affiliate marketing Famous Urdu Poetry: July 2013

Monday 29 July 2013

Tum Eid Manao Saj Dhaj K

 Tum Eid Manao Saj Dhaj K
Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Jis Haal Mein Hon Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Tum Singaar Karo Jo Tumhara Haq Hai,
Mera Kia Hai Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Log To Tera Dam Bharte Hain Husan Daikh K,
Mera Kon Mujhe Kon Janta Hai Mein Aise Hi Sahi,
Ye Eid Tum Ko Khoshian Naseeb Kare,
Mein Bad Naseeb Hon To Aisa Hi Sahi,
Tum Ko To Ko Har Eid Pe Saj Dajh K Raha Karo,
Main Haal Se Behaal Hon To Aisa Hi Sahi........!

Wo Hum Nahi Jinhein Sehna Ye Jabar Aa Jata

 Wo Hum Nahi Jinhein Sehna Ye Jabar Aa Jata.

Teri Judai Mein Kais Tarah Sabar Aa Jata.

Faseelen Toorr Na Daite Jo Ab K Ehl-E-Qafs.

To Aur Tarah Ka Elaan-E-Jabar Aa Jata.

Wo Fasla Tha Dua Aur Mastajabi Mein.

K Dhoop Mangne Jate To Abar Aa Jata.

Wo Mujh Ko Chorr K Jais Aadmi K Pass Gia.

Barbri Ka Bhi Hota To Sabar Aa Jata.

Wazeer-O-Shah Bhi Khas Khanon Se Nikal Aate.

Agr Gumman Mein inkar-E-Qabar Aa Jata........!

Hasrat Hai Tumhari Deed Karain

 Hasrat Hai Tumhari Deed Karain

Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain

Kuch Dair To Dil Ko Chain Mile

Kuch Roz To Man Ka Phool Khile

Kehte Hain Eid Ki Aamad Hai

Ab Log Bhi Kuch Ta'eed Karain

Tum Se Ye Ek Guzarish Hai
Ye Apne Dil Ki Khwahish Hai

Ek Bar Milo Ek Bar Milo
Har Bar Yehi Takeed Karain

Jab Gham k Badil Chaay Thay

Us Waqt bhi Tum Na Aye Thay

Is Bar bhi Tum Nahi Aye Ho

Dushman bhi Ye Tanqeed Karain

Mana k Hum Dewane Hain
Sub Baton Se Anjane Hain

Jab Apne Hi Begane Hain
Kia Ghairon Se Umeed Karain

Tum Ao To Hum bhi Eid Karain..................!

Eid Pe Jab Us Ne Mehndi Lagai Ho gi

 Eid Pe Jab Us Ne Mehndi Lagai Ho gi,,

Sookh K Jab Hina Rang Layi Hogi,,

Mehndi Ka Rang Daikh Kar Haathon Par,,

Chupky Sy Holy Holy Wo Muskrai Hogi,,

Saj K Sanwry K Eid K Din Wo,,

Beech Sahliyoun K Gun-Gunai Hogi,,

Saath Sahliyoun K Hansty Muskraty,,

Ik Pal Ko Mairi Mohabbat Yaad Aayi Hogi,,

Name Liya Hoga Kisi Sahli Ny RAAHI Ka Jab,,

Dil Ki Khushi Chhupa Kar Wo Sharmai Hogi........!

Suna Hai Eid Bichrre Howe Ko Milati Hai

 Jab Bhi Kabhi Nai Eid Aati Hai.

Sath Khushiyan Apne Lati Hai.

Kuch Dar Ayse Bhi Hote Hain.

Aanken Jahan Muntazir Behti Hai.

Kuch Log Jo Dil Mein Rehte Hain.

Un Ki Yaad Bahut Satati Hai.

Jab Bahaar-E-No Guzrarti Hai Chaman Se.

Un Ki Khushbo Pher Se Lati Hai.

Ayse Mein Un Ki Sab Hi Pechli Batain.

Har Aahat Par Hum Ko Tarrpati Hai.

AFFAN, Too To Hai Pardees Mein.

Suna Hai Eid Bichrre Howe Ko Milati Hai....!

Ye Eid Bhi Kitni Nirali Hai

Ye Eid Bhi Kitni Nirali Hai.

Bas Mera Ghar Hi Khali Hai.

Wo Rooth K Kia Gaye Hum Se.

Ab To Jaan Humari Jane wali Hai.

Dar Dar Ja K Un Ko Dhoondte Hain.

Ab Bhi Meri Nazar Sawali Hai.

Is Bagh Ka Bulbl Door Gia hai.

Is Wadi Mein Ab Kehat Saali Hai.

Phool Bhi Sehme Sehme Se Hain.

Kion K Aandhi Aane wali Hai.

Ye Eid Nahi Matam Bani Hai Yaro.

Toota Phool To Ab Roti Dali Hai.

Aye Eid Kia Tum Khushian Lai Ho.

AFFAN Ki Jholi To Ab Tak Khali Hai.....!

Guzari Ab K Baras Eid Safar Mein

Guzari Ab K Baras Eid Safar Mein,

Muntzir Rahi Koi Hasti Ghar Mein,

Raah Dekhti Rahi Shab-E-Hilaal Tak,,

Paya Na Mera Naqash-E-Paa Nagar Mein,

Barsi Eid K Roz Bhi Us Ki Aankhein,

Din Eid K Lout Aaye Shayd Rahi Isi Fikar Mein,,

Jaan Na Pai Ye Majboori Mairi,,

Kitna Majboor Tha Main Bhi Khazar Mein,,

Kahti Rahi Ye Baat Wo Fone Kar K,,

Lot Aao Raahi Rahty Ho Kyoun Itna Safar Mein......!!!

Ek Bar Suno Kuch Aisa Howa

 Ek Bar Suno Kuch Aisa Howa,

Wo Mujh Ko Mili Main Us Ko Mila,

Izhar Howa Iqraar Howa,

Wo Dost Bani Main Yar Howa,

Usay Ishq Bahut, Mujhe Pyar Bahut,

Hum Dono Mein Takraar Bahut,

Phir Kuch Youn Howa,

Wo Chor Gai, Main Toot Gia,

Phir Kuch Youn Mile,

Wo Tanha Thi,

Main Akela Tha,

Bas Hum Do Thay Aur Koi Na Tha,

Wo Rone Lagi,

Main Bebas Raha,

Na Pyar Na Hi Izhar Raha,

Bas Farq Sirf Itna Sa Raha,

Wo Mati K Opar Roti Rahi,

Main Matti K Andar Sota Raha..............!

Hosla Mujh Mein Bhi Balaa Ka Tha

 Hosla Mujh Mein Bhi Balaa Ka Tha,

Rasta Ghalban Wafa Ka Tha,

Jal Bujhi Titlian Mohabbat Ki,

Dasht Biphra Howa Anaa Ka Tha,

Kal Jise Umar Bhar Ko Chor Dia,

Pyar Bhi Us Se Intha Ka Tha,

Har Dua Di Judai Par Us Ne,

Lekin Andaz Bad Dua Ka Tha,

Saans Roke Khara tha Malkal Mout,

Samna Deep Ko Hawa Ka Tha,

Bhoolne Wala Lout To Aaya,

Waqt Maghrib Ya Ishaa Ka Tha,

Ruk Gia Main Saza Se Kuch Pehle,

Us Ko Ehsas Khud Khata Ka Tha,

Butt Kadde Mein Maraa To Phir Kia Hai,?

Maanne Wala To Khuda Ka Tha,

Sab Khazane Manga Liye Rab Ne,

Faisla Ishq Ki Jaza Ka Tha,

Qais Tha Lajawab Laila Bhi,

Jab Sawaal Aik Ki Baqa Ka Tha.....................!

Poet Shazad Qais

Husn Gul Hai Bahar Deta Hai

 Husn Gul Hai Bahar Deta Hai,

Ishq Hasti Sanwaar Deta Hai,

Sirf Ik Dil Ka Rona Rote Ho.

Gham To Basti Ujaar Deta Hai,

Jo Bhi Dil Chahe Dil K Sath Karo,

Dil Tumhain Ikhtiyar Deta Hai,

Chand Gharian Udhaar Mangi Thein,

Aaj Kal Kon Udhaar Deta Hai,

Aadmi Badshah Hai Jangal Ka,

Ye To Apne Bhi Maar Deta Hai,

Khawab Mein Iltija Wo Karte Hain,

QAIS Zulfain Sanwaar Deta Hai....................!
Poet Shahzad Qais

Saturday 27 July 2013

Aakhari Khat Na Parh Saka Main Bhi

 Aakhari Khat Na Parh Saka Main Bhi !

Aas Kia Deta Ro Dia Main Bhi !

Sirf Sunne Ki Taab Thi Shayad !

Wo Bhi Khamoshi Chup Raha Main Bhi !

Hijar Ki Sakhat Sard Raton Mein !

Wo Bhi Jalta Raha, Jala Main Bhi !

Aaj Wo AAP Par Hi Tehra Raha !

Fasle Rakh Kar Hi Mila Main Bhi !


Orh Li Us Ne Chehre Par Ronaq !

Samne Sab K Khush Raha Main Bhi !

Galti Se Aankhain Do Chaar Hote Hi !:-*

Sakht Mohtat Tar Howa Main Bhi !

Wo Bhi Ulti Kitab Parne Laga !

Kal K Akhbar Mein Chapaa Main Bhi !

Gudiaan, Gudde Ka Khel Tha Shayad !:-*

Mutmain Ho k So Gia Main Bhi !

Umar Bhar Us Ko Ishq Ho Na Saka !

