affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Bheerh Main Ik Ajanabi Ka Samna Acha Laga

Wednesday, 6 March 2013

Bheerh Main Ik Ajanabi Ka Samna Acha Laga

Bheerh Main Ik Ajanabi Ka Samna Acha Laga.
Sab Se Chup Kar Vo Kisi Ka Dekha Acha Laga.
Surmai Ankhon Ke Niche Phool Se Khilane Lage.
Kehte Kehte Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga.
Baat To Kuch Bhi Nahin Thi Lekin Us Ka Ek Dam.
Haath Ko Honthon Pe Rakh Kar Rokna Acha Laga.
Chaye Me Chini Milana Us Ghari Bhaya Bahut.
Zer-E Lab Vo Muskurata Shukriya Acha Laga.
Dil Main Kitane Ahad Bandhe The Bhulane K Use.
Wo Mila To Sab Iraade Torna Acha Laga.
Beirada Lams Ki Wo Sansani Pyari Lagi.
Kam Tawaj'jo Aankh Ka Wo Dekhna Acha Laga.
Nem Shab Ki Khamushi Main Bhigati Sarkon Pe.
Kal Teri Yaadon Ke Jaalo Main Ghumna Acha Laga.
Us Uduu-E-Jaan Ko "Amjad Main Buraa Kaise Kahoon.
Jab Bhi Aaya Saamane Wo Bewafa Acha Laga.

No comments:

Post a Comment