affiliate marketing Famous Urdu Poetry: April 2013

Monday, 29 April 2013

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.

Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.

Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.

Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.

Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega.

Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.

Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.

Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.

Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.

Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin………

Bohat farsoda lgty hyn mjy ab yar k qissy

Bohat farsoda lgty hyn mjy ab yar k qissy

Gul-o-gulzar ki baten lab-o-rukhsar k qissy

Yahan sb k muqdar mein faqat
zakham-e-judai hy

Sbi jhothy fasany hyn wisal-e-yar k qissy

Bhala ishq-o-mohbat sy ksi ka pait bharta hy

Suno tum ko sunata hun mein karobar k qissy

Mry ahbab kehty hyn yahi ek aeib hy mujh mein

Sar-e-dewar likhta hun pas-se-dewar k qissy

Mein aksar is lye logoun se ja kr khud nai milta

Wohi be-kar ki batein,wohi be-kar k qissy..

Har simt gham-e-hijr k Toofan hen SaGaR


 
 Har simt gham-e-hijr k Toofan hen SaGaR
Mat pooch k Hum kitne Preshan hen SGR

Har chehra nazar aata hai Tasweer ki soorat
Ham shehr k logon se b Anjan hen SGR

Jis Shehr-e-Mohbt ne Humain Loot lia hai.

Us Shehr se ab Kooch k imkan hen SGR

Kashti abi Umeed ki Doobi to Nhi hai.

Phir Kiyun Teri Aankho main ye Toofan hen SGR.

Kar in ka Adab,Rakh Inhen Seenay se lga kar

Ye Dard,ye Tanhaiyan Mehmaan hen SGR

TUM TUM SE HUM Ban jaoge

JAB SAWAN ME tanha bheegoge

JAB AANGAN khali paoge

JAB SAHIL SE takrati lehron me

TUM TANHA HI KHO jaoge,

JAB RAAT K tanha daman me

TUM CHAND KO aadha paoge,

JAB KHUD SE baten krte krte

TUM DOOR kahin kho jaoge,

JAB DIL KI baat chupane ko

TUM HUM SE nazar churaoge,

HUM TUM SE MUHABBAT KARTE HEN

HAR BAR YE kehna chahoge,

IN SAB LAMHON me jaan lena

TUM TUM SE HUM Ban jaoge..

Udaas jaagti ankhon k khwab laya hon

~~Udaas jaagti ankhon k khwab laya hon

Me pthron me chupa kr gulab laya hon

Jo hosake to tnhaiyon me prh lena

Tmhare waste dil ki kitab laya hon

Wo 1 sawal jo tmne kbi nhi pocha

Saja k palkoon pe uska jwab laya hon
~~
Tujko mujse nhi mri mohabt se gila hoga

Le dekh me khulasa_e_ahbab laya hon

Dil pe lage zkhm to sb mita chuka hon WASI

Ye to roh k zkhmon ka hisab laya hon.

Meri zindgi ka koi sahara nahi hai

Meri zindgi ka koi sahara nahi hai

Is jahan main koi humara nahi hai

Pakra uska hath to muskura kr kaha us ne

Choro mera hath ye Haq Tmhara nahi hai

Jb kaanch uthany parh jayen

Jb kaanch uthany parh jayen,

tm hath hmara le jana.

jb khud ko tanha pao to,

tm sath hmara ly jana.

jb smjho jeet muqadar hy,

or rstay hain dushwar boht,

na chahte b tum keh dena,

bay baak sahara ly jana,

jo bazi ab tm jeeto gy,

jo manzil ab tm pao gay,

phir chaho to ye keh dena,

k manzil thi mqsood muje,

kb sath hmara choota hy,

ik muskurahat dy jana,

tm jan hmari ly jana.

jb kaanch uthany parh jayen,

tm hath hmara ly jana.

Wo Kehta Hy K

"Wo
Kehta Hy
K

Agar Naseeb Hoga Mera,

To
Hum
"Unhen Zror Payen Ge.
Hum Pochte
Hain Un Se
Agar Hum Badnaseeb Hue,

To
"Un K BINA Kese
'JEE' Payen Ge..

Q SharmiNda Karte Ho



Q SharmiNda Karte Ho, Ye Rasmi BateN Poch Kar...!!
-
HaaL Hamara Wohi Hy Jo Tum Ne BaNa Rakha Hai...!!

khamoush lehjay merey hamdam

Khamosh Lehje Mere Hamdam,
Kabhi Bola Nahi Karte..

Dard o Gham Ko Hr Kisi k Saamney,

Khola Nahi Karte..