Aur Ek Roz Jal Bujha Main Bhi !

Har Taraf Laila Laila Hote Dekh !

Ban Gia Qais Bewafa Main Bhi.....................!

Poet Shahazad Qais

Zara Sa Maan Rakh Lena Meri PehLi Mohabbat Hai

 Zara Sa Maan Rakh Lena Meri PehLi Mohabbat Hai

Sitam Tum Soch Kar Karna Meri Pehli Mohabbat Hai,

Agr Jane Ki Zid Hai To Chale Jao Magar Sun Lo!

JaLdi Louat K Aana Meri PehLi Mohabbat Hai,

Jigar K Khoon Se Likh Kar Tujhe Paigham Bheja Hai

Ek Ek Lafz Ko Parhna Meri PehLi MOhAbBat Hai,

Mit Jaon Ga Dunian Se Mujhe DiL Se Mitana Mat

Sada DiL Mein Mujhe Rakhna Meri PehLi Mohabbat Hai.................!

Bat Sawab Ki Lagti Hai

 Aao Sajan Se Milwaon Bat Sawab Ki Lagti Hai,

Rang Gulabi Mehka Mehka Bat Gulab Ki Lagti Hai,

Chaal Saba Se Milti Julti Bat Sharab Ki Lagti Hai,

Dekhe Ziada BoLe Kam Kam Bat Hisab Ki Lagti Hai,

Hath Pe Rakha Hath Achanak,

Bat To Khawab Ki Lagti Hai,

Us Ka Aa Kar Zulf Ko Choona Bat Sarab Ki Lagti Hai,

Sargoshi Mein Kia Poocha Tha Bat Hijab Ki Lagti Hai,

Pal Mein Roothe Pal Mein Maane Bat Janab Ki Lagti Hai,

Us Ka Hijar Btao Kaisa Bat Azab Ki Lagti Hai,

Aadha Chanda Aadha Baadal Bat Naqab Ki Lagti Hai,

Thora Thora Sa Harjai Bat To Aap Ki Lagti Hai....................!

Friday 26 July 2013

Kaha Us Ne Zamana Dard Hai Ar Tum Dawa Jaise

 Kaha Us Ne Zamana Dard Hai Ar Tum Dawa Jaise,

Laga Tum Se Mohabbat Hai Mujhe Us Ne Kaha Jaise,

Talab Ki Us Ne Jab Mujh Se Mohabbat Ki Wazahat To,

Bataya Dasht K Honton Pe Barish Ki Dua Jaise,

Kaho A Gul Kabhi Khushbo Ka Tum Ne Aks Dekha Hai,

Kaha Qos-E-Qaza K Sare Rangon Ki Sada Jaise,

Suno Khawahish Ki Lehron Par,

Sambhalna Kion Howa Mushkil,

Btaya Panion Par Khawab Ki Rakhi Bana Jaise,

Suno Aankhon Hi Aankhon Ka Bayaan Kaisa Laga Tum Ko,

Laga Phoolon Se Sargoshi Si Karti Hai Saba Jaise....................!

Abhi kuch aur karishmay ghazal K dekhte hain

 Abhi Kuch Aur Karishmain Ghazal K Dekhte Hain.

FARAZ, Ab Zara Lehja Badal K Dekhte Hain.

Judaiyan To Muqadar Hain Pher Bhai Jaan-E-Safar.

Kuch Aur Door Zara Sath Chal K Dekhte Hain.

Rah-E-Wafa Mein Hareef-E-Kharam Koi To Ho.

So Apne Aap Se Aage Nikal K Dekhte Hain.

Too Samane Hai To Pher Kion Yaqeen Nahi Aata.

Ye Bar Bar Jo Aankho Ko Mal K Dekhte Hain.

Ye Kon Log Hain Teri Mehfil Mein.

Jo Lalachon Se Tujhe, Muj Ko Jal K Dekhte Hain.

Ye Qurb Kia Hai K Yak-jaan Howe Na Door Rahe.

Hazaar Aik Hi Qallb Mein Dhal K Dekhte Hain.

Na Tujh Ko Maat Hoi Na Mujh Ko Maat Hoi.

So Ab K Dono Hi Chalain Badal K Dekhte Hain.

Ye Kon Hai Sar-E-Sahil K Dubne Wala.

Samandaro Ki Tehon Se Uchhal K Dekhte Hain.

Abhi Talak To Na Kundan Howe Na Rakh Howe.

Hum Apni Aag Mein Har Roz Jal K Dekhte Hain.

Bahut Dinon Se Nahi Hai Kuch is Ki Khair Khabar.

Chalo FARAZ ko Aye Yaar Chal K Dekhte Hain......!

Zidon Sameit Kabhi Dil Ko Chorna Ho Ga

 Zidon Sameit Kabhi Dil Ko Chorna Ho Ga,

Ye Aaina Kisi Pathar Pe Torna Ho Ga,

Yehi Nahi K Humain Tor Kar Gia Hai Koi,

Usay Bhi Khud Ko Bahut Deir Jorna Ho Ga,

Tulli Hoi Hai Bahut Sar Kashi Pe HIJAR Ki Rutt,

Ye Rutt Rahi To Kahein Sar Hi Phorna Ho Ga,

Qareeb Sahil-E-Daria Bichi Hai Piyas Meri,

Hiwas Ko Daman-E-Daria Nichorna Ho Ga!

Talab Ko Too Na Mile Ga To Aur Log Bahut,!

Kisi Taraf To Ye Toofan Bhi Morna Ho Ga,

Kabhi Mata-E-Safar Tha Jo Dilruba MOHSIN,

Khabar Na Thi Usay Raste Mein Chorna Ho Ga...........................!

Ghazal sun kar preshan ho gaye kia

 Ghazal Sun Kar Preshan Ho Gaye Kia,

Kisi K Dhian Mein Tum Kho Gaye Kia?

Ye Baigana Ravi Pehle Nahi Thi,

Kaho Tum Bhi Kisi K Ho Gaye Kia?

Na Parsash Na Samjhane Ko Aaye,

Humare Yar Hum ko Ro Gaye Kia?

Abhi Kuch Der Pehle Tak Yehern Thay,

Zamana Ho gia Tum Kho Gaye Kia?

Kisi Taaza Rafaqat Ki Falak Hai,

Purane Zakham Ache Ho gaye Kia?

Palat Kar Charagar kion Aa gaye Hain,

Shab-e-Furqat K Maare So Gaye Kia?

Faraz Itna Laho Utra Hosle Par,

Usay Bhoole Zamane Ho gaye Kia..................!

Hum Wafain Sabaat Karte Hain

 Jitne Aajiz Halaat Karte Hain.

Hum Wafain Sabaat Karte Hain.

Shab Guzarti Hai Youn ibadaat Mein.

Teri, Taron Se Baat Karte Hain.

Tumhari Khushiyon K Sadqe Mein.

Apni Khushiyan Kheraat Karte Hain.

Faqt Kantay Hi Zakham Nahi Dete.

Gul Bhi Ye Wardaat Karte Hain.

Dard Hum Pe Hain Mehrbaan Kitne.

Har Lamha Barsaat Karte Hain.

Bazam Yadaan Mein Wo Jo Aate Hain.

Aankhon Aankhon Mein Raat Karte Hain.

Basat Hijar K Ye Payade Bhi.

Shah TABASUM Ko Maat Karte Hain.........!
 
Poet: Amjid Husain Tabasum

Humain Sab Se Juda Rakhna

 Tumhain Maloom
Hai K Hum,

Dilon Mein Mojzan Jazbon
K Jaise Hain,

Khayalon K Kisi Guldaan Mein,

Mehke Howe Phoolon K Jaise Hain,

December K Dino Aur January Ki

Bheeghti Shamon K Jaise
Hain

Aur Aise Angint Kamon K Jaise Hain,

Jinhain Karna Zaroori Bhi Nahi Hota,

Magr Wo Dosh Par ek Qaraz Hote Hain,

Namaz-e-Ishq Parhti Ho To Phir Sun Lo,

Tumhare Waste Hum Farz Hote Hain,

To Jana Tum Pe Lazim Hai K,

Is Khawabon K Be Aabad Sehra Mein,

Humare Khawab Sab Se Mavira Rakhna,

Humain Sab Se Juda Rakhna....................!

Do Ghoont Ka Aey Saqi Ehsaan Nahin Lon Ga

 Do Ghoont Ka Aey Saqi Ehsaan Nahin Lon Ga,

Main Tishna Labi Dy Kar Ek Jaam Nahi Loon Ga,

Izhaar-e-Tamanna Hai Toheen-e-Tamanna

Tum Khud Hi Samajh Jao Main Naam Nahin Loon Ga,

Jo Shaam Jagati Ho Jo Subh Rulati Ho

Woh Subh Nahin Loon Ga Wo Shaam Nahi Loon Ga,

Aey Ehl-e-Chaman Rakh Lo Yeh Tohfa-e-Gul Apna,

Haq Mera Mujhy De Do Inaam Nahi Loon Ga,

Main Raah K Sa'ay Se Khairaat-e-Sukoon Kiyon Loon,

Main Maang K Manzil Se Aaraam Nahin Loon Ga,

Ek Deeda-e-Khalwat Ki Tum De Do Ejazat Ab

Baad is K Muhabbat Ka Main Naam Nahin Longa.

