affiliate marketing Famous Urdu Poetry: February 2013

Thursday 28 February 2013

Main jaanti hooN


[IMG]

Main jaanti hooN
Barhaa youn bhe hota hai
ke qalm jab harf ugalti hai
in meiN chhupe anmol jazbe
apni beqadri se preshaN
shakasta haal se lagte haiN
to kitne bemol ho jate haiN
aur mujhe maaloom hai
ke aisa bhe hota hai
ke dewaar e khayal se
ser paTkhte ser Tukrate
ye shor machate baghi lafz
jab rah e farar pate haiN
nok e qalm se phisal ker
safha e kitaab pe aate haiN
to kitne seham se jate haiN

Mera EHSAS mat cheeno!

Mera EHSAS mat cheeno! 
Wo jazbe cheen lo mujh se

jo mere ang, meri rooh, mere dil mein baste hain
jinhen khud mein samone ke liye seene taraste hain
wo lamhe cheen lo mujh se

jo mere zahan ki tareekiyon mein shama roshan hai
meri khilwat ki khusho hai, meri yadon ke gulshan hain
wo chehre cheen lo mujh se

jo khal-o-khad nahen ab aaiine hain meri seerat ke
jo har pehlo se aks zofishan hain meri surat ke
wo rishte cheen lo mujh se

jo mere zahan-o-dil mein roshni ke beej bote hain
jo rag rag mein laho ki chap se mansob hote hain
wo ankhen cheen lo mujh se

jo meri rooh ka noha hain, meri zaat ka lehja
jahan dhalta hai aaiinon mein ehsasat ka lehja
wo sapne cheen lo mujh se

jo in weeran ankhon mein abhi tak jagmagate hain
abhi tak sans lete hain, abhi tak muskurate hain
ye sab kuch cheen lo mujh se

magar ai zalimo! mujh se mera EHSAS mat cheeno
talab ki aas mat cheeno

jo mere zabt ki pehchan hai wo piyas mat cheeno
mera ehsas mat cheeno!

Jab tumhein ye yaqeen ho jai

 Jab tumhein ye yaqeen ho jai
    k main tumhein kitna chahta hoon
    Tum say kitni mohabbat karta hoon
    To usi din tum laut aana
    Tum mujhy apna muntazir paao gi


    Jab tumhain esa lagy k
    koi tumhary sang nahi hay
    koi tumhara hamdam nahi hay
    To usi din tum laut aana
    Tum mujhy apna muntazir paao gi

    Jab tumhain zindagi dushwar lagy
    Jab koi umeed na koi aas ho
    koi bhi na tumhary pass ho
    To usi din tum laut aana
    Tum mujhy apna muntazir paao gi

    Agar kabhi yadein bohat dukh dein
    Tanhai ka ehsas bohat sataye
    To usi din tum laut aana
    Tum mujhy apna muntazir paao gi


    Jab youn lagy tumhain k
    Tum ab ek qadam bhi nahi chal sakti
    Mazeed is aag main nahi jal sakti
    To usi din tum laut aana
    Tum mujhy apna muntazir paao gi

Chotta Sa Ak Gao'on Tha Jis Main....munir Niazi

Sapna Aagay Jata Kesay
[IMG]
[ Muneer Niazi ]

Chotta Sa Ak Gao'on Tha Jis Main

DiyeThay Kam Or Bohat Andhera

Bohat Shajer Thay Thoray Ghar Thay

Jin Ko Tha Doori Nay Ghera

Itne Bari Tanhaii Thi Jis Main

Jagta Rehta Tha Dil Mera

Bohat Qadeem Faraq Tha Jis Main

Ak Muqarar Hadd Say Aagay

Soch Na Sakta Tha Dil Mera

Aisi Sourat Main Phir Dil Ko

Dheyaan Aata Kis Khowab Main Tera

Raaz Jo Hadd Say Baher Main Tha

Apna Aap Dekhata Kesay

Sapnay Ki Bhi Hadd Thi Aakhir

Sapna Aagay Jata Kesay


[IMG][IMG]

Wo qisa e gham sunata raha

Wo qisa e gham sunata raha
mera zabt aazmaata raha
aaj ser e bazam wo apne
dil ke daagh dikhata raha
Noha e dil e barbaad koi
akheer e shab ko gata raha
Kisi ke haath meiN teer the
koi zakhm sehlaata raha
wo sakoon ka matlashi tha
aur mujhe dard bhata raha
us ki tanhaai ka khayaal
mujhe her pal satata raha
kya hai hijr o wasal aakhir
waqt mujhe samjhata raha
bulaney se wo nahi bhoola
reh reh ker yaad aata raha
raqabat ki inteha dekho
sooraj diya bujhata raha
khak hoi maiN jal jal ker
zamana raakh uRata raha
us ki aankh ka pani
mujhe shab bher rulata raha

Chalo phir shart lag jaye

    Chalo phir shart lag jaye
    Main sabit aj ker dun ge k tum ne dil lagi ki hai
    Mohabbat naam ki hai…
    Sun ker us ki baton ko mein bola sada dil lerki
    ...Ager mein dil lagi kerta
    To jeenay se na yun darta
    Muhabbat naam ki kerta
    To wafayein aam c kerta
    Mager phir b anna teri
    Teri berukhi ki khatir ye kehta hun
    Haan meine dil lagi ki the
    Tujhe apna hi samjha tha
    Tujhe dil se lagaya tha
    Jahan na koi gham puhnchay
    Wahan tujhe ko chupaya tha
    Mager jaan yekeen jano
    Tumhary hoslay ki mein daaad deta hun
    K kitni berukhi se tum ne keh dala

    CHALO PHIR SHART LAG JAYE K MEINE DIL LAGI KI HAI

Yeh Sab Ju Keh Rahi Ho Khud Ko Yeh Samjha Bhi Pao Gi..??

