affiliate marketing Famous Urdu Poetry: March 2013

Sunday 31 March 2013

Bheegi palkain

Bheegi palkain
dard say chalkti surkhi
ankhon main laal doray
galoon pe phisalty mooti
lab kat ty hoay
main aksar ussay
bari mehwiat say dekhta hoon
pagli!
tujhy kya maloom
tujhy rula kar
main teri ankhon main
sary jahan ka hussan dekhta hoon........

kahan nahi hon mein???

Aik din us ne pocha...
main kahan hon???
mein ne kaha...
"mery dil mein
meri jan mein ho tum
meri saans mein ho tum
meri aas mein ho tum
mery dil ki dharkano mein ho tum
meri aakhri saans mein ho tum"

phir pocha muj se...
kahan nahi hon mein???
mein ne zabt kar k kaha...
:
:
:
:
:
meri qismat mein!!!

aaj ye sub kuch naam tumary

Sahil,
rait,
samundar,
lehrain,
basti,
dost,
sehra,
darya,
khushboo,
mousam,
phool,
dareechy,
badal,
suraj,
chand,
sitary,

aaj ye sub kuch naam tumary
khawab ki batein,
yad k qissay,
soch k pehlo,
neend k lamhy,
dard k anso,
chain k naghmy,
urrty waqt k behty dhary,
rooh ki aahat,
jis ki junbash,
khoon ki gardish,
saans ki larzish,
aankh ka pani,
chahat k ye unwan saray,

aaj ye sub kuch naam tumary!!!

Suno Acha Nahi Lagta...

Suno Acha Nahi Lagta...
K Koi Doosra Dekhy...
Tumhari Sharbati Aankhein...
Lab-o-Rukhsaar Or Palkein... 
Siyah Lambi Ghani Zulfein...
Sahary Doosra Koi...
Mujhy Acha Nahi Lagta...
Suno Acha Nahi Lagta...
Kary Jab Tazkara Koi... 
Kary Jab Tabsara Koi...
Tumhari Zaat Ko Khoojy... 
Tumhari Baat Ko Soochy... 
Mujhy Acha Nahi Lagta... 
Suno Acha Nahi Lagta... 
Tumhari Muskurahat Par... 
Hazaroon Log Marty Hoon... 
Tumhari Ek Aahat Par... 
Hazaroon Dil Dharakty Hoon... 
Kisi Ka Tum Pay Yoon Marna... 
Mujhy Acha Nahi Lagta... 
Suno Acha Nahi Lagta... 
Hawa Guzry Tumhein Choo Kar... 
Na Ho Ga Zabt Ye Mujh Say... 
Kary Koi Tum Say Gustakhi... 
Tumhari Zulfein Bikhar Jaein... 
Tumhary Lams Pi Jaein... 
Mujhy Acha Nahi Lagta... 
Suno Acha Nahi Lagta... 
K Tum Ko Phool Bhi Dakhein... 
Tumhary Pas Say Mehkein... 
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo... 
K Apni Roshni Bakhshoon... 
Rukh-e-Jana Koi Dekhy... 
Mujhy Acha Nahi Lagta... 
Mujhay Acha Nahi Lagta...

Mujhe yaqeen hai

Mujhe yaqeen hai

agar usse maloom hota..

kay mairi aankhon kay sard te-khanon main

ana-o-khud-dari ki gehri chadar kay peechay

uss kay liye

muhabbat-o-khulos ka bekaran samandar hai

tu voh...

mujhe yun chor ker...

Kabhi na jata!

Saturday 30 March 2013

Mujhe aksar ye kehti thi

Mujhe aksar ye kehti thi………

Ke itni baar kehte ho

Mujhe tum se mohabbat hai

Ke ab dil per ye sun ne se

Assar koi nahin hota

Magar jab aaj danistaa’n……..

Nahin bola use main ne

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Tu uski aankh bhar aii……..!!!!

Yakeen Ki Aakhri Had Tak

Yakeen Ki Aakhri Had Tak,

Yakeen Hai Aur Daawa Bhi,

Ke Rukhsat Kar Ke Bhi Aksar

Nazar Ki Aakhri Had Tak Mujhe To Dekhta Hoga,

Magar Itne Yakeen Ke Baad Bhi Maine

Kabhi Mud Kar Nahi Dekha,

Bas Ek Gehra Sa Darr Hai

Kahin Aisa Na Ho Jaye

Palat Kar Main Use Dekhun

To Wapis Ja Chuka Ho Wo..

Sunoo ! Jab Loug Pochtay Hain

Sunoo !

Jab Loug Pochtay Hain

Kay Kon Hai Jo

Tumharay Lafzoun Mein Bolta Hai

To Kia Kahoun

Unse?

Wohi

Jo Her Call Per

'I Miss You'

Keh Ker

Mujhe Bhool Jati Hai!

Yaad Hai Janan Tum Ko........?

Yaad Hai Janan Tum Ko........?

Ghar K Pechlay Lawn Main Hum Tum
Shab'bhar Batein Kartey Thai
Jhaagra (FIGHT)
Hota To Hum Lar'kar
Chand Ko Ga'waah Kar Laitey Thai

Chand Sada Ka Paapi Tha
Chahai Kuch Bhi Ho
Hamaishah

Ak Hee Baat Keya Karta Tha.....!
Sirf Teri Side Liya Karta Tha......!

Rukhsati....

Rukhsati....



vo jo kah raha tha tum say

meri laadli behna..!



Zara hoslay say rehna

Tumhain hum say door ja kar



Koi dukh ho koi gham ho

Usko khush dili say sahna



Koi aisa din na aye

Kay Tumhari aankh nam ho



Tumhain yaad bhi na hoga

Meri Chaad jisii behna



Kay yeh baat kahtay kahtay

Koi khud say bhi ro raha tha..

ik SaaL PuRana Kissa hai

ik SaaL PuRana Kissa hai..

Ik larki thi Sadi c..

apni Man Mani Karti thi..

Kuch ShooKh ShooKh chanchaL c..

Kuch MehKi Kuch PagaL c..

Ik Roz MuHabaT kar bethi..

Or ab k SaL ka Kissa hai..

ab Wo Mazi Ka Hissa hai..