Udas Logon Se Pyar Karna Koi To Seekhe

 Udas Logon Se Pyar Karna Koi To Seekhe

Sufaid Lamhon Mein Rang Bharna Koi To Seekhe

Koi To Aaye Khizan Mein Patte Ugane Wala

Gulon Mein Khushbo Qaid Karna Koi To Seekhe

Koi To Aaye Naye Ruton K Payam Le Kar

Meri Nigahon Se Bat Karna Koi To Seekhe

Koi To Aaye Aandherion Mein Charagh Ban Kar

Andheri Raton Mein Chand Ban'na Koi To Seekhe

Koi Payambar Koi Imaam-e-Zamaan Hi Aaye

Aseer Zehnon Mein Soch Bharna Koi To Seekhe................!

Aaj Dulhan K Laal Jore Mein

 Aaj Dulhan K Laal Jore Mein,

Usay Us ki Sahaliyon Ne SaJaya Ho ga,

Meri Jan K Goray Hathon Ko Mehndi Se Sajaya Ho ga,

Bahut Ghare ChaRa Ho ga Mehndi Ka Rang,

Us Mehndi Mein Us ne Mera Naam ChupaYa Ho ga,

Rah Rah K Ro paRi Hogi,

Jab Us ko Mera KhaYal Aaya Ho ga,

Khud Ko Dekha Ho ga Jab Aaine Mein To Aks Mera Bhi Nazar Aaya Ho ga,

Bahut Piyari Lag Rahi Ho gi Wo AaJ

Dekh Kar Us ko Chand Bhi Sharmaya Ho ga,

AaJ Meri Jan Ne Apne MAA BAAP Ki Izat Ko BachaYa Ho ga,

Us Ne Beti Hone Ka Har Farz NibhaYa Ho ga,

Sochta Hon Kis Tarhan Us ne Khud Ko SamJhaYa Ho ga

Apne Hathon Se HuMare Khaton Ko JaLaYa Ho ga,

Khud Ko Mazbot Bana kar Meri Yadon Ko MitaYa Ho ga,

Bhookhi Ho gi Wo Janta Hon Main,

Mere Bina Us ne Kuch Na KhaYa Ho ga.........!

Thursday 25 July 2013

Wo Mehndi Lage Hath Dekha K Roi

Wo Mehndi Lage Hath Dekha K Roi


Main Kisi Aur Ki Hon Wo Ye Bata K Roi,


Main Bola Kon Hai Wo Khush Naseeb,


Wo Mehndi Se Likha Howa Naam Dekha K Roi,


Kahein Gham Se Phat Na Jaye Jigar Mera,


Wo Hanste Hanste Mujhe Hansa K Roi,


Dil Na Toote Us Ka Gham-e-Hijar Mein,


Main Bhi ROYa Wo Bhi Meri Aankh Se Aankh Mila K Roi,


Us N Jana Jab Mere Rone Ka Sabab,


Apne Aanso Meri Hathaili Pe Saja K Roi,


Jab Bhi Dekha Usay Hanste Howay Dekha,


Wqt-e-Hina Har Khushi Ko Wo Bhula K Roi,


Dil Ne Chaha Usay Jee Bhar K Dekh Lon,


Wo Meri Aankhon Ki Pyas Ko Bujha K Roi,


Mujh Ko Khone K Gham Mein Mohaal Ho Kar,


Wo Meri Tasveer Ko Honton Se Laga k Roi,


Waqt-e-Rukhsat Mein Main Ne Kaha Roti Kion Ho,


Wo Mujhe Anjam-e- Mohabbat Batla K Roi,


Lag Gai Dil Mein Mere Aatish Yaro,


Jab Wo Meri Har Bat Mita Kar Roi..........................!

Tum Hoti To Aisa Hota

 Main Banjara Waqt K Kitne Shaharn Se Guzra Hon Lekin,

Waqt K Is Shahr Se Jate Jate,

Mur Kar Dekh Raha Hon
Soch Raha Hon,

Tum Se Mera Ye Nata Bhi Toot Raha Hai,

Tum Ne Mujh Ko Chora Tha,

Jis Shahr Mein Aa K Wo Shahr Bhi,

Mujh Se Choot Raha Hai,

Mujh Ko Wida Karne Aaye Hain,

Wo Sare Din Jin K Kandhe Par Souti Hai,

Ab Bhi Teri Zulf Ki Khusbo
Wo Sare Lamhe,

Jin K Maathe Par Hain Roshan,

Ab Bhi Tumhare Lams Ka Tika,

Jab Thak Jaon Ga Tanhai K Teele Par Ja Kar Bethon Ga,

Phir Jaise Pahchan K Mujh Ko,

Ek Banjara Jan K Mujh Ko
Waqt K Agle Shahr K,

Sare Nanne Munne Bhole Lamhe,

Nange Paon Bhage Bhage Aa Jain Gay,

Mujh Ko Ghar K Bethain Gay,

Aur Mujh Se Kahein Gay Kion Banjare,

Tum To Vaqt K Kitne Shahron Se GuZre Ho,

Un Shahron Ki Koi Kahani Humain Sunao,

Un Se Kahon Ga,

Nanne Lamho,

Ek Thi Rani,

Sun K Kahani,

Sare Ghamgeen Lamhe,

Mujh Se Ye Poochain Gay,

Nam Aankho Se Gum Sum Mujh Ko Dekh Rahe Hain,

Mujh Ko Un K Dukh Ka Pata Hai,

Un Ko Mere Gham Ki Khabar Hai,

Lekin Mujh Ko Hukm-e-Safar Jana Ho Ga,

Waqt K Agle Shahr Ab Mujhe Jana Ho Ga,

Naye Shahr K Sab Din Sab Ratain,

Jo Tum Se Nawaqif Hon Gi
Wo Kab Meri Bat Sunein Gay,

Mujh Se Kahein Gay Jao Apni Rah Lo,

M O H S I N

Hum Ko Kitne Kaam Pare Hain,

Jo Beeti So Beet Gai Ab Wo Kion Darte Ho,

Kandhe Par Jholi Rakhe
Kion Phirte Ho Kia Pate Ho,

Main Bechara Ek Banjara
Awara Phirte Phirte,

Tum Kion Un K Shahr Na Aai,

Lekin Un Ko Bula Lon Ga
Un Se Kahon Ga,

Ye Mat Poocho,

Aankhain Munro Aur Ye Socho,

Wo Hoti To Kaisa Hota,

Tum Ye Kehti Tum Wo Kehti,

Tum Is Bat Pe Hairan Hoti,

Tum Is Bat Pe Kitni Hansti,

Tum Hoti To Aisa Hota,

Tum Hoti To Waisa Hota,

Dheere Dheere Sare Nahi Lamhe So Jain Gay,

Aur Main Hole Se Uth Kar
Waqt K,

Agle Shahr K Raste Ho Lon Ga,

Yehi Kahani Phir Dohrani,

Tum Hoti To Aisa Hota,

Tum Hoti To Waisa Hota................!

Kaho Alwida Mujhe Is Tarha

 ===========
Kaho Alwida
===========
Kaho Alwida Mujhe Is Tarha
K Wo Tamaam Chehray, Wo Tamaam Baatein, 
Wo TamaamSaa'atein,
Wo Tamaam Raatein, TamaamChaahatein
Wo Rag_e_Jaan Say Qareeb Rishtay,
Rehein Dil Mein Makeen Ban Kar,
Rehein Saath Wo Haseen BanKar,
Kabhi Na Un Ko Bhulao Tum,
Kaho Alwida - Kaho Alwida Mujhe Is Tarha
Anaa K Butt Ko Sambhaal Rakho,
Aansu'on Ka Hisaar Rakho,
Muhabbaton K Haar Rakho,
Kabhi Chaahaton Ki Qabar Banao Tum,
Koi Deep Dil Mein Jalao Tum,
Kaho Alwida - Kaho Alwida Mujhe Is Tarha
K Toot Na Paaye Rabt Apna,
Rehay Nazar Mein Zabt Apna,
Zehn Mein Saaray Sawaal Rakho,
Jawaab Saaray Taiyyaar Rakho,
Na Dosto'n Say Gila Karo Tum,
Kaho Alwida - Kaho Alwida Mujhe Is Tarha
Koi Bhi Dosto'n Ka Chalan Rehay,
Tumhar Un Say Phir Bhi Sukhan Rehay,
Chaahay Dil Mein Kesi Hi Chubhan Reha
Magar Guftugu Mein Husn_Zann Rehay
Piyar Apna Phir Bhi Jatao Tum
Kabhi Alwida Kaho Mujhe Is Tarha Tum
Kabhi Aankh Ki Jo Talab Barrhay,
Kabhi Dil Ki Jo Talab Barrhay,
Kabhi Dard Jo Be_Sabab Barrhay,
Apne Aansu'on Say Bhujao Tum,
Kaho Alwida - Kaho Alwida Mujhe Is Tarha
Chaahay Faasla Bhi Taweel Ho
Chaahay Anaa'on Ki Koi Faseel Ho
Chaahay Milnay Ki Na Ko Sabeel Ho
Chaahay Kesi Hi Koi Daleel Ho,
Apna Farz Nibhao Tum
Kaho Alwida - Kaho Alwida Mujhe Is Tarha
Shamma'ein Bhi Tamaam Gul Hueen,
Utho Bazm Say Ab Tum Farheen,
Ho Chuka Waqt Kooch Ka,
Dekho ... Har Soo Anhera Chha Gaya,
Wo Mehfilein, Wo Ronaqein,
K Tamaam Hueen Wo Rayaazatein,
Ab Un Ko Bhool Jao Tum
Kaho Alwida - Kaho Alwida Mujhe Is Tarha.....!

Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN

 Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN
Meri aankhaiN me're dushman ko laga di jaiN

Be-hunr loog kahaN, harf ki sachai kahaN
Ab kitabain kisi darya main baha di jain

Un ki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai
Ye shabeehaiN sar-e-Aaina ganwa di jaiN

Ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunr
Ishq main tuhmataiN aaiN to bhula di jaiN

Ya to khursheed chamakta rahay peshaani main
Ya lakeeraiN me'ry mathy ki mitta di jaiN

Kitni bholi huwi batain hamain aaj us ki
Yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN.....

Muhabbat Kernay Walay Tu

Muhabbat Kernay Walay Tu
Hamesha Saath Rehtay HaiN

Muhabbat Main Judaee Ka
Koi Mausam Nahin Hota

Zameen WalooN se Yeah Keh Ker
Falak se Dhall Gaya Sooraj

Ujaala BaanT Dainay se
Ujaala Kam Nahin Hota

Mujhay Tum Chorr Ker Khud bhi
Tu Saari Umer Tarpe ho ...

Koi Aesi Saza Datien,
Tumhain Tu Gham Nahin Hota

Raqs min jugnu, duaon ka safar

Raqs min jugnu, duaon ka safar.
Neem shab ki khamoshi or chasham-e-tar.

Phir teri yadon ki qandilen jalin.
Jagmaga utha mera phir khwab ghar.

Har taraf hen barzakhon k munh khule….
Zindagi he ya koi andhi qabar….

Din dhale ye kanpti chiryon ka shor.
Kat gira hoga koi burha shajar.

