Bus aik mafi hamari tauba,
kabhi jo hum ab satain tum ko
Lo hath joray, Lo kaan pakray,
Lo hath joray, Lo kaan pakray,
Ab aur kaisy manain tum ko
Tumhary aatey hi is nagar se,
humain raqaabat si ho gai hai
Mein ye sharakat bhi kaisy seh loun,
K
choo rahi hain hawain tum ko
Tum aaina ho aur sang-baari
yahan k logo'n ka mashghala hai
Har aik pathar se dhaal ban kar,
Bhala kahan tak bachain tum ko?
To kia tum ab tak hamari nazro'n k
sab taqazo'n se bekhabar ho?
Humain muhabbat hai tum se 'Mohsin'
Ab aur kaisy bataion tum ko
Batain tum ko bichartay wakt
labo'n ki larzish ka Aik hi sabab tha
Suna tha wakt-e-qabooliyat hai,
So de rahy thy duain tum ko. . !
Tumhary aatey hi is nagar se,
humain raqaabat si ho gai hai
Mein ye sharakat bhi kaisy seh loun,
K
choo rahi hain hawain tum ko
Tum aaina ho aur sang-baari
yahan k logo'n ka mashghala hai
Har aik pathar se dhaal ban kar,
Bhala kahan tak bachain tum ko?
To kia tum ab tak hamari nazro'n k
sab taqazo'n se bekhabar ho?
Humain muhabbat hai tum se 'Mohsin'
Ab aur kaisy bataion tum ko
Batain tum ko bichartay wakt
labo'n ki larzish ka Aik hi sabab tha
Suna tha wakt-e-qabooliyat hai,
So de rahy thy duain tum ko. . !
No comments:
Post a Comment