Wo PyaR Pe Jan K waaR gai..

wo apny Ap Ko mar Gai..

SaRy JuG se Tu Jeet Gai..

BAs apnY Ap Se Har Gai..

AIK USSI SE PYAR KIA HAI

Ik Din younhi baithay baithay

Uss ne mujh se pooch liya tha

"Tum ne KISI se Pyar kia hai"

"Ulfat ka Izhaar kia hai"

Lekin main Khamoosh raha tha

Wo khud bhi shurmaii thi

thoora sa Ghabraii thi

MAIN ne soocha Barsoon pehlay,Jitnay Sapnay dekhay thay

Un sapnoon ko Tabeeron se Humahung kar denay ka

Aik yahi to Lamha hai……….

Lekin phir yeh soocha main ne

Janay is k DIL mein kya hoo???

Janay mujh ko samjhti kya ho??

Mujbooori thi Warna main ne

AIK USSI SE PYAR KIA HAI

ik pagal pagal si larki...

ik pagal pagal si larki...

dil toornay se darti thi.......

har pal har lamha khud se woh jhagarti thi...

ansoo kiun aye kisi ankh

main mujrim khud ko samujhti thi...

ghuut ghuut k jeeti rehti thi...

har sans ulajhti rehti thi...

soo baar kaha aaay nadan larki..!!!

dunya ko dekhna choor day...

khud se ulajhna choor day...

pal pal bikherna choor day..

yahan HAASSASS DIl to koi nahi....

yahan NAZUKi say kaam na lay...

yahan pather banna parta hai...

yahan rehumdilli say kaam na lay...


soo barr kaha par kaisay nasamjhi....!!!

dunya ko sub samujhti thi...

phir wohi hoa jo hona tha.....


dil toota uska jiska ussay roona tha...


BHAROSAY ki deewar girri ... 

SARD LEHJI haar baar mili....

phir simat gaye apni zaat main...

tamaam dukhon ko samaitay anchal main...

ankhon main jazbaat nahi..


pahlay say halaaat nahi...

Farq srif itna hoa...

khud apni zaaat ko TOOR dia...

tanhayeyoun se rishta jorr dia..

phir tanha tanha rehni lagi...

phir khud ko PATHEr kahnay lagi...

WOH IK PAGAL PAGAL SI LARKI....

JO DIL TOORNAY SE DARTI THI ......!!!!!!!!!!"

Eik lArki.

Eik lArki. .

bUjhi bUjhi C, jhUki jhUki C. . .

UdAAsiyOn mEin, rAchi bAsi C. . .



jO Kisi nE pOcha UdAAs kyOn hO ?

jhUka kaY pAlkain, chUpa kaY chEhra. . .

LaGi wOh kEhnaY. . .



UdAAsiyOn ka saBaB tUmhi hO. . .

mEry nasEEb mEin " tUm nAhi hO " : )

Kaise hua yeh

Kaise hua yeh....!!!!

Ek Pal Mai Hua Sab Khatam

Kaisey Hua Yeh?

Kal Khushi Aur Ajj Gham

Kaisey Hua Yeh?



Jo Chahat Ki Tasweer

Buni Thi Maine Aankhon Mai

Ek Anchahi Taqdeer

Judi Thi Meri Raahon Sai

Kal Tak THi Jis Ki Chah'

Dil Ki Chupi Panahon Mai

Ek Shaq Sa Ubhar Kai Aya

Us Ki Sachi Wafa'aon Mai



Na Woh Rahe Wasy Na Ham

Kaisey Hua Yeh?

Kal Khushi Aur Ajj Gham

Kaisey Hua Yeh!

Kaha ussnay

Kaha ussnay

Tab waqai mujhey tum sey muhabbat thi

Kaha mainay

Main tu ab bhi tum sey muhabbat karta hoon

Woh tab kii baat kerti hai

Main ab ki baat kerta hoon

Magar iss ab aur tab ke darmeyaan jo faasla hai

Woh hum donno se mil ker bhi samaita jaa nahi sakta

Woh ab tak aa nahi saki

Main tab ko paa nahi sakta

Milan ki dua…

Dua k liye 
Haath jab bhi uthaye
Tamananon ki bheed mein
Sab say aagey
Wohi ek chehra
Nigahon mein aata hay
Main bhool jata hoon
Kia maanga tha
Bicharney k dukh main kami
Ya

Milan ki dua…

PAGLI KAHIEN KI YE LARKI..

PAGLI KAHIEN KI YE LARKI...
PHOOL SAY TO MUKHTALIF HAY...
ADHI MOHABBAT MERE SAMNY OR ADHI MOHABBAT MUJH SAY CHUP KAR KARTI HAY....
ADHI RAAT KO ADHY CHAND SAY BATEIN KARTI REHTI HAY...
WO BATEIN JO MUJH SAY KARTY US K HONT OR US KI SANSEIN RUK JATI HIEN...
US KI PALKEIN JHUK JATI HIEN....
ADHI RAAT KO TAKIYE K NEECHY RAKHI MERI TASWEER KO DEKHTI REHTI HAY...
PHIR KHUD SAY SHARMA KAR TAKIYE MIEN MUNH CHUPA KAR....
DAIR TAK HANSTI REHTI HAY...
PAGLI KAHIEN KI YE LARKI....