Min bhatakti rooh hon or char soo.
Rat, tanhai, hawa, anjan nagar

Largest Mukalma Ahmed Faraz 34 Parts

Sipahi
Kahan Hon,
Mere Jisam Par Bojh Kaisa Hai,
Kia Main Paharon K Neeche Daba Hon,
Meri Sans Kion Ruk Rahi Hai,
Ye Thandak Rag-O-Pay Mein Kion Hai,
Mere Bazoo'n Mein Sakat Hai,
Na Honton Mein Janbish Ka Yara,
Na Aankhon Mein Hi Roshni Hai Chatano,
Ki Sorat Gar Anbaar Palkain Uthane Se Aari,
To Kia Meri Beenai Bhi Ja Chuki Hai,?
Na Chere Na Manzar,
Na Koi Sada Hai,
Ye Kia Hai,
Mujhe Apni Awaz Bhi Ajnabi Lag Rahi Hai,
Faqt Dhund Hi Dhund,
Aur Barf K Bekaraan Saibaan Chaar Soo Hain,
Ye Sakraat Ka Pal Hai,
Ya Mujh Pe Kaboos Saya Kanaan Hai,
Ye Kia ......?
Mere Bazo Mein Kion Dard Ki Lehr Uthi,
Main Zinda Hon Lekin,
Badan Barf Mein Dafan Hai,
Aur Chehra Mera Ze Mehreeri,
Hawaon Se Sun Ho Chuka Hai,
Kisi Ko Khabar Tak Na Ho Gi,
K Main Is Pahari Ki Choti Pe Zakhmon Se,
Chalni Para Hon Koi Mehrbaan Hath,
Humdard Bazo Nahi Hai,
Jo Us Kura-E-Marg Se Mujh Ko Bahir Nikaale,
Na Jane Badur Rafeeqon K Daste Kahan Hain,
To Kia Main Yahan,
Kis Maparsi K Aalam Mein Dam Tor Don Ga
To Kia Is Pahari Ki Choti Pe Mere,
Tajasus Mein Koi Na Aaye Ga,
Koi Na Aaye Ga,?
Koi.....
Mout: Magar Main Sipahi,
Faqt Main
Ajjal
Mout
Azal Se Abad Tak,
Teri Ghamgusari Aur Sathi,
Akele Dukhi Benawaon Ki Wahid Maseeha,
K Jo Zindagi Ki Jafaon Se Tang Aa Chuke Hon,
K Jo Zindagi Ki Kari Aur Lambi,
Musafat Se Okta Chuke Hon K,
Jo Zindagi K Sarabon Se,
Phaile Kharabon Se Gharba Chuke Hon,
Sabhi Na Muradon Ko Main Ne,
Hi Aakhir Sahara Dia Hai Jinhain,
Zindagi Tajj Gai Ho Unhain Sirf Main Ne,
Gawara Kia Hai Idhar Aa........ Mujhe Hath De,
Main Teri Aakhri Chara Gar Hon,
Teri Humsafar Hon,
Teri Rahbar Hon,
(Mout Hath Barhati Hai)
Idhar Aa Sipahi...!
Mere Sath Chal Yehi Waqt Hai,
Jab K Too Ek Charagh-E-Sehr Ki Tarha,
Rahguzar-E-Adam Ka Musafir Hai,
Aa Tujh Ko Apni Hifazat Mein,
Is Barf K Tand Toofan Se Le Chalon,
Tujhe Kia Khabar Kaisi Qatil Hawaon K Jhar,
Humare Ta'aqub Mein Hain,
Aaye Sipahi Mere Sath Chal,
Sipahi:
Kon Hai Too...?
Ajjal
Fahshah...!
Tujh Ko Kis Ne Pukara K,
Too Bin Bulaye Yahan Aa Gai Hai,
Main Zinda Hon,
Meri Naqahat Se Too Ne Ye Samjha,
K Main Zindagi Se Mafar Chahta Hon,
Meri Ghair Humwar Sanso Se Too Ne Ye Jana,
K Main Nazaa Mein Hon,
Pare Hatt Mere Jisam Se Apni Parchain Door Le Ja,
Mout:
Tera Jisam Behis Hai,
Aur Teri Aankhon Pe Kehra Jama Hai,
Tujhe Is Ka Ahsas Bhi To Nahi Hai,
K Too Sirf Kehne Zinda Hai,
Warn Agar Too Ye Dekhe,
K Tera Laho Kis Qadar Beh Chuka Hai,
Agar Too Ye Dekhe,
K Ye Laal-O-Yaqoot,
Tere Hi Laho K Wo Boodain Hain,
Jo Barf Par Jam Gai Hain,
To Jane
K Ab Zinda Rehne Ki Khawahish Abass Hai,
Chalo Main Ne Mana K,
Tujh Mein Abhi Zindagi Ki Ramaq Hai,
Magar Kis Qadar,
Sirf Do Chaar Sanson Ki Mohlat,
Teri Bebasi Aur Naqahat Ka Ye Haal Hai K,
Tere Zard Rukhsar Par Barf Ki Teh Jami Hai,
Magar Tujh Mein Itni Bhi Himat Nahi Hai,
K Chehre Se Is Ko Kharch De,
Tere Samne Jo Andhere Hain Un Se Na Dar,
Be Khabar Rat Bhi Din Se Kuch Mukhtalif To Nahi,
Sipahi:
Chalo Main Ne Mana,
Magar Too Bata Mujh Se Kia Chahti Hai,
Mout:
Ziada Nahi,
Sirf Itna K Too Maan Le,
Zindagi Ek Musalsal Aziat Hai,
Too Jis Se Tang Aa Chuka Hai,
Sipahi:
To..............
To Youn Keh K Main Tere Aage Super Daal Don,
Mout:
Kion Nahi,
Aur Ye Ilzam Bhi Khud Pe Lene Ko Razi Hon Main,
Sipahi:
Door Hatt Fahsha...!
Zindagi Se Mujhe Pyar Hai,
Mout:
Baole.....!
Itna Pagal Na Ban,
To Jo Mane To Kia,
Aur Na Mane To Kia,
Ab Tere Samne Doosra Rasta Hi Nahi,
Apne Hathon Ki Pilahatain Dek Le,
Apne Honton Ki Neelahatain Dekh Le,
Apni Aankhon Ki Dhundla Hatain Dekh Le,
Too Jo Mane To Kia,
Aur Na Mane To Kia,
Sipahi:
Dushman-E-Jaan...!
Mout:
Zid Na Kar Dekh Ab Teri Manzil,
Teri Rat Har Lamha Nazdeek Tar Aa Rahi Hai,
Teri Zid Teri Bechargi,
Karb Wandwa Ko Tool De Gi,
Jankani Zindagi To Nahi,
Chal Mere Sath Chal,
Zindagi K Karre Marhale Bhool Kar Chal,
Sipahi:
Nahi Main Nahi Jaon Ga,
Main Tere Sath Hargiz Nahi Jaon Ga,
Mout:
Apna Dushman Na Ban,
Tere Paikar Mein Tera Lahoo,
Munjamid Ho Raha Hai,
Terayakh Zada Jism Toofan,
Ki Yourashon Se Nahi Bach Sake Ga,
Idhar Aa Tujhe Apna Aanchal Orha Don,
Jo Tujh Ko Qayamat Tak Garam Rakhe Ga,
O Nasamjh Nojawaan,
Mere Seene Ki Hidat,
Tere Yakh Zada Jism Ko,
Sarmadi Aman Bakhse Gi,
Aa Tujh Ko Apne Gale Se Laga Lon,
Yaqeen Kar...!
K Too Kar Banaki Shiddat Se Naala Kana Hai,
Teri Bekasi Aur Farmaan Pazeeri,
Mujhe Hosla De Rahi Hai,
Sipahi:
Farebi...!
Mujhe Apni Hulia Gari Aur Makarion Se,
Teh-E-Daam Lane Ki Koshish Na Kar,
Kazab Go Main To Sardi Ki Shiddat Se Bekal Hon,
Tujh Se To Khaif Nahi,
Mout:
Khawa Aanso Khushi K Hon Ya Karb K,
Aik Hi Bat Hai,
Bekhabar...!
Sham Dhalne Ko Hai,
Aur Maidan Mein,
Shab Ki Parchaian,
Khaima Zan Ho Rahi Hain,
Kise Kia Khabar Hai K Too,
Pahari Pe Ghaail Para Hai,
Teri Khoj Pehle To Mushkil Hai,
Aur Itafaqan Agar Tere Sathi,
Tujhe Dhoond Bhi Lein To Hasil?
Tujhe Kia Sakoon Mil Sake Ga?
Aur Too Koi Roz Tak Zinda Raha Bhi To Kia,
Phir Se Dunia K Dukh,
Zindagani K Janjaal Tera Ta'aqub Karein Gay,
Teri Behtri Hai Esi Mein,
K Be Heel-O-Hujat,
Yahan Pur Sakoon Mout Mar Ja,
Sipahi:
Riya Kaar...!
Too Apni Aiyarion Se Mujhe Daam Mein,
Phansana Chahti Hai Main Zinda Raha Hon,
Main Zinda Hon,
Zinda Rahon Ga,
Mujhe Too Harasaan Nahi Kar Sake Gi,
Abhi Mujh Ko Jeena Hai,
Mout:
Gar Too Jia Bhi To Phir Kia?
Tujhe Zindagani K Bare Mein Khush Fehmian Hain,
Agar Too Jia Bhi To Kia Too Samjhta Hai,
Is Zindagi Se Mohabbat Kare Ga,
Jo Thatharn Hai Lazat Hai Bechargi Hai,
Zara Soch Aaye Bekhabar,
Zindagi Bistar-E-Gul Nahi,
Phir Zara Soch,
Sipahi:
Kia Sochna,
Main To Hasti K Har Zeir-O-Bam Se Hon Waqif,
Magar Too Bhulaye Howe Hai K Ye Jang Hai,
Mout:
Baolay
Main Ne Mana K Too Jang Mein Sur Khuroo Ho Chuka Hai,
Watan Ki Hifazat Ka Haq Jan Par,
Khail Kar Too Ada Kar Chuka Hai,
Magar Tujh Ko Ek Martaba Apne Ghar Aur,
Azeezon K Dukh Phir Se Tarpain Gay,
Sab Zamane K Gham Tujh Ko Kha Jain Gay,
Sipahi:
Jabhi To Mujhe Is Qadar Bekali Hai,
K Main Hamla Aawar Ghaneemon Ko,
Ko Jaldi Thikane Laga Lon To Phir Ghar Ko Jaon,
Mere Ghar Ki Dehleez Har Dam Meri Muntazir Hai,
Mout:
Baja Hai Agar Ghar Tera Muntazir Ho,
Agar Tere Ghar K Dar-O-Baam Baqi Rahe Hon?
Agar Sirf Enton K Ambaar Aur Raakh K Dhair,
Ghar Hain To Phir Wo Tere Muntazir Hain,
Khandar Charo Janib Khandar Hain,
Sipahi:
To Phir Kia?
Mere Bazo'on Mein Tawanai Hai,
Mere Kandhon Se Bandooq Utre,
To Phir Mere Bazo Kadalon Aur,
Balchon K Rafeeq-E-Safar Hain,
Sipahi Kharabon Ko Tameer Karta Raha Hai,
Mout:-
Zameen Jal Chuki Hai,
Sipahi:
Main Pehle Bhi Weeran Khiton Ko,
Zarkhaizian De Chuka Hon,
Mout:
Magar Ab Ye Mumkin Nahi Hai,
K Pani K Chashme Koonwain Aur Nehrain,
Bamon Ki Laga Taar Barish Se Ab Khushk,
Aur Benishan Ho Chuke Hain,
Dranti, Hathore, Salakhain Kadalon K Phal,
Aur Hall Koya Sab Tere Aaozaar,
Hatiar Turr Murr Chuke Hain,
Sipahi:
Magar Ta Bake,
Main Sipahi Hon,
Gar Bakhat Ne Yavri Ki,
Aur Ek Bar Mere Qadam
Apne Shehron Mein Pohnche,
To Phir Se Ye Masmaar Ghar,
Manhedam Kaar Khane,
Jali Khaitian Aur Khamosh,
Bazar Youn Jee Uthain Gay,
K Jaise Kabhi Kuch Howa Hi Nahi Tha,
Mout:
Baja Par Ye Us Waqt Mumkin Hai,
Sipahi:
Lekin,
Mout:
Tehr Too Meri Bat Sun,
Ye To Us Waqt Mumkin Hai,
Jab Tere Bazo Salamat Hon,
Aur Jism Ka Koi Hisa Na Bekaar Ho,
Magar Aise Aalam Mein Bhi,
Teri Khush Fehmian Tujh Ko,
Behka Rahi Hain Halakat Ki,
Aandhi Tere Jism Ka Reza Reza,
Urane Ko Partolti Hai Abhi Waqt Hai Soch Le,
Sipahi:
Thandi Aah Bharte Howe Apne Ap Se,
To Kia Koi Qowat Aisi Nahi Hai,
K Jo Mout K Za'am-O-Pandaar Kar De,
Koi Aisi Sorat Nahi Jis Se Main,
Qala-E-Marg Ko Manehdam Kar Sakon,
Nahi Aaj Tak Mout Par Kis Ko Qudrat Mili,
Agar Youn Hi Hota Raha Hai,