[IMG]

Bazahir aam lehjay main

Kaha tha main ne jab us se

"Badal lo raasta apna

Juda rahain yaheen ker lo

Hamaray chahnay na chahnay se

Kuch nahi hota

Yahi sach hai k hum do mukhtalif

Rasston ke raahi hai

To phir kion dil ki manain hum

Shuru main manti hoon main

Azziyat dil ko pohanchay gi

Magar phir waqt guzray ga

Sabhi zakhmon ko bhar de ga"

Meray is aam se lehjay pe wo

Ik pal ko chonka tha

Meri aankhon main aankhain daal kar

Hairat se poocha tha

"Ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"

Bohat hi jee kar'da kar k

Main us dam muskurayi thi

Bohat khud pe jabar kar ke

Main us se keh ye payi thi

"Meri tum fikr rehnay do

Sambhal jaoon gi main khud hi

Sabhi zakhmon ko see loon gi

Bhula kar sari batoon ko

Akaili bhi main jee loon gi"

Buhat hi be yaqeen aakhoon se

Us ne mujh ko dekha aur

Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya

Aur ab tark_e_taalluq ko

Agarche umar beeti hai

Magar is dil pe us ki zaat ka

Jo naqsh qaaim tha

Kabhi dhundla nahi hota

Mujhay mehsoos hota hai

Ke jaisay meray kanoon main

Wo apni bolti aankhoon se

Sargoshi si karta hai

"WOH SAB JO KEH RAHI THEEN

KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAYI HO?"
[IMG]

Kal halki halki barish thi

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha

Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay

Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay

Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin

Kal yaad bohut tum aye thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY

MuhAbbAt lAfz hAi lekin

[IMG]



MuhAbbAt lAfz hAi lekin
koi mAtlAb nA jAne
jo kArte hAin muhAbbAt
wo Khud is ko nA jAne
muhAbbAt pAAk hAi jAzbA
jo ho jAye AgAr sAchi
muhAbbAt ko AgAr mAno
ibAdAt hAi KHUDA ki yeh.
********
                                                              [IMG]

Gham biktay hai’n…

    Gham biktay hai’n…
    Bazaro’n mai’n
    Gham kafi meh’ngay biktay hai’n
    Lehjay ke dukaan agar chal jaye tau
    Jazbay kay gahak
    Chotay baray har gham kay kahlonay
    Mo’nh mangi keemat pe khareedai’n
    Mai’nay
    Hameesha apnay gham achay damo’n baichay hai’n
    Lekin
    Jo gham mujh ko aaj mila hay
    Kisi duka’n per rakhnay kay kabil he nahi hay
    Pehli baar mai’n sharminda ho’n
    Yeh gham baich nahi pao’n ga

Itnay Gehray Thay Meri jaan Rawabat Tum Say

Itnay Gehray Thay Meri jaan Rawabat Tum Say
Todney Chahay Jo Hum Nay To Ba-Mushkil Tootay
Jo Zamaney Ki Nigaahon Say Chupa Rakhay Thay
Waqt E Aakhir Wo Ta'aluq Sar E Mehfil Tootay
Sar Kiye Ma'arka E Zeest Bari Himmat Say
Daagh Daman Pay Kisi Baat Pey Aaney Na Diya
Tujh Say Izhaar E Muhabbat Bhi Magar Kar Na Sakay
Hoslay Meray Faqat Teray Muqaabil Tootay
Husn Phoolon Ka Hii Banta Hai Tabaahii Ka Sabab
Dosto Khaar E Mugheelan Nahin Nochay Jatay
Aap Tareekh E Gulistaan Utha Kar Dekhien
Is Mein Bus Shaakh Say Gull Deed Kay Qaabil Tootay
Meray Paikar Main Nazakat Hai Gulon Kii Aakhir
Main Qaid Hoon Aahnii Zanjeer Mein Ik Muddat Say
Azm E Parwaaz Mein Phir Bhi Hai Hararat Itnii
Arsh Chho Loonga Agar Band E Salasil Tootay
Koh E Ghum Teri Muhabbat Ka Gira Hai MUjh Par
Sang-Raizon Mein Badal Jana Mera Wajib Hai
Mit Gaye Hotay Jo Yaklakht To Acha Hota
Yeh Qiyamat Hai K Hum Tootay To Til-til Tootay
Dast BaSta Yeh Husainii Kii Duaa Hai Ya RAAB
Umr Bhr Ashk Bahaney Ko Na Zinda Rakhna
Bhaij daina Tu Meray Naam Pey Paigham E Ajal
Is Say Pehlay K Muhabbat Mein Mera Dil Tootay

Wednesday 27 February 2013

Barishon k mosam mein



[IMG]

Barishon k mosam mein
Tum ko yaad karnay ki
Aadatein purani hein
Ab ki baar socha hai
Aadatein badal daalein
Phir khyal aaya k
Aadatein badalnay sey
Barishein nahi ruktieN….!!!!!!!!!

Chalo iqrar karte hain

Chalo iqrar karte hain
ham apni apni chahat ka
ham apni apni ulfat ka
ke ham donon tu ik doje ke bin ab reh nahi sakte
yeh duniya ko batana hai
ke ham donon ke dil ab aik hi dharkan dharakte hain
chalo iqrar karte hain mohabat ka aqidat ka
ke ham donon mohabat main
kabhi na sath chorain ge
ham aisa rishta jorain ge
chalo ham ulfat ka khula izhar karte hain
chalo iqrara karte hain

Usay mil lain to acha hai

    Usay mil lain to acha hai
    kabhi us say baray gehray marasim thay
    mager phir
    silsila tota tu yon tota kay barson dil kay
    angun main koi chehra nahin utra
    mager ab phir
    ye dil-e-pagal bazid hai
    kay
    kisi fursat kay lamhay main
    usay mil lain to acha hai .......