KAL RAAT ACHANAK HE FONE AA GIYA USKA

KAL RAAT ACHANAK HE FONE AA GIYA USKA

LEHJEY KI MALAMAT SEY HO RAHA THA SAB ZAHIR

RO RAHI THI SHIDAT SEY WO

LARKHARATEY LAFZON SEY

KER RAHI THI BAATEIN WO

KUCH KEHNA CHAHATI HON

JO BUHAT ZARORI HAY

KHUSH NAHI HON ME B PIYAR TERA THUKRA KER

SARA DIN TARAPTI HON CHAIN HE NAHI MILTA

JAAGTI HON SHAB BHAR ME NEEND HE NAHI AATI

JO NAHI KAHA THA KAL TAK WO AAJ TUMSE KEHTI HON

MAI TUMSE PYAR KARTI HON

MAINE PHIR KAHA USS SY

MaE NA KEHTA THA TUMSE

AIK DIN TO AANA HAY LOT KER TUMHE WAPIS

KESEY TUM BINA MERE ZINDAGI GUZARO GI

ZINDA TO RAHO GI PER ZINDAGI NA HO GI WO

AIK AIK LAMHE MEIN YAAD MERI AAYE GI

DOSRI TARAF SY PHIR IK HANSI KI AWAZ AYI

OR WO LAGI KEHNE

TUM KITNE PAGAL HO

TUM KITNE DEEWANE HO

AAJ 1ST APRIL HAY

AAJ TO APRIL FOOL HAY

Aao... or na socho

Aao...
or na socho.
soch ke kia paao gey..
jitna bhi samjhey ho.
itna hi pachtaao gey.
Aao..
or na socho..
tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
wo meri dekhi bhali hai.
jane bhi do.
is ka kab tak sogg manana..
yeh dunia andar se kion itni kaali hai..
Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum.
such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
jhoot ke hathon.
woh mushkil asaan karen hum.
tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun.
phir tum woh sari jhuti baten dohrao.
jo sab ko acchi lagti hen.
jesey...
wafa karne ki baten..
jeene ki...
marne ki baten..
hum dono yun waqt guzaren.
.me tumko kuch khuwaab dikhaun.
tum mujhko kuch khuwaab dikhao.
jinki koi taabeer na ho.
jitne din yeh mail rahe ga..
dekho acha khel rahe ga.
or kabhi dil bhar jaye to.
kehdena tum..
beet gaya milne ka mausam.
Aao.
or na socho...
soch ke kia pao gey...

Mjhe mery jeenay ka Sahara mil gya...

Usko
Bary khuloos se..
Samjhaya tha..
Ye muhabat,
ye chahat..
Ye rooh,
ye jism..
Ye jan..
Sab kisi ki aamanat hein..
Mery paas..
Dainy ko kuch b nhi hy..
Usne khamoshi se..
Meray behtay hoay ashkoun ko.
Apne hatheli pe saja lia..
Aur ye.
Kehta hoa chal dia..
Mjhe mery jeenay ka
Sahara mil gya...

Main Jo Chahoon To Abhi Tod Loon Naata Tumse...

Main Jo Chahoon
To Abhi Tod Loon
Naata Tumse...



Per Main Buzdil
Hoon Mujey Maut
Se Darr Lagta
Hai..

Ek din us ne muj se ye kaha

Ek
din us ne
muj se ye kaha,

kiya
tumain b
muj se pyar hi?

Main
to ajnabi
sa bn gia, pr

dil
ne holy se ye kaha
Ek aks naksh hai
mery hawas p
Ye sans
chal
rahi hai
usi ki yaad se
Usy daikh lon to
ji uthaon
Bina
us
k
zindagi
ek khawb hai
Wo shakhs kia hai
nahi khabar
Han mgar
wo
dil-e-qrar hai
Mri
zindagi
mery ashna
Agar yehi pyar ha

Becharna kiya zarori hay

Becharna kiya zarori hay...?
Ye aksar pocha jata hay....
Chalo ab sochten hain ye,
K ab fursat he fursat hay,
Sabhi k ilam mein hoga,
Haqiqat is tarhan say hay,
Muhabat aazmati hay.....
Hamisha say.....
Or is aazmaish mein,
Muhabat or barhti hay,
Ye har pal kam nahi hoti,
K shair log kehte hain,
Muhabat 1 darya hay,
Barish roth bhi jay,
To pani kam nahi hota,
To ab tum soch lo khud he,
Bicharna keun zarori hay.......?
Bicharna keun zarori hay.......?:

Bohat Si Be-sabab Baatai’n

Bohat Si Be-sabab Baatai’n
Faqt Tehmeed Hoti Hain
Jo Aksar Tum Sy Kehty Hain
Suno !!!

Aur Kese Ho ?
Suno Sardi Bohat Hai Na
Nahi Mausam Tou Acha Hai
Chalo Acha
Hum Chalte Hain
Dobara Phone Karo Ge?...

Ye Saari Baatai’n !!!
Faqt Tehmeed Hoti Hain
Aur Is Tehmeed Main Jaan’an
Guzar jate Hain Jab Lamhey
Tou Phir Hum Sochtey Hain ke
Zara Si Baat Hi To Hai...
Tumhai’n Jaldi Se Keh Denge

 Humai’n Tum Se Mohabbat Hai …
Humai’n Tum Se Mohabbat Hai …!

Kaha Tha yad hai Tumne

Kaha Tha yad hai Tumne...
K me hon Chand
Or Tm Chandni Meri,
Mgr Jb Chand Chup Jaye,
Kaho phir Chandni kesi...?

Kaha Tha yad hai Tumne...
K me hon phooL,
Or Tm phooL ki khushbo,
Mgr Jb phooL Murjhaye,
Kaho khushbo bhala kesi...?

Kaha Tha yad hai Tumne....
K me hon DiL,
Tm ho dharkan,
Mgr DiL Toot Jaye to,
Kaho phir dharkane kesi...?

Kaha Tha yad hai Tumne...
K me hon Aas,
Or Tm zindagi Meri,
Mgr Jb Aas Toote to,
Kaho phir zindagi kesi...?

KHWABON KA BHARAM TOOT GYA

Apne bister pe bohot dair se main neem daraz,

sochtI thi k wo is waqt kahan pr hoga,

main yahan hon mgr us koocha-e rng-o boo main,

roz ki trah sy wo aaya hoga,

or jb us ne wahan mujhko na paya hoga,,?

