affiliate marketing Famous Urdu Poetry: EiD Poetry
Showing posts with label EiD Poetry. Show all posts
Showing posts with label EiD Poetry. Show all posts

Tuesday, 22 September 2015

Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Kren..... ^_^



Tum Aao To Hum Bhi Eid Kren
Hasrat Hai Tumhari Deed Kren
Kuch Der To Dil Ko Chain Mily
Kuch Roz To Man K Phool Khilen 
Kethy Hain K EID k Aamad Hai
Hum Log Bhi Kuch Taeed Kren
Tum Se Ik Yeh Guraish Hai
Ye Apny Dil K khawish Hai 
Ik Bar Milo
Ik Bar Milo
Har Bar Yehi Takeed Kren
Man K Hum Deewany Hain 
Sub Baton Se Anjany Hain
Jub Apny Bhi Begany Hain 
Gharon Se Kya Umeed Kren
Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Kren
Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Kren 

Thursday, 16 July 2015

Tery kehnay par lagai hai mehndi main ne part 2

FuLL GhaZaL PaRt 2

Tery kehne py Hathon Py Lagai Hai Mehndi,
Agar to Eid Py Na Aya To Qayamat HoGi,

Yahi Surkh Hath0n K Lahoo Ban K Barsay Gi,
Dekna Phr Shehr Me Ek Shamat HoGi,

Har Kisi Ko Apn0n Ka HoGa Intzar,
Phr Dekhna Qayamat Me Ek Or Qayamat HoGi,

Na Aao Gaye Ab To Phr Kbi Na Pao Gaye,
Kafan Me Lipty Meri Be-Jaan Jisamat HoGi,

Ye Eid To Jaisy B Gzray Gi Teri,
Phr Har Eid Py Tujy Ek He Nadamat HoGi,

Dil T0or K Mera Kahan Khush Raho Gaye ap,
K0i Eid Na Phr apki Salamat HoGi,

Kitny Tarsay Nain Teri Deed Ko Ye Mat P0uch,
Shayid Kisi Ki Aankh0n Me Aisy Qayamat HoGi,

Bas Tery kehne py Hath0n Py Lagai hai mendi..ii..

Tery kehnay par lagai hai mehndi main ne

MuJhe ZiNdaGi MeIn tuMaHaRi ZaRoRaT Ho Gi 
Ye ChaNd LaMho Ki NaHi Umer Ki RaFaQaT Ho Gi 


TeRe KhEnE PaR LaGai Hai Ye MehnDi MeIn Ne 
Too AgAr EiD PaR Na AaYa To QaYaMaT Ho Gi 

SuNo TuM MeRe DiL Se HaRgIz MaT KhelNa WarnA 
PhIr KiSi Ko kiSi Se Na KaBhi MoHabbAt Ho Gi 


MeIn TeRi YaAdOn Se Jan TaK WaZOO Na KaR LoOn 
MuKaMaL Na KaBhi MeRi Bhi IbaDaT Ho Gi 


Too Ne Is EiD Par Bhi GaR ApNa WaDa Na kYa pUrA 

tuJhe ApNe WaDon PaR BaHoT NadaMat Ho Gi

Friday, 11 October 2013

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim


 Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,

Rasm-e-Dunia Bhi Hai,

Moqa Bhi Hai,

Dastoor Bhi Hai,

Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare,

Husn Mastoor Bhi,

Majboor Bhi,

Maghroor Bhi Hai,

Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte,

Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte,

Ye Mana Tum Haseen Ho Aur,

Tumhain Haq Hai Shararat Ka,

Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte,

Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka,

Adaab Laazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte,

Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain,

Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte,

Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain,

Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karate,

Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka,

Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte,

Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi,

Mera Kehna Bhi Bura Nahi,

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim..............!