Banjar Ankhein

Banjar Ankhein

[IMG]

badal barse garaj garaj ke 
baras baras ke ja bhi chuke 
lekin meri banjar aankhen 
ab bhi teri deed ki pyaasi 
sawan sawan kerti hein!

kaha uss nay k pura chand kitna khoobsurat hai

kaha uss nay k pura chand kitna khoobsurat hai

kaha mein nay k mein aksar teri tasveer takta hoon

kaha uss nay december mein teri yaadein sataatien hain

kaha mein nay meri jana muhabbat kab bicharti hai

kaha uss nay k kitna chahtay ho tum mujhay

kaha mein nay samandar ki kabhi gehrai dekhi hai

Totey Hoye Bedard

Totey Hoye Bedard
    Khawabon Ki Kirchian
    Sametey Sametey
    Aik Lamhey K Liye
    Mera Dil Chahaa
    Key
    Main Bhi
    Inhi Ki Terhan
    Toot Ker
    Hazaroon Tukron Main Bikher Jaon
    Aur Koi Bhi Mujhy
    Tahayaat
    Mukamal Na Ker Sakey.

Ham Log

 Ham Log

    daaiyroN meN chalte haiN!
    daaiyroN meN chalne se
    daaire to bhaRte haiN
    faasle nahiiN ghaTte!!

    aarzuueN chalti haiN
    jis taraf ko jaate haiN
    manzileN tamannaa kii
    saath saath chalti haiN!

    gard uRti rehti hai
    dard baRhtaa jaata hai
    raaste nahiiN ghaTte!

    subah dam sitaaroN kii tez jhilmilaahaT ko
    raushni ki aamad ka pesh baab kehte haiN
    ik kiran jo milti hai, aftaab kehte haiN
    daaira badalne ko inqelaab kehte haiN!

Adhoore khwaab k ander,

Adhoore khwaab k ander,

Kabhi palken bichana mat,

Adhoore khwab aankhon ko bohat takleef dete hain...

Adhoori yaad ko dil ki zameen main tum nahi bouna,

Adhoori yaad dharrkan main bohat chubhti, sisakti hai,

Khalish ban ker khatakti hai,

Lahoo main bijlian ban ker bhatakti hai...

Adhoore pyar ko......... Chalo jaane do is ko tum,

Mohabbat, pyar, chahat, ishq hote he adhoore hain...!!!

Ajab pagal si larki hai

    Ajab pagal si larki hai
    Ajab pagal si larki hai
    Mujhay her roze kehti hai
    Batao kuch naya likha?
    Kabhi is say yeh kehta hoon
    K main nay nazam likhi hai
    Magar unwan daina hai
    Bohat baytab hotti hai
    Woh kehti hai
    Sunao
    Main issay acha sa ikl unwan daiti hoon
    Woh meri nazam sunti hai
    Aur iss ki boalti ankhain
    Kissi missra kissi tashbeeh per un muskurati hai
    Mujhay lafzoon say kirnain phoothti mehsoos hotti hai
    Woh phir iss nazam ko acha sa ik unwan daiti hai
    Aur is k akhiri missra k neechay
    Ik adaay baynayazi say
    Woh apna naam likthi hai
    Main kehta hoon
    Sunoo
    Yeh nazam meri hai
    To phir tum nay appnay naam say mansoob ker li hai
    Meri yeh baat sun kar uss ki ankhain muskurati hai
    Woh kehti hai sunoo
    Sadda sa rishta hai
    K jaisay tum meray ho is terhan yeh nazam meri hai

    Ajab pagal si larki hai


Farz Karo Tum Meri Tarah

   Farz Karo Tum Meri Tarah Mujh ko aise chahte ho
    Jaise Tum ko Mein Chahun

    Farz karo Tum Meri tarah mujh ko apna sab kuch mano
    Jaise Tum ko Mein Manun

    Farz karo Tumhe bin Mere kuch nazer na aey duniya main

    Jaise Meri duniya main srif Tumhara chehra hai

    Farz karo Tum mujhko samjho chara-ger sab zakhmon ka

    Farz karo kuch pas rahe na Tum ko sari rasmon ka

    Farz karo Tum baghi ho jao zaat-paat k bandhan se

    Farz karo Tum kante pao chahat k is gulshan se

    Farz karo Tum kuch na pao apna app luta ker bhe

    Farz karo koi muker hy jaey sachi qasam utha ker bhe
    Farz karo eik lamba sehra paat k manzil jana ho

    Farz karo woh sara rasta bilqul hy anjana ho

    Aur
    Farz karo ye farzi na ho sachi eik haqeeqat ho

    Tere ishq k har raaste per Janan eik qayamat ho

    Aur suna hai ye Qayamat khoon jiger ka peeti ho

    Tum toh sirf Farz karoge, Mujh per ye sab beeti hai

Tumhara Khat mila jana

Tumhara Khat mila jana,
wo jis main tum ne poocha hai,
k ab halat kaisay hain,
meray din rat kaisay hain,
meherbani tumhari hai,
k tum ne is tarah mujh se,
meray halat poocha hain,
meray din rat poochain hain,
tumhain sub kuch bata doun ga,
mujhe itna bata do k,
kabhie sagar kinaaray per,
kisi machli ko dekha hai,
k jis ko lehrain pani ki,
kinaray tak to lati hain,
magar phir chor jati hain,
meray halat aisay hain,
meray din rat aisay hain.

Taluq Toot Jaye Ga Mera Sare Zmane Se

[IMG] 

Taluq Toot Jaye Ga Mera Sare Zmane Se

Mere Apne Kahan Hon Ge
Tmhe Apna Bunana Se?

Tumhare Sath Sehne Se
Mujhe Tskeen Milti Hai

Bohat Takleef Hoti Hai
Tumhare Door Jane Se!

Humri JAN Jay Gi To Phir
Tum Jan Jao Ge

K Hasil Kuch Nahi Hota Kisi Ko Azmane se!

Tumhara Naam Kase

Mita Don Apni Kahani Se

Bohat Gehra Taluq Hai Tera Mere Fsane Se.

Aitbaar toote toh....

        Aitbaar toote toh....
    Woh bhi aise logon per...
    Jinko apna hum mane....
    Jab bhi gham se bojhal ho...
    Unko meherbaan maanein....