Aap ko elm he wo aaj nahi aayi hai,

mery hr dost se us ney yehi pucha hoga,

kion nhi aayi wo kia baat hui hy aakhir,

khud sy is bat pr sow baar wo uljha hoga,

kal wo aayega to main us sy nh boloonga,

aap hi aap kayi bar wo rootha hoga,

wo nahi hy to bulandi ka safar kitna kathn,

seerhyan charhtey huey us ne ye socha hoga,

raahdaari main harey lawn main phoolon k qareeb,

us ne hr simt mujhe aan k dhoonda hoga,

nam bhooley se jo mera kahin aaya hoga,

ghair mehsoos tariqey se wo chonka hoga,

ek jumley ko kayi bar sunaya hoga,

baat krte huey sow baar wo bhoola hoga,

ye jo larki nayi aayi hy kahin wo to nhi,

us ny hr chehra yehi soch k dekha hoga,

jaan-e mehfil hy mgr aaj faqat mere bghair,

Hi kis drja wohi bazm main tanhaa hoga,

sannaton se wehsht jo hoi hogi usey,

us ny besaakhta phr mujhko pukara hoga,

chaltey chaltey koi maanos si aahat paa kr,

doston ko kisi uzar sy roka hoga,

yaad kr k mujhy num hogyi hongi palkain,

"aank main kuch par gya kuch" keh k ye taala hoga,

or ghabraa k kitabon main jo li hogi panah,

har satar main mera chehra ubhr aaya hoga,

jab mili hogi usey meri alaalt ki khbr,

us ney aahista sy deewar ko thaamaa hoga,

soch kr ye k behel jaye pareshani-e dil,

u hi be waja kisi shakhs ko roka hoga,

ittefaaqan mujhe us shaam meri dost mili,

mainey pucha k suno aaya tha wo kesa tha,

mujhko poocha tha?Mujhe dhooda tha chaaron janib ??

Us ny ek lamhey ko dekha mujhe or hans di,

usi hansi main wo talkhi thi k us sy aagey,

kia kaha us ny mujhe yaad nhi hai lekin,i

tna maloom hai k KHWABON KA BHARAM TOOT GYA...!

Tu Kya Janey

Tu Kya Janey
Thuk'raee Janey Ka Ghaam

Dil Saa Nazok Kaanch Ka Bar'taan Toote To
Kitna Shoor Ubhaar'ta Hai

Rooh Ki Zakhmi Dewaroon Par
Chouth Parey To

Kitna Dard Bikhar'ta Hai..!

Naraaz Ho Hum Se?

Suno.....

 

Naraaz Ho Hum Se?

 

Magar Hum Vo Hain Jin Ko To Manaana b Nahi Aata

Kisi Ne Aaj Tak Hum Se Muhabbat Jo Nahi Ki Hay

 

Muhabbat Kis Tarah Hotii Hay?

 

Hamary Shehar k Atraaf Mein To

Sakht Pehra Tha Khizaon Ka

Aur Iss Shehar-e-Preshan Ki Faseelein

Zard Bailoon Se Ladi Thin

Aur Un Mein Na Khushboo Thi,Na Koi Phool Tum Jaisa

Mehak Uthtey Hamary Deeda-o-Dil Jis Ki Qurbat Se

Hum Aisy Shehar Ki Sunsaan Galioon Mein

Kisi Sookhy Hoye Veeran Pattay Ki Tarah Se Thy

k Jab Zalim Hawa Hum Per Qadam Rakhti

To Uss k Paaon k Neechay Hamara Dam Nikal Jata

Magar Pat Jharr Ka Vo Mousam

Suna Hay Tal Chuka Ab To

Magar Jo Haar Hona Thi

So Vo To Ho Chukii Hum Ko

 

Suno.....

 

Haaray Hoye Logoon Se To Rootha Nahi Karty...!!!

Tumhain jaan'na ijazat hai


Tumhain jaan'na ijazat hai

Koi bhi rasta chun lo

Humaray muntazir tehro

Ya hum ko alwida keh do

Tumhain jaa'nan ijazat hai

Humaray paoon main tou

Waqt ki zanjeer liptii hai

Qabal is k, k thak jaoo

Humaray saath chal k tum

Mohabbat ki thakawat tum ko

Hum say bad-guma'an kar day

Qabal is k, k har aik

Har aik wapsi ki raah khoo jaye

Jo socha bhi nahi hum nay

Wohi kal ko jo ho jaye

Tumhain jaan'an ijazat hai

Koi bhi faisla kar lo

Humaray muntazir tehroo

Ya hum ko alvida keh do

Humara tum say ye wada hai

Tumharai yaad ko hum tou

Sada dil k dareechay main

Youn he aabad rakhain gain

Tumhain hum yaad rakhain gain

Tumhain jaan'an ijazat hai

Tum apnay hosloon main jub

Thakawat see kabhi paoo

Kisi piyaray say mukhray ki

Haseen aankhon main kho jaoo

Ijazat hai tumhain jaa'nan

Agar is pal jo tum chahoo

Koi bhi faisla kar lo

Humaray muntazir tehroo

Ya hum ko alvida keh doo................. .....!!

Ab ke us ki ankhon mien besabab udaasi thi

Ab ke us ki ankhon mien
besabab udaasi thi
abh ke us ke chehray per
dukh tha...behawasi thi

abh ke yun mila mujh se
yun ghazal suni...jese
mein bhi na_shanasa hoon
wo bhi ajnabi jesse

zard khaal o khad uss ke
sogawar daman tha
abh ke uss ke lahjay mein
kitna khudra pan tha

wo ke umer bhar jis ne
shahr bhar ke loogon mien
mujh ko hum sukhan jana
khud se mehrban samjha
mujh ko "Dilruba" likha

abh ke sada kaghaz per
surkh roshnai se
us ne talkh lahjay mein
mere naam se pehle!
sirf "Bewafa" likha

Kaanch ki gurya

♥ Khwabon ki ik basti thi
ek larki uss me rehti thi.....!!

♥ Apne ghar k aangan me
Kuch sapnay boya krti thi.....!!

♥ Apne kamray ki khirki me
Boondon se khela krti thi.....!!

♥ Sab k samne hansti thi or
Chup chup k roya krti thi.....!!

♥ Chaand ko kahin dair tak
Wo aksar ghoora krti thi.....!!

♥ Phir khud se batain krti thi
Dekhne wali sab aankhon ko ..!!

♥ Kaanch ki gurya lagti thi
Toot gayi to sab ne jana.....!!

♥ Wo pagli, pyar kisi se krti thi.

Mery humsafar ka ye hukam tha

Mery humsafar ka ye hukam tha...!

Ke kalam us say main kum Karun,

Mery hont Aisay silay ke

phir....

Meri chup nay usko rula diya.....!