MUHABBAT To MUHABBAT Hai,
Bari Anmol Hoti hai,

MUHABBAT Ko Tarazu Men,
Kabhi Tola Nahi Karte..

Mere Khamosh Rehne Pr,

Koi Ilzam Mat Dena,

Samandar To Samandar Hen,

Kabhi Bola Nahi Krte..!!

KASH .. ..

Tum JAN sakty is MOHABAT Ko…..
Kaaash
Kash tum DEKH sakty…
Tuty huy dil ko
Behty huy ansuon ko
Is adhury mösam ko
Kash Tum PARH sakty…
Mery hathon ki lakeron ko
Khawabon ki taberon ko
Dil k afsanon ko
Kash Tum SAMJH Sakty…
Mery lafzon ki gehrai ko
Honton ki sachai ko
Mehfil ki tanhai ko
Kash tum JÖRR sakty…
Iss DIL ko.. ..
Iss RISHTY ko.. ..
Iss WADY ko.. ..
Lekin ye soch kr khamosh ho jata hun.. ..
KASH .. ..
Tum JAN sakty is MOHABAT Ko……….

Kitab-e-ishq likhny ki mujhe fursat nahi sahib

Kitab-e-ishq likhny ki mujhe fursat nahi sahib
abhi tak bewafayi per meri tehqeeq jari hy

raiza raiza sapnu walay, totay chehray aadhay log

 
raiza raiza sapnu walay, totay chehray aadhay log
janay walay kab aatay hain, kyo kartay hain waday log
aas main bethi shehzadi ki, mang main chandi jhank chuki
itni dair se kyo aatay hain? aakhir ye shehzaday log
peyar ki rah ki rah pe ungli thamay, andha dhundh chal partay hain
na'samjhi main mar jatay hain, hum se sidhay saday log
hum donu main kon hy mujrim? ye tay hona mushkil hy
aadha shehr tha hami uski, sath thay meray aadhay log

Thi Door Manzil

Thi Door Manzil
Musafton me Katti Hai Umr-e-Shabab Apni....

Wo Pass rehta
Wo Pass rakhta
Wafa Nibhata to Kya bura tha.?

Lagta Nhi k Sath nibhaye ga dair tak

Lagta Nhi k Sath nibhaye ga dair tak..,
Lekin Wo Mujh ko Bhol Na Paye ga dair tak..,

Jo bhi Qareeb aye ga us k Usy zaror..,

Wo Meri Dastaan Sunaye ga Dair tak..,

Dhondey ga wo Mujhe enhi Galiyon mein Ek din..,

Dhondey ga or Mujh ko Na Paey ga dair tk..,

Main sahilon ki Rait pe Likhoon Ga uska nÄam..,

Wo Pani pe Mera naqsh Bnaye ga dair tak..,

Kis haal mein Hoon us se Bichrny k baad main..,

Sun kr usay Yaqeen na ayega dair tk..!

Hathon ki lakeero pe



"Hathon ki lakeero pe,
Guftugo jub chal nikli..

Tub udaas lehjy me,
Mai ne us se kaha..

Nazar mujhko nhi ata,
Tumhara naam bilkul bhi,
In uljhi lakeeron mai..

Tub palat k wo bola,
Lakeerain jhoot hoti hen,
Tumhare sath hon mai to,
Zaroori to nhi hota,
Muqadar ho lakeero mai,
Yeh bewafa lakeerian hain,
Lakeerain bus lakeerain hain..
Aitebar mat kerna,
Bewafa lakeero pe..!!

Magr wo jhoot kehta tha,
Nateeja ye k uska sath,
Nhi baqi rha lekin,

Lakeerian ab bhi baqi hain..
"Lakeerain ab bhi baqi hain..""

sunO !



sunO !
yE tumnE pOocha tha. .
kia farq hai Zindagi aur muhabbat mein ?
aj tumkO batlaOon. . .
k in mEIn kuch bhi farq nahi hai. .
mErE liYE to tumhi mOhabbat. . .
tumhi zindagi hO. . .




Sunday, 28 April 2013

Lahaq Hy Yahan Marz Mohabbat Ka Sab Hi Ko

Lahaq Hy Yahan Marz Mohabbat Ka Sab Hi Ko
Is Sheher k Logo'n Me Waba Aam Bohat Hay

Har Darja Sharafat Ka Libada Hay Orhaa
Aur Dil Me Haqarat Ki Bala Aam Bht Hy

Risht0n Ka Yahan Paas Tou Rakhty Hyn Sab Hii Pr
Hairat Hy k Lutne Ki Sada Aam Bht Hy

Da'wa Hy k Har Fard Wafadaar Hy Yahan
Hy Darj Kitabo'n Me Jafa Aam Bht Hy

Tum Naik Taman'naye'n Tou Rakhty Ho 'Dost'
Is Sheher Me Naiki Ki Saza Aam Bht Hy

Asman se akhri baat

tUm B0hat DiL NaShen tHe pAr JaB Se

 tUm B0hat DiL NaShen tHe pAr JaB Se .....
 
hOve ho kiSi AUr K, Zehaar LaGte hO....

