Ek shakhs ko dykha tha................
Ek shakhs ko dykha tha taron ki tarha hum ne
Ek shakhs ko chahan tha
Apnon ki tarha hum ne
Ek shakhs ko samjha tha
phoolon ki tarha hum ne
Wo shakhs Qayamat tha kiya os ki karen baten
Din os ke leay paida
us ki hi thi raten
Kab milta ksi se tha
Hum se thi mulaqaten
Rang us ka shahabi tha zulfon mein thi mehkaren
Ankhen then ke jadoo tha
palken then ke talwaren
Dushman bhi agar dykhen
sou jan se dil haren
Kuch tum se wo milta tha
Baton me shabahat thi
Han tum sa hi lagta tha
Shokhi mein shararat mein
Lagta bhi tm sa hi tha dastoor e mohabbat mein
Wo shakhs hamen ik din
Apnon ki tarha bhoola
Taron ki tarha dooba
Phoolon ki tarha toota
Phir haath na aya woh hum ne bohot dhoonda
Tum kis leay chonkey ho?
Kab zikar tumhara hai?
Kab tum se shikayat hai?
Kab tum se taqaza hai?
Ik tazah hikayat hai Sun lo to inayat hai..........
Ek shakhs ko chaha tha apnon ki tarha hm ne..........
No comments:
Post a Comment