To Phir Kion Na Main Khud Ko Us K,
Hawale Hi Kar Don,
Kusha Kash Ka Hasil?
Faqt Nazaa Ka Tool Aur Phir,
Hazeemat Shikast-E-Nafs
(Mout Ki Taraf Dekhte Howe)
Mout:
Main Sirf Ek Shart Par Zindagi Ki,
Mata-E-Garaan Tere Qabze Mein,
Dene Ko Tiyar Hon,
Mout:
Shart....!
(Qehqa Lagati Hai)
Bhala Mout Se Bhi Kisi Ne Koi Shart Manwai Hai?
Sipahi:
Janta Hon K Main Dosron Se Behtar Nahi Hon,
Agar Aaj Tak Koi Tujh Se Na Jeeta,
To Mujh Ko Bhi Marne Mein Phir Uzar Kion Ho,
Magar Dushman-E-Zindagi Sirf Ek Shart Par,
Mout:
Kon Si Shart,?
Sipahi:
Bas Ye K Jab Jang Ka Khatma Ho To,
Ek Roz K Waste Too Mujhe Chor De Gi,
Bas Ek Roz K Waste,
Ta K Main Apne Ghazi Rafeeqon Ki,
Saf Mein Khara Fatha K Geet Gaon,
Zafar Mand Parcham Khile To,
Salami Ki Taqreeb Mein Dosre Janisaron K,
Humrah Main Bhi Khara Hon,
Mere Kaan Bhi Youm-E-Nusram Ki,
Topon Ki Goonjar Se Goonj Uthein Gay,
Aur Us Waqt,
Jab Fatha-O-Nusrat K Naghmat Se,
Sar Zameen-E-Watan Ki Fiza Raqs Mein Ho,
Main Ujlat Se Ghar Ja K Dekhon,
Wo Mehboob Chehre,
Jo Mere Liye Apni Aankhon Mein,
Khushion K Aanso To Hathon Mein,
Phoolon K Kanthe Liye Raston Par,
Mere Muntazir Hon Mere Gaon Wale,
Mere Yar Ahbab Mujh Ko,
Zafar Mand Parcham Ki Manid Utha Lein,
Aur Main Un K Is Khair Maqdam Ko,
Maghroor Aankhon Ki Chup Muskrahat,
Se Dekhon Faqt Is Qadar,
Aaye Meri Muskrahat Ki Dushman...!
Mout:
Nahi Teri Ye Shart Na Qabil-E-Aitna Hai,
Sipahi:
To Phir Baiswa...!
Door Ho Main Sipahi Hon,
Aur Zindagi Ki Chamakti Damakti Hoi,
Aag Mere Badan Mein Abhi Hai,
Main Zinda Hon,
Zinda Rahon Ga,
Mout:
Magar Kab Talak,
Sipahi:
Jab Talak Meri Awaz Mei
Mera Dil Dharkta Rahe Ga,
Mout:
Magar Tabke,
Sipahi:
Taabke...?
jab Talak Ye Mera Yakh Zada Jism,
In Aasmano Ki Manid Neela Na Ho Jaye,
Main Is Pahari Ki Choti Pe Dam Toor Don Ga,
Magar Tere Aage Na Har Giz Jhukon Ga,
Ye Mumkin Nahi Hai,
K Main Tere Aage Super Daal Don,
Mout:
Hosla....!
Hosla....!
Aaye Sipahi Ye Jazbatiat Be Asar Aur Abas Hai,
Agar Mujh Too Haar Tasleem Kar Le,
To Ye Zindagi K Usi Zabte Hi Ki Taa'eed Ho Gi,
Jo Azal Se Abad Tak Raha Hai,
Rahe Ga,
Na Is Se Ziada Na Kamtar,
Na Is Se Ziada Na Kamtar,
(Qadmon Ki Chaap Sunai Dene Lagti Hai Kuch Door Sipahion K Chehre Jin Mein Se Aik Kandhe Par Barf Hatane Wala Kadaal Aur Dosre K Kandhe Par Teh Kia Astrechar Dhara Hai.)
Sipahi:
Tehr.....!
Mere Rafeeqon K Qadmon Ki Manoos Awaz,
Meri Taraf Barh Rahi Hai Ajab Kia K,
Ye Zakhmion K Tajasus Mein Hi Aa Rahe Hon,
Mout:
Kahan Bewaqoof,
Sipahi:
Us Taraf,
Mout:
(Deewana Waar Hansti Hai Qadmon Ki Chaap Qareeb Tar Aa Jati Hai)
Baole Ye Jamat To Wo Hai Jo Lashain Thikane Lagati Hai,
Sun To...!
(Kadaalon Aur Belchon K Kharakne Ki Awaz)
Ye Tere Darmaan Nahi Gorkan Hain,
Sipahi:
Wo Kuch Bhi Hon Zinda To Hain,
Aur Zindon K Dushman Nahi,
Ye Mere Sheir Dil Hum Watan Hain,
(Camra Bulandi Se Ghati Par Markooz Hota Hai)
Pehla Sipahi:
Bahut Thak Gaye,
Is Pahari Pe Charhna Ghazab Tha,
Dosra Sipahi:
Yahan Chand Sanson Ko Sastane K Bad Aage,
Barhain Gay K Ab Aur Chalne Ki Taqat Nahi Hai,
Pehla Sipahi:
Thakan Se Meri Hadian Reza Reza Hoi Ja Rahi Hain,
Pehla:
Tere Pas Khane Ko Hai Kuch?
Dosra:
Kahan... Chand Cigrate Bache Hain....
Agar Tum......
Pehla:
Ghanimat Hai Ye Bhi....
Qayamat Ki Sardi Hai....
Dosra:
Chaye (Tea) Pio Gay?
Obalti Hoi Chaye Pe Balai Ki Teh,
Jami Ho To Kaisi Rahe Gi,
Pehla:
Chalo Ek Piyala.
Nahi Do Sahi,
Dosra:
Yahan Kon Zakhmi Mile Ga?
(Dono Hanste Hain)
Pehla:
Taswor Ki Jado Gari Khoob Hai,
Doosra:
Haan Khayali Pulao Ki Khushbo Se Bhi,
Kuch Tassali Ho Hai,
(Sipahi K Karahne Ki Awaz Aati Hai)
Sipahi:
Main Zinda Hon.
Zinda Hon,
Is Bad Nafs Ko Mere Samne Se Hatao,
Ye Zalim Churail Apne Bazo Pasare,
Na Maloom Kab Se Meri Ghaat Mein Hai,
Main Zinda Hon,
Zinda Hon Mujh Ko Bacha Lo,
Pehla Sipahi:
Suno Jaise Koi Yehein Pas Hi Ho,
Dosra Sipahi:
Tera Wahma Hai Yahan K0n Ho Ga,
Sipahi:
Mere Pas Aao Rafeeqo,
Mere Sar Pe Be Haya Gidh Ki Manid Manla Rahi Hai,
Pehla Sipahi:
Suni Tum Ne Awaz...?
Dosra Sipahi:
Han Wo......
Udhar ....
Barf Mein Dafan Laash,
Pehla Sipahi:
Chalo,
Belcha Lo Wo Zinda Hai,
Dosra Sipahi:
Hairat Agar Is Jaga Laash Hoti To Main,
Itna Hairan Na Hota Magar Aik Zinda Sipahi,
Yahan Mojza Hai,
Pehla Sipahi:
To Jaldi Karo Rat Hone Ko Hai,
(Dono Sipahi Zakhmi Sipahi K Qareeb Aa Jate Hain)
Dosra Sipahi:
(Choote Howe)
Waqi Is Mein Jaan Hai Abhi,
Suno Tum Mein Itni Sakkat Hai,
K Is Ko Utha Kar Hum Apne Thikane,
Talak Ja Sakein,
Pehla Sipahi:
Agar Chay Thakan Se Meri Hadian Karkarane Lagi Hain,
Magar Is Sipahi Ko Dast-E-Ajal Se,
Bachana Muqadam Hai,
Aao Isay Hath Dein,
Doosra Sipahi:
Acha Howa Hum Idhar Aa Gaye,
Warna Is Badoo Baraan K Toofan Mein,
Zakhmon Se Ghail Mujahid Bach Na Sakta,
Shaheedon Ki Fehrist Mein Ye Bhi Hota,
Pehla Sipahi:
Bas Ab Waqt Zaya Na Karo,
Belche Se Tehain Barf Ki Tum Hatao,
Main Itne Mein Koi Dawa Dekhta Hon,
Doosra Sipahi:
Khudaya.............!
Zara Is K Yakh Jism Ko Choo K Dekho,
Pehla Sipahi:
Namaloom Ye Ab Talak Zinda Kaise Bacha Hai,
Mout:
(Apne Aap Se)
Ye Kuch Bhi Karain Mere Chungal Se,
Is Ko Nahi Cheen Sakte,
Ye Nakhcheer Mera Hai,
Main Is Ko Jane Na Don Gi,
Ye Hamdard Do Chaar Sanso K Sathi,
Isay Raah Mein Phank Jain Gay Ya,
Khud Bhi Bhook Aur Thakan Hi Se,
Dam Torr Dein Gay,
Main In Ka Ta'aqub Karon Gi,
Ye Nakhcheer Mera Hai,
Mera Hai,
Mera Hai,
(Donon Sipahi Idhar Udhar Se Barf Hatate Hain Aur Zakhmi Sipahi Ko Utha Kar Kandhe Par Dalne Ki Koshish Karte Hain Hawa Ka Shor Aur Barf Bari Ki Shiddat Barh Jati Hai)
Pehla Sipahi:
Zara Hath Do Ta K Main Is Kandhe Pe Aaram Se Daal Lon,
Sipahi Ka Humdard Sathi Sipahi Hi Hota Hai,
Aao Zara Tum Idhar Se,
(Zakhmi Sipahi Karahta Hai)
Zakhmi Sipahi:
Mere Sathio Tum Ko Takleef Ho Gi,
Ye Rasta Andhera Hai Aur Pur Khatar Hai,
Zara Dekh Kar........
Mera Kia Hai K Main To,
Faqat Chand Sanson Ka Mehman Hon....
Par Tumhare Liye Zindagi Ki Mah-O-Saal,
Bekaraan Wadian Hain,
Pehla Sipahi:
Nahi Tum Salamat Raho Gay,
Humare Watan K Sipahi K Ab Zindagi Se,
Aur Mahfooz Raste Pe Tum Gamzan Ho Chuke Ho,
(Chalne Lagte Hain)
Zakhmi Sipahi:
Magar Zulmaton Se Sabhi Raste Dhak Chuke Hain,
Ye Ghati Khatar Naak Hai,
Apni Janain Meri Zindagi K Liye Mat Ganwao,
Dosra Sipahi:
Yehi Zindagi Hai,
Sipahi Hamaisha Sipahi Hi Rehta Hai,
Is K Liye Hi Khatar Naak Hi Raste Bane Hain,
Humari Musarat Yehi Hai K Hum Tum Ko,
Zinda Salamat Gajar Dam Wahan Le Chalein,
Jis Jaga Is Muqadas Zameen-E-Watan
K Zan-O-Mard Peero Jawaan,
Youm-E-Nusrat K Moqa Pe Ghazi Sapoton Ko,
Fakhar-O-Aqeedat Se Dekhain Gay,
Topon Ki Goojar Mein Un Bahadur Jawano Pe,
Takreem K Phool Barsain Gay,
Jo Jang Se Surkhuro Ho K Aaye,
Zakhmi Sipahi:
Mere Waste Is Se Barh Kar Koi Bhi,
Tamna Nahi Hai K Main Wahan Hon,
Magar Dosto Chand Lamhe Sasta Bhi Lo,
Tum Bahut Thak Chuke Ho,
Pehla Sipahi:
Thakan....?
Tum Humari Na Parwa Karo,
Aik Be Jan Lashe Ko Dogaam Bhi,
Khanchna Sakhat Aziat Hai,
Par Aik Zinda Sipahi Ko Kandhon Pe Dale,
Agar Saikron Meel Ka Bhi Safar Ho To,
Kuch Bhi Nahi,
Doosra Sipahi:
Aur Sipahi Agar Youn Thake To Sipahi To Nahi,
Pehla Sipahi:
Hawain Bahut Sard Hain Tumhare Thatarte,
Howay Hath Uff Kis Qadar Yakh Zada Hain,
Ye Dastane Lo,
Mere Hathon Mein Kafi Hararat Hai,
Zakhmi Sipahi:
Lekin....
Doosra Sipahi:
Suno....!
Ye Takaluf Ka Moqa Nahi,
Pehla Sipahi:
Bas Ye Dhalwan Ab Khatam Hone Ko Hai,
Aur Hum Apni Manzal K Nazdeek Aa Chuke Hain,
Mout:
Ye Makhlooq Kaisi Hai,
Ek Doosre Se Inhain Kis Qadar Unas Hai,
Ye Mujhe Maat De Kar,
"USAY"
Mere Nakhcheer Ko Mujh Se Cheene Liye Ja Rahe Hain,
Ye Kaise Sipahi Hain Kitne Nadar Hain,
K Main Thak Gai,
Aur Ye Ja Rahe Hain,
Mujhe Maat De Kar,
Mujhe Maat De Kar,
Mujhe Maat De Kar..........!
(Mout Moonh K Bal Gir Parti Hai)
END
Book
Shab Khoon
Poet Ahmad Faraz