Tum Jo Kehtay Ho K

 Tum Jo Kehtay Ho K,
Kiun Hotay Ho Uss Bin Be-Chain...?????..


Aey Maseeha,Tang Na Kar,
 Bus Keh Jo Diya, Hotay Hain...!

ye ishq mar kion nahi jata


 
ye ishq mar kion nahi jata
har dil se nikal kion nahi jata

kitne hi aashiqon ka qatil he
ishq soli pe charh kion nahi jata

ishq gar muslam he to phir
ye rabb se darr kion nahi jata

ishq gar lawaris nahi he to aakhir
 ye apne ghar kion nahi jata

Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Ussey Hansney Ki Aadat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Uss Ney Kaha Aao Nai Dunya Basatey Hain
Ussey Suji Shararat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Humesha Usski Aankhon Main Dhanaq K Rung Hotey Thay
Yeh Usski Aam Aadat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Mairey Pass Bethi,Dair Tak Ghazlein Meri Sunti
Usssey Khud Sey Mohabbat,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mairey Kandhay Par Sir Rakh Kar Kahein Par Kho Gai Thi Wo
Yeh Ek Waqti Enayat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Wo Dekh Kar Aksar Nighahein Phair Leyti Thi
Yeh Dar Parda Haqarat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Us ne pyar ka khel bhi nafrat se khela

Us ne pyar ka kheiL ßhi nafrat se kheLa,

Har ßaar wo zaLim meri hasrat se kheLa,

Meri jaan-o-diL pe saara haq tha usay,

Dukh itna hai k wo meri ghurßat se kheLa,

DiL torra to ßikharney ßhi na dia us ne,

Merey diL k saath kitni uLfat se kheLa,

Kesay us k hathon mein ßrßaad na hota“FARAZ”,

PehLi ßaar zindgi mein koi itni mohaßat se kheLa

Wo Tittli Thi usy Urr Jana Tha

Wo Tittli Thi usy Urr Jana Tha

Us Nai Mery Hath Mai Kab Aana Tha

Mai Dhoondta Raha Usy Diwanon Ki Tara

Us Ki Koi Manzil Na Koi Thikana Tha

Es Gharz Se us Nai Mera Hath Nahi Thama

Kiu K Raasty Mai us Nai Chor Jana Tha

Us Nai Aansu b Bohat Bahaye Lekin

Baad Mai Pata Chala Ye Sub Bahana Tha

Meri Deewangi Tu Hud Se Guzer Gai Magar

Us K Liye Tu Mahez Ye Dil Lagana Tha

Qasoor Us Ka Nahi Es Mai Koi ANjuM

Khata To Apni Thi Mai Hi Zara Dewana Tha…

Apny Dil Ki Halat Wo Kisi Ko Dikhata Na Tha

Apny Dil Ki Halat Wo Kisi Ko Dikhata Na Tha,
Usy Kya Gham Tha Wo Kisi Ko Btata Na Tha,

Khizan Ka Mosam Jub Se Uska Naseeb Hi Thehra,
Usy Tub Se Koi Or Mosam Bhata Na Tha,

Logon Ko Hansany K Waasty Zindgi Bita Di Us Ne,
Kitna Ajeeb Tha Wo Shakhs Khud Muskurata Na Tha,

Jany Kis K Intzar Me Baitha Rahta Tha Subh-O-Sham
Misl_E_ Morat Bana Wo Palk B Jhapkata Na Tha

Aaj Reh Reh Ker Yaad Aaya Wo
Jo Dua De Ker Bhi Dua Batata Na Tha…!!!

Tamanna le k ulfat ki mere aangan mein wo aya

Tamanna le k ulfat ki mere aangan mein wo aya,

MOHABBAT Rog hai Dil ka Usay ye me ne samjhaya,

Kaha us ne Mohabbat ker shareek-e-Gham bana MUJH ko,

Karoon ga Me Zamanay ki
khushi se Aashnaa TUM ko,

Hua Majboor me yaro kiya Iqraar ulfat ka,

Laga di JAAN ki bazi
samajh ker khail Qismat ka,

Hui Ma’aloom phir Us ki haqeeqat ye Zamanay se,

Usay taskeen milti hai Kisi ka DIL dukhanay se 

Palko Mein Aansu 0r Dil Mein Dard Soya Hai

Palko Mein Aansu 0r Dil Mein Dard Soya Hai.

