affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Basti, jungle, sehra, darya,

Sunday, 17 March 2013

Basti, jungle, sehra, darya,

Sahil, rait, samandar, lehrain,
Basti, jungle, sehra, darya,
Khushbu, mousam, phool, dareechay,
Baadal, suuraj, chaand, sitaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!

Khaab ki baatain, yaad k qissay,
Soch k pehlu, neend k lamhay,
Dard k aansu, chain k naghmay,
Urtay waqt k behtay dhaaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!

Rooh ki aahat, jism ki junbish,
Khoon ki gardish, saans ki larzish,
Aankh ka pani,
Chahat k unwaan ye saray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!

No comments:

Post a Comment