affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Labon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pahle

Wednesday, 6 March 2013

Labon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pahle

Labon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pahle.
Dilon K Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle.
Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata.
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle.
Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The.
Yahi Sooraj Nikalta Tha Tumhare Baam Se Pahle.
Hoi Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut-Te Honge.
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle.
Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak.
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle.
Hua Hai Wo Agar Munsif To "Amjad Ahtiyatan Hum.
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle.

No comments:

Post a Comment