ulfat Ko Ek Matloob Tum He Thay
Ab Bhi Mere Lafzon Say Bas Maqsood Tum He Ho
KaL Bhi Tum Se Thi Poori Meri Be'Had Adhuri Zaat
Ab Bhi Mere Jeewan Ki Bas Ek He Zarurat Hai
Hama!n Iqraar Tha KaL Bhi
Hama!n Iqraar Hai Ab Bhi

*

Hama!n Tum Se Muhabbat Thi
Hama!n Tum Se Muhabbat Hai..!!
*

No comments:

Post a Comment