affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ek Gulab Tha

Wednesday, 10 April 2013

Ek Gulab Tha

Ek Gulab Tha
Bara He Udaas Tha
Rang Bhi Uska Tha Ura Ura Saa !

Shabnam Ke Aansoo Rawan The Uske
Dil Tha Uska Kuch Bujha Bujha Sa
Bahar Ka Tha Mausam Phir Bhi Na Khila Tha
Daali Se Tha Woh Apni Kuch Jhuka Jhuka Sa

Maine Jo Dekha Usse,
Paas Jake Pucha Usse,
Kyun Hai Udaas Tu ?
Kyun Karta Hai Dil Barbad Tu ?
Yeh Sun kar Woh Rone Laga
Shabnam Ke Aansuon Se Muh Dhone Laga
Aur Rote Rote Bas Yeh Kehne Laga
Mera Yaar Mujhko Chor Gaya Hai
Mera Pyar Mujhse Muh Mor Gaya Hai
Ab Mai Kiske Liye Khil Jaun ?
Ab Mai Kiske Liye Khushboo Mehkaaun ?
Mujhe Kaun Apne Dil Se Lagaye Ga ?
Mujhko Kaun Apni Saanson Mein Basaye Ga ?


Mera Chaman Ujar Gaya Hai
Mera Yaar Mujhse Bichar Gaya Hai
Bas Ab To Har Lamha Ussi Ki Yaad Hai
Bas Beqarari Hai Tadap Hai Fariyad Hai
Mujhko Mere Yaar Se Mila De
Mujhko Koi Mera Pyar Lauta De
Woh Aayega To Khil Jaunga Mai
Apni Zindagi Se Mil Jaunga Mai . .

No comments:

Post a Comment