Thursday, 8 August 2013

Kaaash K Is Eid Py

 Kaaash K Is Eid Py,

Mairy Maathy Ki Bindiya,

Hoti Tari Naam Ki,

Mairy Kaan Ki Baaliyaan,

Tujh Sy Waabsita Hoti,

Ye Naak Mein Pahni Hy Jo Nathli,

Jurr Jaye Ye Bhi Tujh Sy,

Mairi Kalaai Ka Ye Kangan,

Khanky Taira Naam Ly Kar,

Kaaash Is Eid Py,

Maira Sajna Sanwrna,

Mansoob Ho Tum Sy,

Mairy Pairon Ki Payel Mein,

Sur Ho Shamil Tairi Chaahat Ka,

Kaash Ye Eid Ho Tairy Naam Ki,

Kaaaash Ye Eid Mujhy,

Tum Sy Jorr Dy,

Kaaash Ye Eid RAAHI Tujhy,

Mujh Sy Jorr Dy.

Poet Umar Raahi

Kitna Dukh Chupaye Tha Wo Mehfil Mein Gane Wala

 Kitna Dukh Chupaye Tha Wo Mehfil Mein Gane Wala,

Dil Mein Ro Raha Tha Zahir Mein Hansany Wala,

Din Eid Ka Aur Youn Chhupaye Huye Gham,

Din Eid K Muskra Raha Tha Aansoo-E-Khoon Bahany Wala,

Yuam-E-Eid Qayamt Sa Tha Us K Liye,

Qarz-E-Wafa Luta Raha Tha Anjany Dais Sy Aany Wala,

Titliya Beth Gayi Banaye Thy Jo Hathon Py Phool,

Kitna Wo Ma'Hir Tha Mehndi Lagany Wala,

Keh Raha Tha Youn Wo ZAHID Dastan Apni,

Main Nahein Apni Wafa Ko Jatlany Wala.

Log Pochhty Hain

Tum Eid Ro Ro Kar Kion Manate Ho Log Pochte Hain,

Din Eid K Kyoun Aansoo Bahaaty Ho ?
Log Pochhty Hain,

Sara Shahar To Hansta Muskrata Hy Eid K Din,

Tum Apna Gham Eid Ko Kyoun Barr-Haty Ho ?
Log Pochhty Hain,

Na Koi Dost Hota Sath Tumhary Na Koi Ham-Dard,

Tanha Tanha Eid Ka Din Kyoun Guzarty Ho ?
Log Pochhty Hain,

Milty Nahein Doston Sy Gaty Nahein Geet Khushi K,

Dunya Sy Katty Katty Kyoun Rahty Ho ?
Log Pochhty Hain,

ZAHID Tum To Khafa Khafa Sy Lagty Ho,

Itna Door Door Kyoun Rahty Ho? Log Pochhty Hain.

 Poet Zahid Mahmood

Meri Eid


Eid Ka Din Hay Dhola Jaldi Ghar Aaja

Eid Ka Din Hay Dhola Jaldi Ghar Aaja
Kuch Baatain Apni Mubahat Ki Bata Ja

Mujhay Apnay Galay Say Laga Ja
Mujhay Apnay Dil Ki Dharkan Suna Ja

Dhola Apnay Haatoh Ki Mehndi Dikha Ja
Zamanay Ko Muhabat Ka Rang Dikha Ja

Dhola Tu Aaja Meri Eid Kara Ja
Apni Baaho May Muj Ko Araam Kara Ja

Apni Choriu Ki Khobsorat Khanak Tu Suna Ja
Dhola Tu Aaja Galay Say Laga Ja Meri Eid Kara Ja

Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi

Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi
Baray Naz Say Tu Nay Manai Ho Gi

Haseen Hath Pe Maehndi Bhi Lagai Ho Gi
Nazuk Labon Ko Gulab Kia Hoga

Narm Si Kalai Chorion Se Sajai Hogi
Sitare Bhi Tanke Hon Ge Tum Ne Mang Mein Apni

Marmry Paon Mein Pazeeb Pehni Hogi
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga

Rukhsaron Lali Bhi Bikhri Hogi
Ajab Si Khushi Se Dil Dharka Hoga
Koi Chahne Wala Jab Eid Mila Hoga