    Aitbaar toote toh....
    Aise zakhm milte hain....
    Jo kabhi nahi bhar sakte....
    Maherbaan saaye....
    Jab humse rooth jayein toh...
    Aisi dhoop milti hai....

    Aitbaar toote toh....
    Dil ke aaine jo hain....
    Woh bhi toot jaate hain....
    Woh jo aks apne ho....
    Woh bhi rooth jaate hain....

    Aitbaar toote toh....
    Aise zakham milte hain...
    Aisi dhoop milti hai...
    Aise aks khote hain...
    Log hans bhi lein shayad...
    Dil hamesha roote hain....
    Aitbaar toote toh....!!!!

Suna hoga bohat tum nay

    Suna hoga bohat tum nay
    kahin aankhon ki rim jhim ka
    kahin palkon ki shabnam ka
    parha hoga bohat tum nay
    kahin lahjay ki baarish ka
    kahin sagar k ansu ka
    magar tum nay kabhi ham dam
    kahin dekhay? kahin parhay?
    kisi TAHREER k ansu?
    mujhay teri JUDAAI nay
    yah mairaaj bakhshee hai
    k main jo lafz likhta hun
    wo saray lafz routay hain
    k main jo hurf bunta hun
    wo saaray batain kartay hain
    meray sang is judaai mein
    meray Alfaaz martay hain!


Tum lot k wapas aa jao

Sath Tumhara Dena hy
aur sath tumhara pana hay
pathron k es shehar main
ek kanch ka gher banana hay
asmano pe jo rishta bana
usay duniya main nibhana hay
ek naam tumhara likhna hay
ek naam hamain ban jana hay
kuch batain tum say kerni hain
kuch dil ka haal sunna hay
chupkay say jo mangi hain
un daion main tum ko pana hay
tum roth k mujh say mat jao
mujhy sath tumhara pana hay
Tum lot k wapas aa jao
mujhay ZINDGI tumhain banana hay

Rishta

           Rishta

    Kabhi Socha Hay

    Humaray Rishtay Ka Naam Kia Hay

    Mohabbat, Zarorat, Khowahish, Janoon, Ishq

  
          Ya

    Wo Rishta Jo

    Aasmaan Ka Zameen Say Hay

    Barish Ka Sehra Say Hay

    Haqiqat Ka Khowabon Say Hay

    Din Ka Raat Say Hay

    Yeh Kabhi Ak Dosray Say

    Mil Nahi Patay

    Lakin Ak Dosray Kay Bagair Adhoray Bhi Hain

    Shayed Aisa Hi Kuch Rishta

    Mera Or Tumhara Bhi Hay


Pagli

    EK PYAR SAY BHARA DIL THA
    JIS K ARMANO KO PALKO PAR SAJAYA KARTI THI
    EK MASOOM SI LARKI THI
    MOHABBAT K KHAWAB DEKHA KARTI THI

    EK CHAHRA BANA KAR KHAYALON MAY
    PHIR US CHAHRAY KO BHEER MAY DHOONDA KARTI THI
    KAISI PAGAL LARKI THI
    EK KHAYAL KO DHOONDA KARTI THI

    AKSAR BANATI RAIT KAY MAHAL SAHILO PAR
    PHIR UN MAHLON MAY GHAR APNA BASAYA KARTI THI
    KAISI NADAN LARKI THI
    SAHIL KI MATTI SAY GHAR BANAYA KARTI THI

    KAI BAR DEKHA USAY PHOOLON SAY BATAIN KARTAY
    KUCH KAH KAR UN K KAANO MAY
    KHUD HI SHARMAYA KARTI THI
    KAISI EK LARKI THI
    PHOOLON SAY BI SHARMAYA KARTI THI

    LIKH KAR HATHELI PAR KOI NAM HUMESHA
    PHIR US NAM KO MITAYA KARTI THI
    SHAYED NA SAMAJH HI THI
    DIL PAR LIKHA THA JO
    USAY HATHON SAY MITAYA KARTI THI

    JANAY KAHAN KHO GAY WOH
    AB TO AKSAR AINAY MAY DHOONDA KARTI HUN
    WOH LARKI JO AINA DEKH BE WAJAH MUSKRAYA KARTI THI
    BANA KAR AJEEB SAY CHAHRAY
    SUB KO HANSAYA KARTI THI
    BARI AJEEB LARKI THI
    HAR KISI KO SATAYA KARTI THI

    MOHABBAT NAY HI TOR DIYE
    US KAY SUB ARMAAN
    JINHAY WOH BARAY PYAR SAY
    PALKON PAR SAJAYA KARTI YHI
    SHAHYED DUNYA BI BHOOL JAYE USAY
    PAR WAQT NA BHULA PAYE GA
    K EK MASOOM SI LARKI THI
    KHAWABO K SHAHAR MAY RAHA KARTI THI

Ye Barishein bhi tum si hain,

Ye Barishein bhi tum si hain,
Jo baras gaen to bahaar hain,
Jo theher gaiin to qarar hain,
Kabhi aa gaiin yunhi be sabab,
Kabhi chhaa gaiin yunhi roz-o-shab,
Kabhi shor hain, kabhi chup si hain,
Yeh barshien bhi tum si hain,
Kisi yaad main kisi raat ko,
ik dabi houi si raakh ko,
Kabhi youn huwa ke bujha diya,
Kabhi khud se khud ko jala diya,
Kahin boond boond main goom si hain,
Ye baarshein bhi tum si hain;

Meri Har Nazar Teri Muntazir?

    Meri Har Nazar Teri Muntazir?
    Teri har nazar kisi aur ki?.

    Meri zindagi teri bandagi?
    Teri zindagi kisi aur ki?

    Kabhi wakt jo mile tujhay zara ?
    Aa ke dekh mere haal ko?

    Meri har ghari tereliye,,,
    Teri har ghari kisi or ki?

    Mujhay sirf teri talab thi..
    Par jane q tujhe talab kisi or ki Huwi.


