affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Bazahir aam lehjay main

Sunday, 24 March 2013

Bazahir aam lehjay main

Bazahir aam lehjay main

kaha tha main ne jab us se

"badal lo raasta apna

juda rahaiN yaheen karlo

hamaray chahnay na chahnay se

kuch nahi hota

ye hi sach hai ke hum do mukhtalif

rastoN ke raahi hai

to phir kun dil ki manaiN hum

shuru main manti hooN main

azziyat dil ko pohNchay gi

magar phir waqt guzray ga

sabhi zakhmoN ko bhar de ga"

meray is aam se lehjay pe wo

ik pal ko choNka tha

meri aankhoN main aaNkhain daal kar

hairat se poocha tha

"ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"

bohat hi jee kaRa kar ke

main us dam muskuraii thi

bohat khud pe jabar kar ke

main us se keh ye payi thi

"meri tum fikr rehnay do

sambhal jaoon gi main khud hi

sabhi zakhmoN ko see looN gi

bhula kar sari batoN ko

akaili bhi main jee loon gi"

buhat hi be yaqeeN aaNkhoN se

us ne mujh ko dekha or

Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya

aur ab tark e ta'alluq ko

agarche um'r beeti hai

magar is dil pe us ki zaat ka

jo naqsh qa'im tha

kabhi dhundla nahi hota

mujhay mehsoos hota hai

ke jaisay meray kanoN main

wo apni bolti aaNkhoN se

sargoshi si karta hai

"WO SAB JO KEH RAHI THEEN

KHUD KO WO SAMJHA BHI PA'EE HO?"

No comments:

Post a Comment