Pages

Sunday, 10 March 2013

Hum Khwaabon kay bayopari thay

    Hum Khwaabon kay bayopari thay
per is main hua nuqsaan bara
kuch bakht main dheron kalak thi
kuch ab kay ghazab ka kaal para
hum raakh liay hain jholi main
aur sar pay hai sahokaar khara


yaan boond nahi hai deway main
wo baaj biyaaj ki baat karay
hum baanjh zameen ko taktay hain
wo dhor anaaj ki baat karay
hum kuch din ki mohlat maangain
wo aaj hi aaj ki baat karay


jab dharti sehra sehra thi hum
hum darya darya roay thay
jab haath ki raikhaain chup theen
aur surr sangeet main soay thay
tab hum nay jeevan kheti main
kuch khwaab anokhay boay thay


kuch khwaab sajal muskanon kay
kuch bol kabat dewanon kay
kuch lafz jinhain maani na milay
kuch geet shikasta janon kay
kuch naiyar wafa ki shamoon kay
kuch par pagal parwanon kay


phir apni ghayal aankhon say
khush ho kay laho chirkaya tha
maatti main maas ki khaad bhari
aur nus nus ko zakhmaya tha
aur bhool gayay pichli rutt main
kya khoya tha kia paya tha


har baar gagan nay weham dia
ab kay barkha jab ayay gi
har beej say kompal phootay gi
aur har kompal phal layay gi
sar per chaya chhatri ho gi
aur dhoop ghata ban jayay gi


jab fasl katti tu kia daikha
kuch dard kay tootay gajray thay
kuch zakhmi khwaab thay kaanton per
kuch khakstar say kajray thay
aur door ufaq kay saagar main
kuch daultay dobtay bajray thay




ab paaon kharaoon dhool bhari
aur sar per jog ka chola hai
SAB SANGI SAATHI BHAID BHARAY
koi maasa hai koi taula hai
iss taak main yay, uss ghaat main wo
har aur thagoon ka tolaa hai


ab ghaat na ghar, dehleez na dar
ab paas raha hai kia baaba
bas tan ki gathrhii baaqi hai
ja yay bhi tu lay jaa baba
hum basti choray jatay hain
tu apna qarz chuka baaba...!!!!!

6 comments:

  1. Hy...there r some mistakes in this poem...

    ReplyDelete
  2. Ab Check Krein ? Thek Kar Di Hai

    ReplyDelete
  3. 5th paragraph me tapkaya ki bjaye chirkaya hy aur poem ki last line me farz ni qarz hy...ye b thek kr len...
    I like ur blog...gud job...:)

    ReplyDelete
  4. thanks . Ab Check Krein ?
    Ap issi Tarha Meri Mistake Mujhe Batate Raha Karein . Taa K Mein Inko Khatm Kar Sakoon

    ReplyDelete
  5. g ab thek hy...

    ReplyDelete