Wo Hijar Thehra Wisaal Thehra

 Wo Hijar Thehra Wisaal Thehra,
Kia Aadmi Tha Kamaal Thehra,
Afsurdagi K Har Ek Nagar Mein,
Wo Qeh Qahon Ki Misaal Thehra,
Wo Kis Ki Khatir Guzar Gia Hai,
Sab Ki Khatir Sawal Thehra,
Haan Us K Lehje Ki Tazgi Se,
Jo Khawab Tha Wo Khayal Thehra,
Kahan Se Lain Rafeeq Tujh Sa,
Muhabbaton Mein Zawal Thehra,
Too Ne Hum Ko Ye Dukh Dia Hai,
K Ab To Jeena Mohaal Thehra....................! 

Poet Rafeeq Saeed

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi

 Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi,
Dil Ko Khushi K Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi,
Bat Wo Aadhi Rat Ki Rat Wo Poore Chand Ki,
Chand Bhi Ain Cheet Ka Us Pe Tera Jamal Bhi,
Sab Se Nazar Bacha K Wo Mujh Ko Kuch Aise Dekhta,
Aik Dafa To Ruk Gai Gardis-E-Maah-O-Saal Bhi,
Dil To Chamak Sake Ga Kia Phir Bhi Tarsh K Dekh Lein,
Sheesha Giran-E-Shehr K Hath Ka Ye Kamal Bhi,
Us Ko Na Pa Sake Thay Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha,
Ab Jo Palat K Dekhiye Bat Thi Kuch Mahaal Bhi,
Meri Talab Tha Aik Shakhs Wo Jo Nahi Mila To Phir,
Hath Dua Se Youn Gira Bhool Gia Sawal Bhi,
Us Ki Sukhan Tarzian Mere Liye Bhi Dhal Thein,
Us Ki Hansi Mein Chup Gia Apne Ghamon Ka Haal Bhi,
Gaah Qareeb-E-Shah Rag Gaah Baeed-E-Weham-E-Khawab,
Us Ki Rafaqaton Mein Rat Hijar Bhi Tha Wisaal Bhi,
Us K Hi Bazo'on Mein Aur Us Ko Hi Sochte Rahe,
Sham Ki Na Samjh Hawa Pooch Rahi Ek Pata,
Moj-E-Hawa-E-Koo-E-Yar Kuch To Mera Khayal Bhi..................!

Titlion Ka Mujhe Toota Howa Par Lagta Hai

Titlion Ka Mujhe Toota Howa Par Lagta Hai.
Dil Pe Wo Naam Bhi Lekhte Howe Dar Lagta Hai.
Raat Aai To Sitaron Bhari Chadar Tani.
Khubsurat Mujhe Suraj Ka Safar Lagta Hai.
Ye Bhi Sote Howe Bache Ki Tharah Hansta Hai.
Aag Mein Phol Farishton Ka Hunar Lagta Hai.
Zindagi To Ne Mujhe Qabar Se Kam Di Hai Zameen.
Paon Phelaoon To Diwaar Mein Sar Lagta Hai.
Mein Tere Sath Sitaron Se Guzar Sakta Hoon.
Kitna Aasan Muhabbat Ka Safr Lagta Hai.
Mujh Mein Rehta Hai Koi Dushman-e-Jani Mera.
Khud Se Tanhai Mein Milte Howe Dar Lagta Hai.
But Bhi Rakhe Hain, Namazen Bhi Ada Hoti Hain.
Dil Mera Dil Nahi, KHUDA Ka Ghar Lagta Hai........!

Poet: Dr Basheer Badar

Is Eid Par Lal Gulab La Do Na

Poet Zahid Rahi

Is Eid Par Lal Gulab La Do Na


Phir Mere Baalon Mein Saja Do Na


Wo Kehti Thi Eid Par Aik Kitab Behjon Gi


Mera Naam Us Mein Likh Do Na


Agr Pyar Hai Mujh Se Tum Ko


Meri Ye Sooni Si Kalai Saja Do Na


Aankhain Hain Kajal Ko Tarsi Hoi


Apni Chahat Ka Surma Pawa Do Na


Hont Hain Khushk Ye Piyar K Pani Ko


Apni Mohabbat Ki Surkhi In Pay Saja Do Na


Hath Hain Mere Soone Mehndi k Rang Se


Choom Choom K In Ko Mehndi Rang Bna Do Na


Pair Bhi Tarstay Hain Jhankar Ko


Is Eid Pay Apne Hathon Payal Pehna Do Na


Har Eid Pay Matmi Labas Pehnti Hon Mein


Laal Joura Pehna K Mohabbat Ki Muhar Laga Do Na


Is Eid Pe Mujhe Gulab La Do Na


Phir Apne Hathon Se Mere Baalon Mein Saja Do Na..........!

Meri ghazal ka unwaan poochtay hain loag

Meri ghazal ka unwaan poochtay hain loag,
dil main kon rehta hay naam poochtayhain loag,
 
chor kar chala gia muj ko akela sheher main,
kitnay main hy bik gia daam poochtay hain loag,
 
main sangdil tha ya woherjai,
ek yahi baat sar-e-aam poochtay hain loag,
 
kal kia ho ga mujy khud khabarnahi,
meri muhabbat ka injaam poochtay hain loag..

Saturday 20 July 2013

Log ad'tan wafa nhi kerty

Yaqeen Mano koi Majboorian nhi hoti...

Log ad'tan wafa nhi kerty...

Koi es tarha muj say payar kry

Koi es tarha muj say payar kry,
main jhot b bolon tau aitbar kry.
apni chahat ka b muj say izhar kry,
jan wo jan e ada muj py nisar kry.
wo mujy chahy tau toot kr chahy,
payar wo muj say be shumar kry.
mery bina na bany farmul e ishq,
main kahoon tau do or do char kry.

Nayab teri hasrtain b Nayab hen,
pagal hy koi jo tuj say payar kry..

Kaaaash

Kash K Kabhi Mohabbat Ki Saza Na Hoti
Kash K Kabhi Zindagi Be Wafaa Na Hoti

Chooti Chooti Baat Pe Larne Lag Jate Hain
Kash K Kabhi Insaan Mai Itni Ana Na Hoti

Cheer K Nikle Jo Mazloom K Seene Se
Kash K Kabhi B Aisi Koi Sada Na Hoti

Gira K Rakh De Jo Ghareeb K Aashyne Ko
Kash K Kabhi B Aisi Teez Hawa Na Hoti

Cheen K Sahara Doosron Ka Jo Kush Rehte Hain
Kash K Kabhi Un Ko Koi Khushi B Ata Na Hoti

Karte Han Ham Jis Khata Se Bar Bar Tooba,
Kash K Kabhi Humse Phir Wo Khata Na Hoti

Tumhein Itni Mobahat De K Tumhara Daman Bhar Dia
Kash K Kabhi B Mohabat Ki Koi Inteha Na Hoti

Hum Bawafaa Thy Is Liye Thukra Dia Sanwal
Kash K Kabhi Hum Main Wafaa Na Hoti

Mera us se rishta bus itna ha

Wo mujhse pooch raha tha..
Tumhara mujhse kya rishta ha..?

Main usay kese samjhati..
kay mera aur uska rishta..

lafzon ki lughat mai hai hee nahee..
Mera us se rishta bus itna ha..

Kay agar main aankhen band karun..
Tau mujhko bus wo hee dkhta ha..

Kay agar main aankhen kholun..
Tab bhee wo hee dikhta ha..

Usay ja kay itna batla do..
KAy mera khud say..

aur uska us say jo rishta ha..
Humara Bus Itna He Rishta ha..!!!!!!

Wednesday 17 July 2013

Achanak

Aaj main jab yunhi

Achanak

Bin chaahay be'khabar

Chaltay chaltay usi gali men aa gya

Keh jahan pehli bar

Main ney thumhen dekha tha

Aur phir

Us gali men pehli bar

Tum sey iqrar-e-wafa kia tha

To mera dil ajab be'qrari sey dharka

Yuun laga keh tum

Aachanak he kisi goshay sey

Sab ranjishen bhula kar

Mujhay thaam lo gi

Wo Aksar Bhool Jatii Hai

Wo Aksar Bhool Jatii Hai
    Kabhi Khwaabon Key Jungle Mein
    Kabhi Yaadon Kii Daldal Mein
    Kisi Din Taiz Baarish Mein
    Kabhi Darya Key Dhaarey Par
    Kabhi Sehra Kinaarey Par
    Wo Mera Naam Likhtii Hai
    Kabhii Likh Kar Mitatii Hai
    Kabhi Likhney Sey Pehley Hii
    Mita Kar Hasney Lagtii Hai
    Kisi Din Shaam Sey Pehley
    Mitaana Bhool Jatii Ha
    To Saari Raat Rotii Hai ......

Saturday 6 July 2013

Main ne theek kiya naa????

Main ne theek kiya naa????

Kehtay hain jab ghar mai achanak
Aisi aag bharak uthay
Jo chashm-e-zan mai
Har ik shay ko apni
Lapait mai lay lay
Aag bujhana mushkil ho...
aur
Ghar ka asasa us se bachana namumkin ho
toa
Aik hi rastaa reh jata hai...!
Ghar ki sab se qeemti chezain haath mai lo
Aur
Us se dur nikal jaao!

Meray dil mai bhi aisi hi aag lagi thi
Main ne jaldi jaldi Ankh mai teray
Bujhty khawab samaitay
Teri yaad kay tukray
Chun kar dehaan mai rakhay
Aur
Us aag mai ...
Dil ko jaltaa choar ky
Duur nikal ayaaaa.....

MAin ne Theek Kiyaa Naaa...???

