affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Chooriyan

Thursday, 10 October 2013

Chooriyan

Wo kehti hai, kia ab bhi kisi k liye laal,hari chooriyan khareedtay ho?
Main kehta hon, ab kisi ki kalaai pe ye rang acha nahi lagta.


Wo kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
Main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..


Wo kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
Main kehta hon, mohabbat sirf "larki" per mushtamil nahi hoti


Wo kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasi hai
Main kehta hon k titliyon ne bhi mere dukh ko mehsoos kiya hai.


Wo kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
Main kehta hon k mere nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.


Wo kehti hai k kabhi mere zikar per ro bhi laite ho ge?
Main kehta hon k meri ankhon ko har waqt ki phuwar achi lagti hai.


Wo kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
Main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh eezaaz mila hay

No comments:

Post a Comment