Ek Aur Eid B Guzer Gai Aisey

Lo Ek Aur Eid B Guzer Gai Aisey
Sadiyon Se Chali Aa Rehi Hai Jesey

Wo Udasi, Wohi Yadein, Wohi Tanhai
Mili Hi Kab Thi Hamein In Se Rehai

Mehboob B Hai Naraz Sa Rootha Hua
Her Rishta B Hai Aisey Hi Utha Hua

Bohat Khush They Loag Chand Daikh Ker
Hum Udas Us Mein Mehboob Daikh Ker

Maan Liya Mehboob Se Ziadti Hum Ne Ki
Per Ganwa Liya Her Rishta Dey Ker Jan B

Kuch Anjan Rishtey Chaha Tha Barh Ker Jan Se
Han Chorr Gaey Wo B Be-Wafa Maan K

Isi Sadmey Mein Her Khushi Guzer Jati Hai
Kiya Cheez Hai Muj Mein, Jo Mujey Hi Rulati Hai

Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehna K Lout Aao Suna Hai Eid Aai Hai
Ek Baar To Aa K Mil Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Bin Tere Bohat Eiden Guzari Hai
Is Baar To Milne Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana Judai Se Mohabbat Kam Nahi Hoti
Ye Dunya Ko Batla Jaao K Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Chahat Ka Bharam Na Totne Dena
Tum Pal Do Pal Hi Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Tanha Hai Koi Eid K Din Bi
Ye Tanhai Mita Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Monday, 29 July 2013

Tum Eid Manao Saj Dhaj K

 Tum Eid Manao Saj Dhaj K
Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Jis Haal Mein Hon Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Tum Singaar Karo Jo Tumhara Haq Hai,
Mera Kia Hai Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Log To Tera Dam Bharte Hain Husan Daikh K,
Mera Kon Mujhe Kon Janta Hai Mein Aise Hi Sahi,
Ye Eid Tum Ko Khoshian Naseeb Kare,
Mein Bad Naseeb Hon To Aisa Hi Sahi,
Tum Ko To Ko Har Eid Pe Saj Dajh K Raha Karo,
Main Haal Se Behaal Hon To Aisa Hi Sahi........!

Hasrat Hai Tumhari Deed Karain

 Hasrat Hai Tumhari Deed Karain

Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain

Kuch Dair To Dil Ko Chain Mile

Kuch Roz To Man Ka Phool Khile

Kehte Hain Eid Ki Aamad Hai

Ab Log Bhi Kuch Ta'eed Karain

Tum Se Ye Ek Guzarish Hai
Ye Apne Dil Ki Khwahish Hai

Ek Bar Milo Ek Bar Milo
Har Bar Yehi Takeed Karain

Jab Gham k Badil Chaay Thay

Us Waqt bhi Tum Na Aye Thay

Is Bar bhi Tum Nahi Aye Ho

Dushman bhi Ye Tanqeed Karain

Mana k Hum Dewane Hain
Sub Baton Se Anjane Hain

Jab Apne Hi Begane Hain
Kia Ghairon Se Umeed Karain

Tum Ao To Hum bhi Eid Karain..................!

Eid Pe Jab Us Ne Mehndi Lagai Ho gi

 Eid Pe Jab Us Ne Mehndi Lagai Ho gi,,

Sookh K Jab Hina Rang Layi Hogi,,

Mehndi Ka Rang Daikh Kar Haathon Par,,

Chupky Sy Holy Holy Wo Muskrai Hogi,,

Saj K Sanwry K Eid K Din Wo,,

Beech Sahliyoun K Gun-Gunai Hogi,,

Saath Sahliyoun K Hansty Muskraty,,

Ik Pal Ko Mairi Mohabbat Yaad Aayi Hogi,,

Name Liya Hoga Kisi Sahli Ny RAAHI Ka Jab,,

Dil Ki Khushi Chhupa Kar Wo Sharmai Hogi........!