Jab Aankh Main Aanson Aate Hain

Jab Aankh Main Aanson Aate Hain
Jab Dil Ki Dharkan Roti Hai
Jab Dur Kahin Sannaton Main
Ek Chaap Si Koi HOti Hai
Jab Mann Main Aanso Girte Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain
Jab Door Koi Koyal Bole
Jab Bhipri Moujen Mil Jain
Jab Pairr Se Patte Gir Jain
Jab Man Hi Man Main Aksar Hum
Subho Shaam Sulagte Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain
Jab Raat Ke Saaye Dhalte Hain
Or Punchi Pankh Andhere Main
Ghar Lout Ke Aya Karte Hain
Phir Hum Jese Dewane Log
Prem Ki Aag Main Jalte Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain
Jab Takia Akser Raaton Ko
Raazon Ka Bojh Uthata Hai
Jab Bichre Waqt Ki Zaad e Saman
Aankhon Ka Bojh Ghatata Hai
Jab Lab Apas Main Milte Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain
Jab Waqt Ke Kore Kaghaz Per
Bas Rang Bharna Rehta Hai
Or Sang Chalna Rehta Hai
Phir Apne Sath Samandar Paar
Door Kahin Ja Baste Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain..

Mohabbat Kam Nahi Hogi

 Mohabbat Kam Nahi Hogi
Tumhari Talkhiyon Se
Aur Tumhare Na-Tarashida Rawayyon Se
Tumhari Choti Choti Ranjishon Se
Aur Bari Narazgi Se Bhi
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Tumhare Shehr Bhar Se Dil Laga Lene Ki Aadat Se
Tumhari Be-Wafai Se
Tumhari Be-Hisi Se Bhi
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Anaa Ka Darmiyan Aa Kar
Kai Be-Saakhta Jazbey Achanak Maar Jane Se
Dilon Ko Zaat Par Se Waar Jane Se
Kisi Basti Mai Jaa Basne
Kisi Sehra Mai Rasta Bhool Jane
Ya Samandar Paar Jane Se
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Kisi Ke Jeet Jane Se
Kisi Ke Haar Jane Se
Mohabbat Kam Nahi Hogi

Tum Ne Dekha Hai Mujhe


Tum Ne Dekha Hai Mujhe
Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain
Dil Ki Qabron Pe Pare......
Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pe Dhare
Tum Ne Uktaaye Hue Khuwab Kabhi Dekhe Hain
Dard Ki Palkon Se Lipte Hue
Ghabraaye Hue
Tum Ne Be-Chain Duaaen Kabhi Dekhi Hain
Mohabbat Ke Kinaaron Pe Bhatakti Phirti
Tum Ne Dekha Hai Mujhe
Kiya Kabhi Dekha Hai Mujhe

Kisi Kamzoor Lamhey Main

Kisi Kamzoor Lamhey Main,

Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,

Mujhey Tum Say "MUHABAAT" Hai,

Tum Ye Mat Samaj Lena,

Kay.............!!!!!!!!!

Mein Nay Sach Kaha Ho Ga,

Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko,

Aisi dilbar Aadaoon Main Kehna,

Mujhey Bachpan Say Aata Hai,

Meri Aankhein Mera Chehra,

Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja,

Ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager !

Iss Jhoot Main Bhi Ek Sach Bhi Hai,

Kay.................!!!!!!!!!!!!!!,

Mujhey Tum Say "MUHABBAT" Hai

Friday 5 July 2013

Resham Zulfo Nilam Aankho'n Wale Ache Lagte Hain

 Resham Zulfo Nilam Aankho'n Wale Ache Lagte Hain,
+
Main Shaaiyar Hon Mujhe Uljhay Chehray Ache Lagte Hain,
+
Tum Socho Adhi Raat Ko Thanday Chand Ki Chao'n Main,
+
Tanha Raho Par Hum Dono Kitne Ache Lagte Hain,
+
Akhir Akhir Sache Qoul Bhi Chubte Hain Dil Walo Ko,
+
Pehle Pehle Piyar K Jhonte Wade Ache Lagte Hain,
+
Jb Se Wo Pardais Gaya Shehar Ki Ronaq Roth Gai,
+
Ab To Apne Ghar K Band Darichay Ache Lagte Hain,
+
Kali Raat Main Jagmag Karte Taare Kon Bujhata,
+
Is Dhulhan Ko Ye Moti Ye Gehne Ache Lagte Hain,
+
Kal Us Rothay Rothay Yaar Ko Dekha To Mehsos Hoa,
+
Ujhle Jisam Pe Kale Kapre Ache Lagte Hain..

Tujhe Yad Karte Hain Har Sans K Bad

 Tujhe Yad Karte Hain Har Sans K Bad

Kabhi Subha Se Pehle Kabhi Sham K Bad

Kabhi Milo To Kuch Karen Batein

Ek Jam Se Pehle Ek Jam Ke Bad

Dil Ki Dewaron Pe Tera Nam Likte Hain

Kabhi Fursat Mein Kabhi Kaam K Bad

Mere Marne K Bad Bhi Log Tujhe Pukaren Gay

Kabhi Mere NAAM Se Pehle Kabhi Mere NAAM K Bad…......!

Chalo Main Bataon Kaise Dost Ho Tum

 Chalo Main Bataon Kaise Dost Ho Tum,

Mere Liye...!

Meri Dunia Ho Tum,

Choo K Jo Guzri Wo Hawa Ho Tum,

Main ne Jo Mangi Wo Dua Ho Tum,

Kare Mujhe Jo Roshan
Wo Diya Ho Tum,

Mere intizar Ki Rahat
Ho Tum,

Mere Dil Ki Chahat Ho Tum,

Tum Ho To Ye Dunia Hai Meri,

Kaise Kahon! k Meri Zindagi Ho Tum,

Kar Sako Yaqeen To Bataon Tumhain...?

Bahut Khas,

Bahut Khas,

Bahut Khas,

Ho Tum..................!

Kash Hum Bezaban Hote

 Kash Hum Bezaban Hote,

Na Phir Gham Youn Bayan Hote,

Kash Na Hoti Zindagi Ki Samajh,

Na Phir Youn Afsane Jawan Hote,

Kash Na Khawahish Hoti Kuch Pane Ki,

Na Phir Kuch Khone K Gham Yahan Hote,

Gar Tor Jata Koi Ashian Humara,

Phir Bhi Khoobsorat Sare Samaan Hote,

Lut Jati Gar Roshni-E-Zindagi,

Phir Bhi Andhere Na Yahan Hote,

Tootte Howe Bhi Be Shubha Hote,

Kash Hum Bezabaan Hote.................!

Us Ne Maktoob Mein Likha Hai K Majboor Hain Hum

 Us Ne Maktoob Mein Likha Hai K Majboor Hain Hum,

Aur Bahon Mein Kisi Aur Ki Mehsoor Hain Hum,

Us Ne Likha Hai K Milne Ki Koi Aas Na Rakh,

Tere Khawbon Se Khayalon Se Bahut Door Hain Hum,

Ek Sa'at Bhi Shab-e-wasl Ki Bhooli Na Humain,

Aaj Bhi Teri Milan Rat Pe Maghroor Hain Hum,

Chashm-E-Tar Qalb-E-Hazeen Aable Paun Mein Liye,

Teri Ulfat Se Tere Pyar Se Mamoor Hain Hum,

Un Ki Mehfil Mein Humain Izan-E-Takallum Na Mila,

Un Ko Andesha Raha Sarmad-O-Mansoor Hain Hum,

Youn Sitaron Ne Sunai Hai Kahani Apni,

Goya Afkhar Se Jazbat Se Mehroom Hain Hum,

Us Ne Likha Hai Jahan Mein Karain Shikwa Kis Se,

Dil Garifta Hain Gham-O-Dard Se Bhi Choor Hain Hum,

Tera Begano Se Hum Se Hai Rawaya,

MOHSIN

Bawajood Is K Tere Ishq Mein Mash'hoor Hain Hum................!

Dua Nahi To Gila Deta Koi

Dua Nahi To Gila Deta Koi,

Meri Wafaon Ka Sila Deta Koi,

Jab Muqaddar Hi Nahi Tha Apna,

Deta Bhi To Bhala Kia Deta Koi,

Hasil-E-Ishq Faqat Dard Hai,

Aye Kash Pehle Hi Bata Deta Koi,

Taqdeer Nahi Thi Gar Aasman Choona,

Khaak Mein Hi Mila Deta Koi,

Bewafa Bhi Humain Bewafa Keh Gia,

Is se Ziada Kia Dagha Deta Koi,

Gumaan Hi Ho Jata Kisi Apne Ka,

Daman Hi Pakar Kar Hila Deta Koi,

Arse Se Atka Hai Hinchkion Pe Dam,

Acha Hota Jo Bhula Deta Koi,

Ye To Ro Ro K Kat Gai Sagar,

Kia Hota Agarche Hansa Deta Koi....................!

Wednesday 3 July 2013

Lga ker Zakhm Namak se Masaaj krty hain

 Ajab Rasm hai Chara Garr’on ki Mehfil mai
Lga ker Zakhm Namak se Masaaj krty hain.

Ghareeb-e-Sheher tarasta hai ik Niwaley ko
Ameer-e-sheher k Kuttey b raaj kerty hain

Usay rokta b to kis tarah

Kabi mom ban k pighal gya
Kabi girte girte sambhal gya

Usay rokta b to kis tarah
K wo shakhs itna ajeeb tha

Kabi tarap utha meri aah se
Kabi ashk se na pighal ska

Sar-e-rah mila wo agr kabi
To nazar chura k guzar gya

Wo utar gya meri ankh se
Mere dil se kyun na utar ska

Wo chala gya jahan chor k
Main wahan se phir na palat ska

Wo to sambhl gaya Muje chorr k
Main bikher k phir na simat saka