affiliate marketing Famous Urdu Poetry: October 2013

Friday, 25 October 2013

Gham-e-Zindagi Teri Raah Men


Gham-e-Zindagi Teri Raah Men
Shab-e-Aarzoo Teri Chah Men ,

Jo Ujar Gaya Wo Basa Nahi
Jo Bichar Gaya Wo Mila Nahi ,

Jo Dil-o-Nazar Ka Suroor Tha
Mere Paas Reh Kar Bhi Door Tha ,

Wohi Aik Gulaab Umeed Ka
Meri  Aarzoo Me Khila Nahi ,

Mera  Humsafar Jo Ajeeb Hay
Us Par Mujhe Gumaan Hay Bara ,

Usay  Manzilon Ki Khabar Nahi 
Mujhe Raaston Ka Pata Nahi ,

  Is  Zindagi Ki Dour Men Haara Hon Tou Bas Is Liye
Ki Qadam To Sab Se Mila Liye ,

Bas Dil Kisi Se Mila Nahi…

Subha Tak Bik Gaya Bazaar Ka Har Aik Jhoot


Subha Tak Bik Gaya Bazaar Ka Har Aik Jhoot

Aur Men Ak Such Le Kar Shaam Tak Betha Raha

Sunday, 13 October 2013

Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai

Tum Mujhe Bhool Jao Tumhe Haque Hai
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai
Mere Dilki Mere Jazbaat ki Qeemat Kya Hai
Uljhe Uljhe Khayalat Ki Qeemat Kya Hai

Maine Kyun Pyar Kiya Tumne Na Kyu Pya Kiya
Inn Pareshan Sawalat Ki Qeemat Kya Hai
Tum Jo Yeh Bi Na Batao To Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai

Tum Agar Aankh Churao To Yeh Haq Hai Tumko
Tumko Duniya Ke Gham-o-Dard Se Fursat Na Sahi
Sabse Ulfat Hi Mujhse Hi Mohabbat Na Sahi
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai

Main Tumhari Hun Wohi Mere Liye Kya Kam Hai
Tum Mere Hoke Raho Yeh Meri Qismat Na Sahi
Aur Dil Ko Jalao Mera Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai
Mohabbat Ki Hai SHayad Mohabbat Ki Hai

Saturday, 12 October 2013

Teray Husn Par Tareefo Bhari Kitab Likh Deta


 Teray Husn Par Tareefo Bhari Kitab Likh Deta,
.
.
.
Ay Kash Ke Teri Wafa Tera Husn Ke Barabar Hoti...*

Natija Tum Say Mohbbat ka Ham Nay Dekh Liya


 Natija Tum Say Mohbbat ka Ham Nay Dekh Liya,
.
.
.
Kuhda Karay Tumhain Mohbbat Na Ho Ham Say...*

Friday, 11 October 2013

Samundar saray sharab hotay

Samundar saray sharab hotay to socho kitnay fasad hotay
Gunah na hotay sawab hotay to socho kitnay fasad hotay...

kissi k dil main kia chupa hay bus khuda he janta hay
Dil agar baynakab hotay to socho kitnay fasad hotay...

cororoon lamhay hum nay yunhi teri furkat main tanha bita diyay
gr unglioon pay hisab hotay to socho kitnay fasad hotay...

thee khamooshi fitrat hamari jo chand baras bhi nibh gaii
Gr hamaray mun main jawab hotay to socho kitnay fasad hotay...

phir kiss terah chalta karobar e zindgee
shehar main sub he nawab hotay to socho kitnay fasad hotay...

hum achay thay phir bhi un ki nazar main sada buray rahay
gr kaheen hum kharab hotay to socho kitnay fasad hotay...

Titlian Baith Gai Hathon Pe Bane Phoolon Par

 Titlian Baith Gai Hathon Pe Bane Phoolon Par,

Kitna Mahir Tha Usay Mehandi Lagane Wala...........!

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim


 Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,

Rasm-e-Dunia Bhi Hai,

Moqa Bhi Hai,

Dastoor Bhi Hai,

Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare,

Husn Mastoor Bhi,

Majboor Bhi,

Maghroor Bhi Hai,

Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte,

Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte,

Ye Mana Tum Haseen Ho Aur,

Tumhain Haq Hai Shararat Ka,

Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte,

Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka,

Adaab Laazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte,

Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain,

Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte,

Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain,

Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karate,

Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka,

Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte,

Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi,

Mera Kehna Bhi Bura Nahi,

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim..............!