Tanha Ho To Meri Apni Koshish B Hy Is Me

Tanha Ho To Meri Apni Koshish B Hy Is Me
Or Kuch Meri Taqdir Ki Sazish B Hy Is Me

ooper Se Faqt Rakh Ka Ek Dhair Sahi Dil
Neechy Kahin Thori Abi Atish B Hy Is Me

Ye Rooh Ka Sanata Naih Itna B Khamosh
Ek Shor Sa Krti Hoi Khwaish B Hy Is Me

Ye Zindagi Ek Pyas Ka Sehra He Nahi Hy
Hr Lamha Tere Dard Ki Barish B Hy Is Me

Jamid Nahi Itna B Laho Meri Ragon Me
Baki Abi Mohoom C Gardish B Hy Is Me

Tumhari Ankhon Main Aik Til Hai

 Tumhara Kehna Hai

Tum Mujhey Be Panha Shiddat Se Chahtay Ho

Tumhari Chahat

Visaal Ki Akhri Hadhon Tak

Meray Faqat Meray Naam Hogi

Mujhey Yaqeen Hai,Mujhey Yaqeen Hai

Magar Kasam Khanay Walay Larkay!!!

Tumhari Ankhon Main Aik Til Hai

Main apni dosti ko shaher main ruswa nahi karti

Main apni dosti ko shaher main ruswa nahi karti
Mohabbat main bhi karti hon mager charcha nai karti

Jo mujhy say milnay aajaey Mai us ki dil sy khaadim hon
Jo uth ker jaana chahay, Mai usay rooka nahi karti

Jissy mai choor deti hon, usy phir bhoole jaati hon
Phir us hasti ki janib mai kabhi daikha nahi karti.

Tera israar sir aankhon py, Keh tum ko bhol jaaon mai
Main koshish ker ky daikhon gi, Mager waada nahi karti...''

Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai

Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andar Been Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain
Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain
Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein
Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun
Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti
Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai
Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein
Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai
Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne
Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne
Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai
Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai
Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai
Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho
Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi
Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon
Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho
Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri
Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho
Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain
Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai
Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye
Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho
Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein
Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein
Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya
Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki
Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne
Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai
Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki
Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar
Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein
Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai
Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila
Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai
Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein
Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai
Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga
Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai
Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon
Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan
Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai
Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise
Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai
Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai
Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa
Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai
Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun
Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain
Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya
Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti
Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai
Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon
Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi
Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi
Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain
Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se
Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai
Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga
Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai
Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai
Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre
Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre
Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen
Main Kehta Hoon NKe yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain
Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein
Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi
Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain
Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo
Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab
Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko
Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein
Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai
Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai
Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho
Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai
Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai
Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil
Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai
Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa KE bAS Se Bahir Hai
Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi
Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai
Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai
Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main
Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta
Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha
Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho
Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi
Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen
Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein
Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen
Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain
Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain
Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho
Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein
Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao
Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon
Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin
Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai
Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon
Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala
Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo
Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho JAyein
Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein
Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain
Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte
Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon
Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai
Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain
Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge
Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota
Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain
Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye
Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi
Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao
Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun
Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein
Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil
Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai
Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal GAye Honge
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge
Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per
Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai
Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara
Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain
Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi
Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati HAi
Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi
Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai
Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga
Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai
Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein
Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch
Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee
Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai
Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon
Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi
Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon
Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon
Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon
Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao
Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon
Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein
Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan
Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai
Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte
Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho
Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon
Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch
Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai
Woh Kehti Hai, TAmanayein Salamat Hi Nahi Ab To
Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan- e-Gham Kyunkar
Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun
Main Kehta Hoon Ke Jab Tak JAng Ki Soorat Nahi Milti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai
Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per
Woh Mujh Se Poochti Hhai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain
Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai
Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein
Main Kehta Hoon KE yEH Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai
Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat- e-Konain Hoon Janan
Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki
Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor- e-Batin Hoon Sahifon Mein
Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan
Woh Kehti Hai, Main Husn-e-Narmi Ehsaas Hoon Farhat
Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-e-Lams- e-Shabnam Hoon
Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr- e-Surkhi- e-Subah Hoon
Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain
Wwoh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se
Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai
Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh- e-Gham-e- Tanhai Hoon Farhat
Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein
Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye Farhat
Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai
Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan- e-Hairan Hoon Zamane Mein
Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon
Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar
Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon
Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein
Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai
Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho
Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai
Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne
Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein
Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho
Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki
Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre SE Kya Hasil
Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai
Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein
Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per
Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya
Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai
Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen
Maon Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain
Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein
Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola
Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath CHalte Hain
Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai
Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed
Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain
Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain
Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain
Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta
Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti
Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti
Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete
Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein
Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai
Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain
Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai
Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain
Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata
Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain
Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho
Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain
Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai
Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen
Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per
Woh Kehti Hai, Zameend Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Zameend Hum SE Bohat Naraz Rehti Hai
Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain
Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi
Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain
Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain
Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai
Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai
Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon
Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho
Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho
Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang JAisi Ho
Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon
Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya
Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain
Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein
Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain
Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain
Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein
Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein
Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein
Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain
Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain
Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya NahI Karta
Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta
Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain
Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai
Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain
Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai
Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein
Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak
Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi
Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa
Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein
Woh B oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai
Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si
Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi
Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi
Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein
Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain
Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai
Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain
Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya
Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain
Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye
Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni
Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar KI Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir
Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho
Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata
Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra
Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai
Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya
Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge
Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai
Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai
Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai
Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi
Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle
Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha
Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To
Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi
Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi
Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi
Main Kehta HooN, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho
Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha
Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai
Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein
Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya
Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge
Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai
Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho
Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum
Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare
Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya
Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To
Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai JAhanon Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai
Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai
Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kYA Kam Hai
Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare
Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko
Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho
Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai
Main Kehta hOON, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai
Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hAI
Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho
Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga
Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi
Main Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi
Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai..

Rootha tha jis gharoor say woh bhi to yaad kar


 
روٹھا تھا جس غرور سے وہ بھی تو یاد کر 
آنکھوں میں تیری آج یہ آنسو فضول ہیں
----------------------------
Rootha tha jis gharoor say woh bhi to yaad kar
Aankhon main teri aaj yeh aansu fazool hain..!

Preshan Raat Ho Jaye



Preshan Raat Ho Jaye, Jo apni Dastaa'n Keh doon...