Suna Hai Eid Bichrre Howe Ko Milati Hai

 Jab Bhi Kabhi Nai Eid Aati Hai.

Sath Khushiyan Apne Lati Hai.

Kuch Dar Ayse Bhi Hote Hain.

Aanken Jahan Muntazir Behti Hai.

Kuch Log Jo Dil Mein Rehte Hain.

Un Ki Yaad Bahut Satati Hai.

Jab Bahaar-E-No Guzrarti Hai Chaman Se.

Un Ki Khushbo Pher Se Lati Hai.

Ayse Mein Un Ki Sab Hi Pechli Batain.

Har Aahat Par Hum Ko Tarrpati Hai.

AFFAN, Too To Hai Pardees Mein.

Suna Hai Eid Bichrre Howe Ko Milati Hai....!

Ye Eid Bhi Kitni Nirali Hai

Ye Eid Bhi Kitni Nirali Hai.

Bas Mera Ghar Hi Khali Hai.

Wo Rooth K Kia Gaye Hum Se.

Ab To Jaan Humari Jane wali Hai.

Dar Dar Ja K Un Ko Dhoondte Hain.

Ab Bhi Meri Nazar Sawali Hai.

Is Bagh Ka Bulbl Door Gia hai.

Is Wadi Mein Ab Kehat Saali Hai.

Phool Bhi Sehme Sehme Se Hain.

Kion K Aandhi Aane wali Hai.

Ye Eid Nahi Matam Bani Hai Yaro.

Toota Phool To Ab Roti Dali Hai.

Aye Eid Kia Tum Khushian Lai Ho.

AFFAN Ki Jholi To Ab Tak Khali Hai.....!

Guzari Ab K Baras Eid Safar Mein

Guzari Ab K Baras Eid Safar Mein,

Muntzir Rahi Koi Hasti Ghar Mein,

Raah Dekhti Rahi Shab-E-Hilaal Tak,,

Paya Na Mera Naqash-E-Paa Nagar Mein,

Barsi Eid K Roz Bhi Us Ki Aankhein,

Din Eid K Lout Aaye Shayd Rahi Isi Fikar Mein,,

Jaan Na Pai Ye Majboori Mairi,,

Kitna Majboor Tha Main Bhi Khazar Mein,,

Kahti Rahi Ye Baat Wo Fone Kar K,,

Lot Aao Raahi Rahty Ho Kyoun Itna Safar Mein......!!!

Thursday, 25 July 2013

Is Eid Par Lal Gulab La Do Na

Poet Zahid Rahi

Is Eid Par Lal Gulab La Do Na


Phir Mere Baalon Mein Saja Do Na


Wo Kehti Thi Eid Par Aik Kitab Behjon Gi


Mera Naam Us Mein Likh Do Na


Agr Pyar Hai Mujh Se Tum Ko


Meri Ye Sooni Si Kalai Saja Do Na


Aankhain Hain Kajal Ko Tarsi Hoi


Apni Chahat Ka Surma Pawa Do Na


Hont Hain Khushk Ye Piyar K Pani Ko


Apni Mohabbat Ki Surkhi In Pay Saja Do Na


Hath Hain Mere Soone Mehndi k Rang Se


Choom Choom K In Ko Mehndi Rang Bna Do Na


Pair Bhi Tarstay Hain Jhankar Ko


Is Eid Pay Apne Hathon Payal Pehna Do Na


Har Eid Pay Matmi Labas Pehnti Hon Mein


Laal Joura Pehna K Mohabbat Ki Muhar Laga Do Na


Is Eid Pe Mujhe Gulab La Do Na


Phir Apne Hathon Se Mere Baalon Mein Saja Do Na..........!

Tuesday, 7 May 2013

Lagaya nahi hai usney galey pyar sey Mujey.

 

Lagaya nahi hai usney galey pyar sey Mujey.
Main kaise maan jaun k aaj Eid hai...