Thursday, 10 October 2013

Hans ke bolaa karo bulaayaa karo

Hans ke bolaa karo bulaayaa karo
Aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo

Muskurahat hai husn ka zevar
roop barhtaa hai muskuraayaa karo

Had se barh kar haseen lagate ho
Jhooti qasmein zarur khaayaa karo

Hukm karna bhi ek sakhaavat hai
Ham ko khidamat koi bataya karo

Baat karna bhi baadshahat hai
Baat karna na bhul jaya karo

Taa ke duniya ki dilkashi na ghate
Nit naye pairahan mein aaya karo

kitne saadaa mizaaj ho tum Adam
Us galii mein bahut na jaayaa karo

Sirf "Bewafa" Likha...

Zard Khal-O-Khad Uske
Sogwar Daman Tha
Ab Ke Uske Lehje Mein,
Kitna Khurdara Pan Tha,

Wo Ke Umr Bhar Jisne,
Sheher Bhar Ke Logon Mein,
Khudse Meherbaan Samjha,
Dilse Aashna Likha,

Ab Ke Sada Kagaz Par
Surkh Roshni Se
Usne Talkh Lehje Mein
Mere Naamse Pehle
Sirf "Bewafa" Likha...

Mohabbat Maine Bhi Ki Thi

Mohabbat Maine Bhi Ki Thi
Kisi Ko Dil Se Chaha Tha
Nahi Ab Paas Wo Mere
Magar Ye Log Kehte Hain
Wo Dekho Zard Chehra Hai
Nigaahain Sard Hain Iski
Honton Se Hansi Ghayeb
Maathe Pe Shikan Zaahir
Mohabbat Is ne Ki Hogi

Haan !!

Mohabbat Main Ne Bhi Ki Thi
Nahi Ab Paas Wo Mere....

Mohabbat tum ne karni hai?

Suno aye dost
Mohabbat tum ne karni hai?

Tou phir be aas ho jana
Dil ko sakht kar lena
Mathe pe shikan na ho
Honton pe hasi na ho
Chehray pe sukoon na ho
Haan muhabbat aisa karti hai

Bohot be-dard hoti hai
Dil ko dard deti hai
Chehray ko zard karti hai
Aankhoon ko sard karti hai

Bahut hi dard deti hai
Muhabbat tum ne karni hai?
Tou phir be ass ho jana. . .

Main sub janti thi . .

Hamain malum tha ye bi
Hamain wapas palatna hai
Junoon ki akhri had se
Sakun ki jang larne tak
Khirchyun main bikhrne tak
Na koi sath de ga
Na koi hath de ga
Shanaasa har shakhs hamara
Hamain chor jaye ga
Sapne bunte khilin thi jo
Wo kaliyan tor jaye ga..

Hamain malum tha koi gosha nahi ho ga
Jahan pe panaah payain ge
Magar phir bhi
Jub tum ne sath manga tou
Bina soche
Bina samjhe
Rida.e.mohabbat orrhe
Zad.e.rah lye bina
Tere qadmun k peche hi
Nikal pare hum is safar main
Hamain roka bhi tha dil ne
Wehsat ke safar main jab
Tum sakun pa lo ge
Be-maaya kar k zaat ko meri
Kisi k sath tum aage nikalte jao ge
Hamain maluum tha ye sub
Safar se le kar tere bichre ki azeyat tak
Main sub janti thi . .

Chooriyan

Wo kehti hai, kia ab bhi kisi k liye laal,hari chooriyan khareedtay ho?
Main kehta hon, ab kisi ki kalaai pe ye rang acha nahi lagta.


Wo kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
Main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..


Wo kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
Main kehta hon, mohabbat sirf "larki" per mushtamil nahi hoti


Wo kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasi hai
Main kehta hon k titliyon ne bhi mere dukh ko mehsoos kiya hai.


Wo kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
Main kehta hon k mere nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.


Wo kehti hai k kabhi mere zikar per ro bhi laite ho ge?
Main kehta hon k meri ankhon ko har waqt ki phuwar achi lagti hai.


Wo kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
Main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh eezaaz mila hay

Main Roi To Nahin Hoon

Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Akser Phail Jata Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahin Hoon......

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahin Hoon......

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Main Roi To Nahin Hoon......

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Main Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon.....
- See more at: http://www.killerpoetrycollection.com/2011/07/main-roi-to-nahi-hoon.html#sthash.okKhuGuG.dpuf

Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Akser Phail Jata Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahin Hoon......

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahin Hoon......

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Main Roi To Nahin Hoon......

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Main Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon.....
- See more at: http://www.killerpoetrycollection.com/2011/07/main-roi-to-nahi-hoon.html#sthash.okKhuGuG.dpuf
Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Akser Phail Jata Hai
Main Roi To Nahin Hoon......

Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahin Hoon......

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahin Hoon......

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Main Roi To Nahin Hoon......

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Main Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon.....
Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Akser Phail Jata Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahin Hoon......

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahin Hoon......

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Main Roi To Nahin Hoon......

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Main Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon.....
- See more at: http://www.killerpoetrycollection.com/2011/07/main-roi-to-nahi-hoon.html#sthash.JPh7wG9E.dpuf
Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Akser Phail Jata Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahin Hoon......

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahin Hoon......

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Main Roi To Nahin Hoon......

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Main Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon.....
- See more at: http://www.killerpoetrycollection.com/2011/07/main-roi-to-nahi-hoon.html#sthash.JPh7wG9E.dpuf

Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey !

Bohat Mumkin tha

Mere Paoo'n , Meri Zeest ke
Kaantey Nikal Jaatey
Bohat Mumkin tha
Meri Raah ke Pathar Pighal Jaatey
Jo Deewaarein Mere Raste mein Haayel Thein
Merey Aagey Se Hatt Jaatein
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
Kohsaaroo'n ki taraf Aik Pal
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo se Katt Jatein
Bohat Munkin tha Angaaroo'n Bhari Iss Zindegaani mein
Tumhare Paaoo'n ke Ujley Kanwal Khiltey
Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
Bus Ik Khuaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
Hamari Rooh kab Ham se Khafa Rehti ?
Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey !

میری بے بسی ،میری التجاہ، میری ضبط آہ پہ نظر تو کر


میری بے بسی ،میری التجاہ، میری ضبط آہ پہ نظر تو کر 

مجھے مسکرا کے نہ بھول جا میری زندگی کا سوال ہے

Wednesday, 9 October 2013

Kitni Tehzeeb Se Betha Hon AaJ Nazron ko Jhuka Kar...


Kitni Tehzeeb Se Betha Hon AaJ Nazron ko Jhuka Kar...

Kabhi Socha Na Tha K M0habbat Mujhy Bhi Sanjeeda Bana Day Gi...!!!

Tuesday, 8 October 2013

Seenay Se Is Terha Ye Dil-e-NatwaN Gaya

Seenay Se Is Terha Ye Dil-e-NatwaN Gaya
Ham Sab Se Pochtay Rahay Aakhir Kahan Gaya

Dil Ka Safar Hay Aur,Ye Qadmon Ki Chaal Aur
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya

Aisi Pari Woh Mujh Pe Ebadat-Shikan Nigaah
Sajda Gaya, Namaz Gayi, Aastan Gaya

Jangal Mein Is Terha Ki Udaasi Kabhi Na Thii
Ay Kaarwan Thehar, Mera Sathi Kahan Gaya

Sab Mujh Ko Sun Rahy They Bare Inhamaak Se
Boli Woh Aankh Kya, Mera Zor-e-Bayan Gaya

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mery Liye
Wo Kya Gaya K Sara Hi Rang-e-Jaahan Gaya

"~..Jis DiN toOt JaO Gy, MeRe PaaS ChaLe AnA...!!!


"~..Jis DiN toOt JaO Gy, MeRe PaaS ChaLe AnA...!!!
 
"~..Mujhe MoHaBBat Hy, MeRe JesE LoGo Se...!!!

Monday, 7 October 2013

Laash


Kandha De Raha Tha _____ K Achaanak Se Hatt Gya
Shayad Kisi Ne Keh Diya
MOHSiN Ki Laash Hy

Chorro sarsari waady nhi poorey hoty


Chorro sarsari waady nhi poorey hoty ,
.
.
.
Main isi waqt jo maar jaon, to mar jao gay kya...*???

Pyar Tha, Mohabbat Thi, Ishq Tha, Adaa Thi



Pyar Tha, Mohabbat Thi, Ishq Tha, Adaa Thi,
.
.
.
Agar Wafa Bhi Hoti Tu Qayamat Tha Wo Shakhs...*

Aik Din Ek Pagal Lrki Phulon Se Khel Rahi Thi


Aik Din Ek Pagal Lrki Phulon Se Khel Rahi Thi,

Halke Halke Baaten Kar K Phulon Ko Bosay De K,

Shayad Kuch Soch Rahi ThiYakayak 1 Kantay,

Ne Aa K Us K Honton Ko Zakham Bakhsha,

Usne Phulon Ko Hata K Kante Ko Muthi ,

Mai Le Kar PYAR Se Thora Chuma,

Shayad Wo Jan Gai Thi PYAR K Badle Yehi Milega...*