Jab wo ik shaks dastaras main tha

Jab wo ik shaks dastaras main tha 
Us se milna tumhare bas main tha 
Uski aankhain tumhari aankhain thi 
Uski baatein tumhari batein thi 
Uska chehra tumhara chera tha 
Us k dil per tumhara pehra tha 
Wo jo kehta tha beqarari hai 
Meri sari wafa tumhari hai 
Sirf tumse mujhe Mohabbat hai 
Sirf tumse meri haqiqat hai 
Tab tum us k her aik jumlay ko 
Tab tum us k her aik jazbay ko 
ik hansi main uraya karte thy 
Sunn k tum bhool jaya karte thy 
Apni tanhai k galay lag kar 
Saare aansoo wo ro gaya ik din 
Ek pathar se dil-lagi kar k 
Khud bhi pathar ka hogaya ik din 
Ab wo tumse to kuch nahi kehta 
Be-Niyazi k dukh nahi sehta 
Oski aankhain ab us ki aankhain hain 
Oski baatein ab us ki baatein hain 
Bhool jana tumhari aadat hai 
aB wo ik shaks dastars main nahi 
Os se milna tumhare bas main nahi
 
KIS LIYE PHIR UDAAS BAITHE HO. .

Lehjay barf ho jaen tu Pigla nahi kerty

[IMG][IMG][IMG][IMG]
Usay main ne likha tha

Usey main nay he likha tha k
Lehjay barf ho jaen tu Pigla nahi kerty
Parinday darr ke urr jaen
Tu phir lota nai kerty
Usey main ney he likha tha
Yaqeen uth jae tu shayad
Kabi wapas nai atta
Hawaon ka koi tufan
Kabi barish nai lata
Usey main he likha tha
Ke Sheesha Toot jae tu
Kabi phir judd nai pata
Jo rasty se bhatak jae
Wo wapis murr nai pata
Usey kehna
Wo adhora khatt
Usey main ne he likha tha
Usey kehna ke
Dewaney
Mukamal khat nai likhty!!!!


[IMG][IMG][IMG][IMG]

Mujhy Aazad Kar Do Na...

K Mai Hun Qaid Barson Se
    Judaai Ki Azziat Mein,
    Zehar Bhar Dygi Ye Dunya
    Meri Naazuk Tabiat Mein

    Na Do Ab Hosla Mujh Ko,
    Bata do Raasta Mujh Ko,
    Koi Bahir Niklny Ka
    Hawa Mai Phir Se Udnay Ka

    Mujhy "US DAIS" Jana Hai,
    Jahan Panchhi Utrtay Hain
    Jahan Moasam Badalty Hain,

    Meri Banjar C Aankhon Me
    Meri Be'Taab SaanSon Me
    Koi To Rang Bhar Do Na

    Mujhy Aazad Kar Do Na,
    Mujhy Aazad Kar Do Na...






Chalo ab roothna choro

   Chalo ab roothna choro
    Chlo ranjish bhula b do..

    Mohabt tm b krty ho,
    Muhabt main b krti hun.,

    To phir yeh roothna kaisa???

    To phir yeh ranjishein kaisi?

    Tmhare paas sab kuch hai.!

    Ye Dolat hai,
    ye shohrat hai..

    Mere daman main meri jaan,

    Sirf teri Mohabt hai..

    Mujhe bs itna kehna hai

    Tmhare paas rehna hai..

    Chalo ab roothna choro,

    Chlo ranjish bhula b do?

Khamoshi se bikharna aa gya hai.

    Khamoshi se bikharna aa gya hai..

    hamein ab khud ujarna aa gya hai..

    kisi ko bewafa kehtey nahin hum..

    hamein bhi ab badlna aa gya hai..

    kisi ki yaad mein rotey nahin hum..

    hamein chup chap jalna aa gya hai..

    gulaboon ko tum apne paas rakho..

    hamein kantoon pe chalna aa gya hai.


KYA TUM BHI?

 KYA TUM BHI?


    sham ki dehlez pe aas k deep jalaty ho?
    or kisi awara patte ki ahat per,
    darwaze ki taraf bhagy jaty ho,

    KYA TUM BHI?

    dard chupany ki koshish karty ho,
    aksar thak sy jaty ho,
    or bila waja muskuraty ho,



    KYA TUM BHI?



    neend sy pahlu palkon prdehron khawab sajaty ho,
    ya phir bistar pr lait kr,
    roty roty so jaty ho,

    KYA TUM BHI?

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

Tuesday 26 February 2013

Suno! Tum tu Azm Walay Ho

                 Suno!
    Tum tu Azm Walay Ho
    Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
    Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
    Magar Dekho

    Jisay Tum ne chor diya hai
    Usay Tou Theek Se Shayad
    Bichharna Bhi Nahi Aata
    Suno!
    Tum Azam Walay Ho
    Usay Matt Chor Ke Jao

FAKHIRA BATOOL

FAKHIRA BATOOL

♥ ♥ ♥ ♥

Tu nay ik roaz kaha tha mujh say
door tujh say agar main hojaoon
jaal dunya ka hay rangeen-o-haseen
us k rangoun main agar kho jaoon
teri masoom see in baatoun ko
shaukh-o-saada si teri yaadoun ko
bhool jaoon tou bhi yeh yaad rahey
aaj tujh say yeh mera waada hay
jub bhi barsaat teray aangan main
piyaar say aa kar dastak dey gee
main usi roaz chala aaonga
aaj main soch rahi hoon kub say
kia hui baat k tu aaya nahin
jub k barsaat to kul aa kay meray
kac'chey aaNgan main rahi hay shub bhar!!

♥ ♥ ♥ ♥

HUM Utna Yaad Aayein aein gay Humain Jitna Bhulaao Gey

Parho Ge Khat Kabhi Mere Kabhi Tasveer Dekho Ge

Kabhi Haathon Mein Jo Likhi Hy Wo Tehreer Dekho Ge

Likho Ge Kuch Hatheli Par Parho Ge Kuch Kitabon Mein

Nazar Aayein Ge HUM Tum Ko Sawalon Mein Jawabon Mein

Kabhi Aansoo Bahaao Ge Kabhi Tum Muskurao Ge

Kisi Se Kuch Kaho Ge Tum Kisi Se Kuch Chhupaao Ge

Kabhi Khaamosh Betho Ge Kabhi Kuch Gungunaao Ge

HUM Utna Yaad Aayein aein gay Humain Jitna Bhulaao Gey.

