affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Yeh kiya keh aik jahaaN ko karo waqaf izztarab

Tuesday, 19 March 2013

Yeh kiya keh aik jahaaN ko karo waqaf izztarab

Yeh kiya keh aik jahaaN ko karo waqaf izztarab
Yeh kiya keh aik dil ko shateeba na kar sako
 
Aisa na ho yeh dard bane dard laazawal
Aisa nah ho keh tum bHee madaawa na kar sako
 
Shayad tumHaiN bHee chain na Aa'e mere baghair
Shayad yeh baat tum bHee gawaara na kar sako
 
Kya jaane pHir sitam bHee muyassar ho na ho
Kya jaane yeh karam bHee karo yaa nah kar sako

Allah kare jahaaN ko mere yaad bHool ja'e
Allah kare keh tum kabHee aisa na kar sako
 
Mere siwa kisee kee na ho tum ko justajoo
Mere siwa kisee kee tamanna na kar sako

No comments:

Post a Comment