affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Samandar Pochta Hay Ab wo Dono Kiun Nahi Aatay ..?

Sunday, 24 March 2013

Samandar Pochta Hay Ab wo Dono Kiun Nahi Aatay ..?

Samandar Pochta Hay
Ab wo Dono Kiun Nahi Aatay ..?

wohi dono ...jo bhegi rait per
ik dosray ka hath thamay dor tak

kabhi hanstay ..kabhi kuch gungunatay
ya kabhi chup chaap bethey ....
door ufaq ki goud mein
roposh honay wala suraj dekhtay ...

Aur Aanso Bahatay Lout jatay Thay !

Samandr pochta hay
ab wo dono kiun nahi aatay !

jo aatay thay to apnay sath
kitnay khuwab latay thay ...

kabhi sahil say dheyron seepiyan chuntay thay ...
nangay paaon paani mein chalay aatay thay ....

bhegi rait say nanHay gharonday bhe banatay thay ..!
aur un mein seepiyan rangee'n see
kuch sangrezay ..

yoon sajatay thay ....
K jesay aaj k jugno say lamhay
aanay walay kal ki mutthi mein chupatay thay ...



Samandr pochta hay
ab wo dono kiun nahi aatay !

magr samandar ne
khizaa'n ki siskiyan leti hoi
ik shaam ko

us nujawan ko nahi dekha ...jo deir talak
sar E sahil ........raha betha

phir us ne dheir saray khatt
bohat say sokhay phool ...
or tasveerain ...

Or Apnay Aakhri Aanso ....
Samandar K Hawalay Ker Diye Thay ...!!!

Samandar Pochta Hay
Ab wo Dono Kiun Nahi Aatay !

No comments:

Post a Comment