Use hum yad aate hen fursat ke lamhon me

Use hum yad aate hen fursat ke lamhon me
magr yeh b such hay k use fursat nahe milti

Is baar wo talkhi hai k roothey bhi nahein hum

Is baar wo talkhi hai k roothey bhi nahein hum ... !
Ab k wo larai hai k jhagra na karein gay ... !

Usse rokte bhi to kis liye ???

Woh jo Shahr-e-dil tha ujad gaya...
Woh jo khwaab tha woh bikhar gaya...
Kabhi mausam.oun ki nazar lagi,
Kabhi wahmoun ne drra diya...
Kabhi manziloun ke saraab ne,
Kabhi zindaghi ki kitaab se,
Hamein jis ne chaha mitta diya...
bas isiiliye....
Woh jo ja raha tha door tak ...
Usse dekhte hi rahe magar...
Nahi di Saada...
usse rokte bhi to kis liye ???

Hum ne har dukh ko Mohabbat ka tasalsul samjha

Hum ne har dukh ko Mohabbat ka tasalsul samjha
Hum koi tum thy k duniya se shikayat krty..

Hum ne sookhi hui shakhon pe Lahu chirka hy
Phool agar ab b na khilty to qayamat krty..

Ki Mohabbat to siyasat ka chalan chor diya
Hum agar Ishq na krty to Hakumat krty...

Batao kaisa lagta hay,

Batao kaisa lagta hay,
kissi veraan rastay per,
kissi anjaan rastay per,
kissi ka sääth mil jana,
khushi k phööl khill jana,
batao kaisa lagta hay,
Aur
uss k baad
phir
aik din kissi ka yun bichar jana,
sabhi rangoun ka mitt jana,
samay ki band muthi mein,
fakat kuch rait reh jana,
batao kaisa lagta hay...

Agar main patthar ki larki hoti

    Agar main patthar ki larki hoti
    To apnay paikar ki sabz rut per bohat si kaaii ugaya kerti
    Bohat say tareek khwab bunti
    Ujalay ko thokron main rakhti
    Khamoshi kay babool chunti
    Dehekti kirnon ka jharna hoti
    Sama’aton kay tamam afsoon paash kerti
    Main kuch na sunti
    Main apnay pallu main sog bandhay
    Kisi ko un ka pata na deti
    Safar kay her aik merhalay per
    Main rahzanon ki tarah mukarti
    Agar main patthar ki larki hoti
    To main aziyyat ki malgiji un-ginat udasi kay rung chunti
    Wehem ugaati, gumaan rakhti
    Tumhari sari wajahaton ko
    Main sau tarah say para para kerti
    Na tum ko yun aaina banati
    Agar main patthar ki larki hoti

Itna hi yad rakh mujhay

   Itna hi yad rakh mujhay
    Jaisey kisi kitab main
    Beetay dino ki dost ka
    Khat ek para hua milay
    Lafz mitey mity say hoon
    Rang ura ura sa ho
    Lekin wo ajnabi na ho
    Uth kr teray galey lage
    Bholey hue tamam dukh
    Guzrey hue tamam sukh
    Tujh se kahey or ro parey
    Itna hi yad rakh mujhay
    Beetey dino ki dost ka
    Jaisey koi khat hoon mai
    Rakha hua kitab main

tumhe ko hum ne chaha tha, tumhe miltay to achaa tha

 

    Jahaan phoolon ko khilna tha, waheen khiltay to achaa tha
    tumhe ko hum ne chaha tha, tumhe miltay to achaa tha

    Tumhain jitna bhulaya hai tumhaari yaad aai hai
    bahaar-e-nau jo aai hai, wohi khushboo bhi laai hai
    tumhaare lab meri khaatir kabhi hiltay to achca tha
    tumhe ko hum ne chaha tha, tumhe miltay to achaa tha

    mila hai lutf bhi hum ko haseen yaadon ki jhilmil mein
    kati hai zindagi tum bin, kami se hai magar dil mein
    agar aate to achcha tha, agar miltay to achcha tha
    tumhe ko hum ne chaha tha, tumhe miltay to achaa tha

    koi aa kar hamen pooche tumheN kaise bhulaaya hai
    tumhaare khat ko ashkon se shab-e-gham mein jalaya hai
    hazaron gham jo aise hi agar miltay to acha tha
    tumhe ko hum ne chaha tha, tumhe miltay to achaa tha

Chalo Tum Chorr Do Mujh Ko

    Chalo Tum Chorr Do Mujh Ko

    Chalo Tum Chorr Do Mujh Ko.

    Main Wapis Lout Jata Hoon.

    Tumhain Manzil Mubarak Ho.

    Naya Saathi

    Mubarak Ho.

    Mager Phir Ay Meray

    HumDum.

    Mujhay Itna Tu

    Batla Do ?

    Keh Wapis Kis Taraf Jaon. ?

    Kahan Say Saath

    Laaye Thay ?

    Mujhay Itna Tu

    Samjha Do ?

    Ager Aisa Nahi Mumkin

    Tu Mujh Ko

    Is Tarah Torro

    Keh Main Yaksar

    Bikhar Jaon.

    Bhataknay Say Tu Behtar Hai.

    Tumharay

    Pass

    Marr

    Jaon...!






ANAA!!!!!!

               ANAA!!!!!!

    kisi mehrbani ki bond se
    mujhay mera sehra aziz hai
    kisi mangi chaown ki bheek se
    meri dhoop dhoop azeem hai
    kisi tars khatay ujaly se
    mujhay naaz upne andheron per
    mujhay gham gusaron ki bheer se
    is akely pan pe 'garoor' hai

Muhabbat Seekh Kar Karna

 Muhabbat Seekh Kar Karna
    Tumhara Mashwara Hai Qeemti
    Apni Jaga Lekin!!!