Main chup reh kar 'Shab-e-Tareek' pey Ahsaan Karta hoon

Zara Tehro

 
Zara Tehro!
Chalay jana,
Mujhy Kuch Tum Say kehna hai,
Zyada waqt nahi loon ga,
Zara si baat karni hai,
Na dukh apnay sunanay hain,
Na koi faryaad karni hai,
Na ye maloom karna hai,
Keh ab halaat kaisy hain,
Tumharay ham-Safar thay jo,
Tumharay sath kaisy hain,
Na yeh maloom karna hai,
Keh ab din raat kaisay hain,
Mujhy bas itna kehna hai,
Mujhy tum yaad aatay ho.
Bohot hi yaad aatay ho

Faqat itni guzarish hai


Suno!
Main Tum say kuch nahi kehta hoon,
Faqat itni guzarish hai
k,
Utni baar aa jao
jitna yaad aatay ho !!!

Friday 29 March 2013

Na-Murad Larki

AIK Muddat K bAAd
UssaY Daikha Hai

Magar Yeh Us Ney Kaya Hall Kar Liya hAi

Wo Apni Anaa Bachatay Bachatay

Kis Qadar Bikhar Sa Gya Hai

Kitna Ujrra Hua Lag Raha Hai

Us K Hamaisha Sey Sanwray Huay Baal

Kitnay Uljhay Huay Hain

Wo To Hamaisha Sey Khush Libas Mash'hOor Tha

yEh Aaj Us K Kapray Kis Qadar Mailay Ho RahaY hAin

Ussay CigrEt SeY Sakht Nafrat Thi

Aur Aaj Us KI UngliYon Main Cigret Sulag Raha Hai

Us K Zindagi sey Bhar-Poor Lehjay Main

Is Qadar Udaasi Kaisay UBHAR Aai Hai ??

Us Ki Aankhin Kitni Bujh sI Gaii Hian

Aankhon main itni Veerani Kyun Hai??

Jab Sey Ussay Daikha hai

Us Waqt Sey Yahi Sochti HooN

Keh kaYa Meri Tarha Koi Na-Muradi Us ki Hissay Main Aaii Hai

Ya....

Mujhey Na-Muraad Lautaa K Pachhta Raha Hai . . ?

tum is dard say guzray ho na

woh rut jis men jal jati hain aankhen

tum par bhi guzri hai

woh shab jo mehtaab say tapkay

aansu aansu shabnam shabnam

woh shab mujh par bhi utri hai

woh din woh gharriyan so jaayen

lamhay pathar kay ho jaayen

woh din tum nay bhi kaata hai

woh din mein nay bhi kaata hai

donon kay jismon men roohon men

yaksaan dukh ka sannata hai

phir kyun mujh say poochtay ho tum

meri palken kyun pur'nam hain

aakhir mujh ko kaun say gham hain

tum is dard say guzray ho na?

suno mujhay is baat ka dukh nhi

images (2)1.jpg suno mujhay is baat ka dukh nhi keh meri zaat ko muntashir karnay waalay haath teray thay mujhay dukh faqt is baat ka hai keh meri raiza raiza zaat ko samaitnay waalay haath teray nhi thay

Ik larki, Pagli si, Diwani si

Ik larki,
    Pagli si, Diwani si,
    Masoom si, Anjaani si,
    Apne ghar ki mundair per bethi,
    In galiyon aur chobaaron ko,
    In koochon aur bazaaron ko,
    Dekhti hai..
    Jahan us ne apna bachpan guzara tha,
    Us ki aankhon mein tha,
    Intizaar..
    Kisi ka!
    Magar usey kaun samjhaye,
    Ke bachpan ke vaadey to,
    Kacchi dor ki tarah hote hain,
    aur,
    Bhala jane waley,
    Kab laut kar atey hain..

تمہیں دل سے بھلانے کی

تمہیں دل سے بھلانے کی شعوری کوششیں کرکے تمہیں نہ یاد کرنے کی ضروری کوششیں کرکے میں خود ہی تھک گیا ہو ں اب ادھوری کوششیں کرکے
عاطف سعید

Farmaish .......

2012-12-05 09.04.56.jpg

Kya Hai Ishq

Ik Mubhim Sa Hai Sawal Yeh Keh,
    Kya Hai Ishq ...?
    Jawab Bus Itna Hai
    Me Sumjha Nahin Sukta,
    Tum Sumjh Nahin Sukty,
    Tum Sumjha SUkty Ho,
    Mein Sumjh NAhin Sukta...

Ishq kya hai

       Ishq kya hai....!!!!!

    E'alaan hai

    Apni zaat se dust burdarii ka

    Samaan hai

    Apni ana kii rukhsatii ka

    E'atraaf hai

    Apni gumshodgii ka

    Eshtehaar hai

    La'ta'aluqii ka apney a'ap se

    Eshq kya hai

    A'adaab-e-ghulaamii kii tafseel

    Jaa ko sokhta banaey wala pahaRr

    Zindagii bun ker

    DoRrney waley lahoo mai

    Roshnii bun ker

    Roshen rehney wala ala'ow

    Tinka tinka sii yeah zindagii

    Aa'n kii aa'n mai jagirtii hai

    Dukh aur ghum ke dozukh mein

    Phir koyla baney to khatum ho qissa

    Aur raakh baney to

    Chootey jaa apni......Wajood se apni

    Haa! yeah hii hai ESHQ

    Bhuladena apni hustii ko

    Aur otar jana rooh mai

    Kisii aur key

    Baandh lena dor sans kii apni

    Oss kii sanson se

    Kerdena mudghum apni hustii ko

    Osskii hastii mein

    Chupker beth jana

    Osskii rooh kii geh-raiyo mai

    Aur toRr lena apna her naata

    Wajood se apney

    Ishq yeah hai!!!

