affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

Saturday, 8 June 2013

Jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

Jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
Apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuqsan hua

Mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
Pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua

Us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
Us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua

Yun bhi kam amez tha "Mohsin" wo is shahar k logon main
lekin mere samne aa kar aur hi kuch anjam hua

No comments:

Post a Comment