    Muhabbat Ki Nahi Jaati
    Ho Jaati Ha
    Aur Kabhi Bhi Ho Sakti Hai
    Muhabbat Main Kabhi
    Seekha Hua
    Kuchh Kaam Nahi Aata
    K Agar Ye Darya Hai.. Tau!!!
    Tum Tau Shayed Jaantay Ho gey
    Darya Apna Raasta Khud Banata Hai!!!

Jayein Janu Hum Ap Say Naraaz Hain

Ek Din Guzra

Do Din Beetay
 
Aur Phir Sara Hafta .!!

MujhKo UsKa Phone Na Aya
 
Ek Gehri Tashwesh Ki Lehrain MeraY Mann Sagar PaY Ubrihin
 
MainaY Socha !
 
Pehlay To Woh Din Bhar MujhKo Phone Pay Phone Karti Thi
 
Akhir Aesi Kya Baat Howi ?

Kya Woh MujhKo Bhool Gayi He ?
 
Nahi ... . Nahi
 
Yeh Na Mumkin He !!
 
Phone To Main Bhi Kar Sakta Tha
 
Lekin Mujh Par Pabandi Thi

Q Ke Phone Pay UsKi Marzi Chalti Thi
 
Sirf UsKi Marzi
 
Aur Phir

Poray Haftay Baad Jab UsKa Phone Aya
 
Rundhi Hoi Awaaz Main Boli
 
"JaYain ... HuNh
 
Hum Aap Se Baat Nahi Karte

Aap Wafa SeY Na Waqif Hain
 
Aap Kay Pas To Lafz Hi Lafz Hain
 
Lafz Jin Ki Rooh Nahi He

Ap Khandar Hain ,
 
Weerana Hain

Aap Ko Parwa Nahi Kisi Kay Jazboon Ki "

Main Heeran Tha !!

Akhir MuhjSay Aesi Kya Galti Hoi He .??
 
Woh Gham Ki Tasweer Bani He

Apnay Jurm Ki Noyiat Jab Pochi To
 
Woh Phoot Kar RoYi

Aur Phir Rotay Rotay UsNEy
 
MujhKo Mera Jurm Bataya
 
Tarap Kar Boli

" Hafta PehlEy

Jis Din Meri Salgirah Thi
 
Mainay Ap Ko Phone Kya Tha

Aap Se Us Din Har Mozooh Par Baat Hoi Thi

Lekin Aap Ko Yaad Nahi Tha

Ek Zara Sa " Wish" Karna Bhi Yaad Nahi Tha !!

Yeh Sun Kar Bey-Sakta Mainay

Apnay Sir Ko Patka

Khud Ko Kosa
 
Pichlay Saal Bhi Yehi Howa Tha

( Yani Pechlay Saal Bhi UsKi Salgirah Main Bhool Gaya Tha )

" Duhray Qatal " Ka Mujrim Tha Main

Kehtay Hain Keh .!!

Pas-E-Manzar Kay Aksar Manzar Jeevan Ka Hisa Hotay Hain

Mujh Par Bachpan Tu Utra Tha

Lekin Salgirah Ki Khushyan ??
 
Main In Say Waqif Hi Kab Tha ??

Aisay Mubarak Lamhay Meray Bacpan Main Agar AaYe Hotay

"Wish" Karnay Ki Aadat Mujh Main Rasik Hoti

Bachpan Sagar Ki Yeh Lehrain Mujh Main Thatain Maarti Rehti'n

Taa-hum Mainay idhar Udhar Ki Batin Kar Kay

Usay Manaya

Aur Is Say Yeh Ehad Liya Keh

Is Ki Salgirah Kay Din Ko Aglay Saal Nahi Bholon Ga

Kabhi Na Ab Yeh Jurm KaronGa . . .




Suno tum dair mat karna

 Suno tum dair mat karna

    Kisi ki ankh ka ansuon, koi chehra, koi lehja
    Koi awaz tum ko jiss qadar rookey
    Magar tum dair mat karna
    Suno tum dair mat karna
    Kisi ki yaad ki ankhain tumhain har lamha takti hain
    Kisi ki ankh main janan tumhari yaad ki barish
    Har ik lamha barasti hai
    Tumhain bas sochte rehna kisi ka kaam rehta hai
    Tumhari yaad ka mousam subh-o-shaamrehta hai
    Kisi key hont per har dam tumhara naam rehta hai
    Suno tum dair mat karna
    Kisi ki neend se jagi hoi ankhain
    Kisi ka gard main dooba hua lehja
    Tumhain awaz detay hain
    Suno tum dair mat karna...!!!

Koi Ehad Bhi Us Ko Yaad Nahi

Koi Ehad Bhi Us Ko Yaad Nahi

Koi Ehad Bhi Us Ko Yaad Nahi..
Koi Baat Bhi Us ko Yaad Nahi..
Ek Shaks Ne Us Ko Chaha Tha..
Wo Zaat Bhi Us Ko Yaad Nahi..
Jab Shab Ki Bijli ChamKi Thi..
Or Badal Toot Ke Barsa Tha..
Hum Dono Jis Mein Bhigey Thy..
Wo Barsat Bhi Us ko Yaad Nahi..
Wo Sahil Derya Phool Hawa..
Wo Wada Sath Nibhaney Ka..
Or shab Bher Chand Ko Dekha Tha..
Wo Raat Bhi Us Ko yaad Nahi..