Aao ik khel khelte hain

Aao ik khel khelte hain
    khel mohabbat ka jis main tum mujhe chaho aur main tumhein chahon
    Aur kuch nahi bas khel ho ga
    Tum ghabrana nahi
    Tum Darna nahi
    K iss khel mein bhi main tumhare saath rahon ga
    Zayada nahi toh kuch Dair to sahi
    Par Khel ho ga
    Tum Ghabrana nahi
    Main pyar se tumhare pass aoon ga
    Tum se izhar-e-mohabbat keron ga
    Ik phool doon ga tum ko
    Kaan mein kuch keh jaon ga
    Phir intezar keron ga tumhara main
    Tum kya socho gi kya kaho gi
    Be-chain rahon ga sochta rahon ga main
    Tum thora sa itra jana
    Thori si shararat thora sa bahana banana
    Mere izhar ko be shak seeney se lagana
    Par thora sa itra jana
    Tum na kehna kuch dair talak ke tum bhi chahti ho mujhe
    Kuch dair talak tum mujh ko thora sa tarpana
    Phir main jab uth ker janey lagoon
    Toh rook lena mujh ko
    Haath thamna mera
    Tum bhi keh dena
    Keh dena ke tum ko mujh se mohabbat hai
    Main sunon ga
    Itmenan se bade Maan se
    Par toofan ho ga ik uchalta hua mann mein
    Tumhain bahon mein bharney ka
    Pass apney bethaney ka
    Phir yun ho ga ke hum tum dono
    Kisi Darakht ke Taney saa'ey Taek lagaye
    Khawahishon ke kuch Diye jalaye
    Aik dojey ko Taktey jain ge
    Kuch keh na paein ge
    Yehi kerna hai bas iss khel main
    Tum ghabrana nahi
    Tum darna nahi
    Ke yeh faqat ik khel ho ga
    Khel ho ga aur bas
    K kismat ki lakeeron se shayad tujhey main pa nahi sakta
    Toh yeh Khel hi sahi
    Zayda nahi toh kuch dair hi sahi ..!

Laa Hasil

[IMG]

Aadatein bhi Ajeeb Hoti Hain

Saans Lena Bhi Kaisi Aadat Hai,

    Jiye Jana Bhi Kya Rivayat Hai,

    Koi Aahat Nahi Badan Mein Kahin,

    KOi saya Nahi Hai Ankhon Mein,

    Paon Be-his Hian Chaltay Jatay Hain,

    Ek Safar Hai Jo Behta Rehta Hai,

    Kitnay Barson Se,

    Kitni Sadiyon se,

    Saans Letay Hain,

    Jeetay Rehtay Hain,

    Aadatein bhi Ajeeb Hoti Hain....!!!!

Zindgi per kitab likhungi

Zindgi per kitab likhungi…
Us mai sarey hisab likhungi….

Pyar ko waqt guzari lik kar…..
Chahton ko azaab likhungi..,

Hui barbad m0habbat kaisey….
Kaisey bikhry hain khuwab likhungi…..

Apni khwahish ka tazkra kar k….
Naam tera jawab likhungi….

Teri ankhain sharab ki manind…..
Tera chehra gulaab likhungi….

Mai tuj se judai ka sabab….
Apni kismat kharab likhungi…

Thursday 28 March 2013

Khawab Toot Jatay Hain

Khawab Toot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain
Dostdar Lehjay Main Silwatain Si Parti Hain
Ek Zara Si Ranjish Say
Shak Ki Zard Tehni Pay Phool Badgumani K
Is Tarhan Say Khiltay Hain
Zindagi Say Pyaaray Bhi
Ajnabi Say Lagtay hain
Ghair Ban K Miltay Hain
Umar Bhar Ki Chahat Ko Asra Nahin Milta
Khamoshi K Waqfon Main
Baat Toot Jati Hai
Aur Sira Nahin Milta
Ma'zirat K Lafzon Ki Roshni Nahin Milti
Lazzat Pazeerai Ki Phir Kabhi Nahin Milti
Phool Rang Wadoon Ki Manzilain Sukartin Hain
Rah Murnay Lagti Hai
Berukhi K Gherai Say Bedili Ki Mitti Say
Faslon Ki Eenton Say Eent Jurnay Lagti Hai
Wehmon K Sai Say
Umar Bhar Ki Mehnat Ko Pal Main Loot Jatay Hain
Ek Zara Si Ranjish Say Sath Choot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain

Khawab Toot Jatay Hain
Khawab Toot Jatay Hain

Sab se Chhupa Ke Dard, Jo Woh Muskura Diya

Sab se Chhupa Ke Dard, Jo Woh Muskura Diya...
Us Ki Hansi Ne Aaj to Mujh ko bhi rula Diya...

Lahje Se Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Dhuaan...
Chehra Bata Raha Tha Ki Kuch Ganwa Diya...

Awaz Mein thehrao tha Aankhon Mein Nami Thi...
Aur Keh Raha Tha Ke Maine Sab Kuch Bhula Diya...

Jane Kyun thi Usko, Logoon Se itni Shikayaten...
Tanhayion Ke Desh Main Khud Ko Basa Diya...

Khud Bhi Woh Hum se Bicher Ker Adhure Sa Ho Gaya...
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya

Ap Mere Ho Na....?

Suniye !

Apni Khubsurt Kalaai Me
Bray Chao Se Churiyan Ghumaty Huy Usne Kaha

Ye Churiyan Dekhiye Kesi Hen?
Ye Apko Psand Hen?
Ye Ap K Naam Ki Hen
Hmne Apki Trf Se Li Hen

Ap Hmary Ho Na?
Ho Na Ap Hmary?

Is Se Pehly K Wo Mri Ankh Me Chmakty Ansu Dekhti
Jldi Se Meny Kaha
Han Bht Khubsurt Hen Ye Churiyan
Tmhari Kalaai Me Bht Saj Rhi Hen

Mry Nam Ki Daaway Dar
Wo Pyari Masoom Lrki
Khushi Se Muskra Di
Or Bhul Gai Apny Swal Ka Jwab K

Ap Mere Ho Na....?

Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Mohabbat Ka Asar Ho Ga, Ghalat Fehmi Main Mat Rehna,
Wo Badley Ga Challan Apna, Ghalat Fehmi Main Mat Rehna,

Tasalli Bhi Usey Dena, Ye Mumkin Hai Main Laut Aaon,
Magar Ye Bhi Usey Kehna, Ghalat Fehmi Main Mat Rehna,

Tumara Tha, Tumara Hoon, Tumara He Rahoon Ga Main,
Marey Baarey Main Is Darja, Ghalat Fehmi Main Mat Rehna,

Mohabbat Ka Bharam Toota Hai, Ab Chup Chup Rotey Ho,
Tumain Hum Ne Kaha Tha Na, Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Tum Mujhko Gurriya Kehte Ho

Tum Mujhko Gurriya Kehte Ho,
Theek He Kehte Ho,
Khelnay Walay Sab Hathoan Ko
Mein Gurriya He Lagti Hun,
Jo Pehna Do,Mujh Pe Sujayga,
Mera Koi Rang Nahin,
Jis Buchay K Hath Thuma Do,
Meri Kisi Se Jang Nahin,
Soati Jagti Aankhain Meri,
Jub Chahay Beenaee Le Lo,
Koook Bharo Aur Batain Sun Lo,
Ya Meri Goyaaee Le Lo,
Maang Bharo Senduur Lagao,
Pyar Karo ,Aankhoan Mein Basao,
Aur Phir Jub Dil Bhar Jaaiy Tau,
Dil Se Utha K Taaq Pe Rakh Do

Tum Mujh Ko Gurriya Kehte Ho,
Theek He Kehtay Ho

Firaq E Yaar Ki Barish,Malaal Ka Mousam

Firaq E Yaar Ki Barish,Malaal Ka Mousam
Hmaray Shahar Mein Utra Kamaal Ka Mousam
 
Wo Ek Dua Jo Meri Na Muraad Lout Ayi
Zuban Say Oth Gaya Phir Sawaal Ka Mousam
 
Bohat Dinon Say Merey Zahan K Darichon Mein
Thahar Gya Hay Tumharay Khayaal Ka Mousam
 
Jo Bay Yaqeen Hon Baharain Ujhar Be Sakti Hain
Too A Kay Dekh Merey Zawaal Ka Mousam
 
Mohabatain Be Teri Dhoop Chaon Jaisi Hain
Kabhi Yeh Hijar,Kabhi Yeh Vasaal Ka Mousam
 
Koi Mila He Nahi Jis Ko Sonptay Mohsin
Hum Aisay Khavab Ki Khushboo,Khyaal Ka Mousam

Tum Kahti Ho

Tum Kahti Ho
Meray Khat Mujh Ko
Wapis Kar Doo ..
Wapis Kar Doo
Beghi Shamian
......Khushbu Yaadain ..
Sari Baatain
Tum Kahti Ho ..
Wapis Kar Dooo..

Kutch Soohkay Phool
Kitabo Mian
Aik Chehra Hai
Meray Khuwaabon Mian
Kutch Tuhfay Hain
Tasveerain Hain
Meray Daman Main
Yehi Cheezain Hain ..


Jo Tanhaye Ki Sathi Hain..
Sari Yaadain ..
Tum Kahti Ho
Wapis Kar Doo.. Wapis Kar Doo..
Meray Khat Mujh Ko , Um Kahti Ho
Wapis Kar Doo.

Khushiyan Saari
Ho Ghum Saray.. Waday Qasmain Mausam Saray
Jo Sath Bahay.. Woh Sab Ansoo
Beetay Lamhoon Kay Sab Jugnu
Jo Tanhaye ..
Ki Saathi Hian .. Sari Yaadain .. Tum Kahti Ho
Wapis Kar Do

CHALO HUM HAAR JAATE HAIN

Chalo Tum Theek Kehte Ho

Muhabat Aur Sayasat Main

Sabhi Atwaar Jaaiz Hain

Chalo Hum Maan Lete Hain

Mager Ye Jung Kesi He

Tum Hi Mere Muqabil Ho

Chalo Hum Jeet Ki Khawahish

Tum Hi Pe Waar Dete Hain

Dhanak K Pull Pe Chal K Hum

Gagan K Paar Jaate Hain

CHALO HUM HAAR JAATE HAIN....

Wednesday 27 March 2013

Kabhi daman kabhi palkain bhighona KIS ko kehte hain

Kabhi daman kabhi palkain bhighona KIS ko kehte hain?
Kisi mazloom se pööcho k "RONA" kis ko kehte hain,
 
Kabhi meri jaga khud ko rakho phir "JAAN" jao gè,
K dunyä bhar k dukh dil main "SAMONA" kis ko kehte hain,
 
Meri ankhay mere chehry ko ik din "GHOAR" se dekho,
Magar mät Pochna "WEERAAN" hona kis ko kehte hain,
 
Tumhara dil kabhi pighle agar "GHAM" ki hararat se,
Tumhain malum ho jaye ga "KHONA" kis ko kehte hain.

Barh kay Khareed Ley, Koi Aisa Hai Yahan

Barh kay Khareed Ley, Koi Aisa Hai Yahan.

Meray Tamaam Khaawb Baraa-e- Farokht Hain…!!

Jahan sawal k badley swaal hota hai

Jahan sawal k badley swaal hota hai.

wahein Mohabbton ka zawaal hota hai.

Kisi ko Apna banana bara hunar hai magar.

Kisi ka ban k rehna Kamaal hota hai.

Kya Dhop Me Barish Hoti Hai

Jab Main ne Us Se Pocha Tha.

Kya Dhop Me Barish Hoti Hai.

Wo Hanste Hnste Rone Lagi.

Or Dhop Me Barish Hone Lagi.

Nazuk Si Kali Murjha C Gayi.

Or Ro Kar Mujh Se Kehne Lagi.

Tum Chor Na Jana O Sajan.

Dil Tor Na Jana O Sajan.

Tum Kya Jano Dhop Ki Barish ko.

Tum Kya Jano Hijir K Gham ko.

Jab Tum Door Thy Mujh Se O Sajan.

Mere Hath Ki Chori Aur Kangn.

Jab Geet Tumhare Gaty Thy.

Mujhe Yaad Boht Tum Aaty Thy.

Main Hnste Hnste Roti Thi.

Aur Dhop Mn Barish Hoti Thi.

ishq hara hai to dil thaam k kyun bethy ho


ishq hara hai to dil thaam k kyun bethy ho.
Tum to her baat py kehty thy koi baat nahi.

Naadani ki hadd hai zara dekho to unhe


Naadani ki hadd hai zara dekho to unhe.

Mujhe kho kar wo Mere jaisa dhoondh rahe hain.