Koi aisa shaKhs hua kare

    Na shikayaten na gila kare
    Koi aisa shaKhs hua kare
  
  Jo mere liye hi saja kare
    Mujh hi se baten kiya kare
    
Kabhi roye jaye vo bepanah
    Kabhi betahasha udas ho
   
 Kabhi chupke chupke dabe qadam
    Mere piche a kar hansa kare
   
 Meri qurbaten meri chahaten
    Koi yad kare qadam qadam
   
 Main tavil safar main hun agar
    Meri wapasi ki dua kare

тυм ѕє нє

Na hai yeh pana
Na Khona hi hai

Tera Na hona jane

Kyun hona hi hai
[IMG]


Tum se hi din hota hai

Surmaiye shaam aati

Tumse hi tumse hi


[IMG]


Har ghari saans aati hai
Zindagi kehlati hai
Tumse hi tumse hi

[IMG]

Na hai yeh pana
Na Khona hi hai
Tera Na hona jane
Kyun hona hi hai

[IMG]


Aankhon mein ankhen teri
Bahoon mein baahein teri
Mera na mujh mein kuch raha hua kya
Baaton mein baatein teri
Raatein saugatein teri
Kyun tera sab yeh ho gaya
hua kya



Mein kahin bhi jata hoon
Tumse hi
mil jata hoon



Aadha sa wada kabhi
Aadhe se zayada kabhi
Jee chahe karlu is trah wafa ka
Chode na chote kabhi
Tode na tute kabhi
Jo dhaga tumse jud gaya wafa ka
[IMG]


Mein Tera sarmaya hoon
Jo bhi mein ban paya hoon
Tumse hi tumse hi
Raste miljate hai
Manzile miljati hai
Tumse hi tumse hi



[IMG]


Na hai yeh pana
Na Khona hi hai
Tera Na hona jane
Kyun hona hi hai
[IMG]

Chalo kuch dair hnsty hain

Koi Aur Tarah Ki Baat Karo

Chalo kuch dair hnsty hain,
Muhabt pr, inayat pr
K Be bunyad Baten hn,
Kahin Koi nhi Mrta, Kisi k Wasty Jana,
K is Jazby py Ab aksr,
Sabi Jumly sy Kassty hn,
Chalo kuch dair hansty hn,
Usi ko yad krty hn,
Jisy hm zeest kehty thy,
K Lena sans bin jis k,
hmein ik Jurm lgta tha,

Koi Aur Tarah Ki Baat Karo

Jisy The Shairi K Zmanon Ka,
Ye Sakhat Muqam Bhadal Jaae
Kisi Ghaat Per Kashti Aaan Lage
Koi Nayee Nayee Pehchaan Lage
Koi Naya Naya Anjaam Lage
Ba'Masroof Din Ke Akheer Per
Yeh Dhalti Shaam SambhaL Jaaee

Koi Aur Taraan Kii Baat Karo

Farz kro hm Deewany ho'n

Farz kro hm Deewany ho'n,
farz kro hm ahl-e-wafa ho'n
Farz kro ye dON'on bAt'en
jhooti ho'n afsaany ho'n

Farz kro ye jee ki bap'ta
jee se jorr suna'ee ho
Farz kro abhi or ho itni ,
aadhi hm ne suna'ee ho,

Farz kro tmhe'n khush krne k
dhoondhy hm ne bahany ho'n
Farz kro ye nain tmhary
sach much k maikhany ho'n

Farz kro ye roug ho jh0ota ,
jh0oti peet hmari ho
Farz kro is peet k roug me
saans bhi hm pe bhari ho

Farz kro ye joug ba joug ka
hm ne dhong rachaya ho
Farz kro bs yehi ho haqeeqat
baqi sb kuch maya ho,

Farz karo...!!! Tum kuch na pao

Farz karo...!!! 

Tum kuch na pao, 
Apna aap luta kar bhi!

Farz karo Koi mukar hi jaye, 
sacchi Qasam utha Kr Bhi!

Aur Farz karo, Yeh farz na ho,
Sacchi ek Haqeeqat Ho!

Teray ishq k har Raastay par
Janaa Ek qayamat ho!

Aur suna hai..... Yeh qayamaT
Khoon jigar ka peeti hai!

Tum To jana farz karo gay,
Mujh py yeh sub Beeti hai...!!!

Bohat Masoom Thy Hum Bhi..!!

    Bohat Masoom Thy Hum Bhi..!!

    Hamain ab yaad aata hai K Hum ik ajnabi ko

    umr ki tareek raahon ka Sahara maan bethe thy..!!

    K uss k chand chehre ko Hum apne Bakkht ka roshan sitara maan 
    
    bethe thy..!!

    Hamain Maloom Hi Kab Tha K Dasht_e_ Zindagani mein Sahare
    
    chhoot jate hein..!!

    Kbhi aisa bhi hota hai

    Nazar jin par theharti hai Wo Taare toot jate hein..!!

    Khud APNE ruth jate hein..!!

    Bohat Masoom Thy Hum bhi..!!

    Humain maloom hi kb tha..?

Main Aksar Us Se Kehta Tha

     "Main Aksar Us Se Kehta Tha,
    "Tum Be Hadd Shour Machati Ho" . .
    "Phir wo mujhse kehti thi,

    "Jb pyar se mujhe bulao ge,
    Tab dour k me to aaongi,
    Tb payil meri chanke gi,
    "Payil ka shour to hoga hi

    " "Jab meri claai pakro ge,
    To choori meri khanke gi,
    Choori k youn khankne pe
    "Choori ka shour to hoga hi

    "Jb bindia meri chamke gi,
    Aankho me tumhari damke gi,
    Tb jazbe shour mchain ge,
    "Jazbon ka shour to hoga hi" "

    Mere jhumke se jb khelo ge,
    Wo gaal ko mere choome ga,
    Be chain se tum ho jao ge,
    Ik lehar uthe gi sene me,
    "Is lehar ka shour to hoga hi"

    "Meri zulfon ko suljhate howe,
    Mere gajre ko bikhrao ge,
    Tab sansein tumhari mehkein gi,
    "Sanson ka shour to hoga hi"

    "Jb paas mere tum aao ge,
    Ik barq si tann me dore gi,
    Mann behka sa hojae ga,
    Har dharkan shour mchae gi,
    "Dharkan ka shour to hoga hi..!

    "Main Aksar Us Se Kehta Tha
    Tum Be Hadd Shour Mchati Ho.....