Hasney Walo Ko Kiya Pata Roney Wala Kis Qadar Roya Hai.

Ye Tou Bas Wohi Jaan Sakta Hai Meri JaaaN.

Jis Ne Zindagi Mein Kisi Ko Paney Se Pehley Khoya Hai.

Mohabbat ki kasam tum ko

Mohabbat ki kasam tum ko
Kiye wahdey wafa karna
Hamesha k liye ek sath rahney ki dua karna
Tumarey piyar k dam sey
Meri duniya main ronaq hay
Tumarey piyar k badley
Yeh duniya ley kar kia karna
Tumari kaid main aya
Merey dil ka panchi hay
Katar do baal par is k
Na pingrey sey reha karna
Tumeen yeh koun kahta hay
K merey paas aa batho
Mujhye bas dour hi sey dekh kar
Tum hans deya karna

Ek Jhootha Lafz "Mohabbat" Ka...!!!


Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak
Wo Shokhi-E-Lab Wo Haraf-E-Wafa,

Wo Naqsh-E-Qadam Wo Aks-E-Hina
So Bar Jisay Choma Hum Nay,

Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak,
Wo Gard-E-Alam Wo Deeda-E-Num,

Hum Jis Mein Chupa Ker Rakhty Thy,
Tasweer Bikharti Yaadon Ki,

Zanjeer Pighalty Waadon Ki,
Poonji Nakam Iradon Ki,

Ay Teiz Hawa Naraz Na Ho,
Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak,

Kuch Rezy Naram Sawalon K,
Kuch Dar Anmol Khayalon K,

Ek Sacha Roop Haqiqat Ka,
Ek Jhootha Lafz "Mohabbat" Ka...!!!

Main Ne Chaha Tha

 
 
Main Ne Chaha Tha 
Bikharne Se Bacha Lon Us Ko
Qismat Hi Kharab Nikli 
Ab Nehin Hai Yaqeen Mujh Pe Us Ko
Tha Ek Waqt Wo Jab Mohabbat Hi Mohabbat
 Ghomtii Thi Char So
Tanhaai Hai Ab Afsurdaa Hon Main'
 Koi Aas Umeeeb Nehin Us Ko
Rang-e-Mohabbat Nehin Rahaa Abb Main' 
Tamasha Na Kar Youn 
Hasrat-e-Deed Rekh Ankhon Mein Sajaa Le' 
Hai Ye Waqt Bura Koi Bata De Us Ko
Nazim Hon Main
 Chotte Se Dil Ka Malak Roo Don Ga 
Kanch Ka Shehar Hai Ho Jaye Ga Tukre Tukre
 Kese Ye Bata Don Us Ko
Khushak Pattay Ki Tarhaa Hai
 Zindagi Meri Nazim 
Tezz Hawa Ke Sang Ho Liya Tou
 Jane Kidhar Jaon Ga
 Khudara Ye Sumjha De Us Ko
Yahan Tohfaa-e-Mohabbat Hi Hai
 Dil ka Sakon Nazim 
Mil Jaye Jiss Ko Hai Sab Kuch Us Ka'
 Apni Qismat Main Na Hai
 Kese Phir Laa Don Us Ko 

Tum apney khatt me yuun lafzoon ka silsilaa rakhnaa

Tum apney khatt me yuun lafzoon ka silsilaa rakhnaa
Har ik lafz ka mafhuum doosra rakhnaa.....

Tumharey lab kii mehek raaz faash kr dey gi
lifaafa bnd na kerna yuun he khula rakhnaa...

Na itna tuut ke miliiye ke dil pe shak guzrey
Khuloos mei bhii zaroori hei faasla rakhnaa.....

Mai zindagii mei kahi'n tum se mil he jaaunga
Magar yeh shart hei bichharney ka hauslaa rakhnaa...

Ye sooz o karb mujhey tajarboon ney bakhshey han
Jalanaa shamaa to daman se faasla rakhnaa

Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge

Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge
Ab Hm Kisii Shakhs Kii Paravaah Na Karenge

Kuchh Log Ka_Ii Lafz Galat Bol Rahe Hain
Isalaah Magar Ham Bhii Ab Isalaah Na Karenge

Kam_Go_Ii Ke Ek Vasf-E-Himaaqat Hai Bahar To
Kam_Go_Ii Ko Apanaayenge Chahakaa Na Karenge

Ab Sahal Pasandii Ko Banaayenge Vatiiraa
Taa Der Kisii Baab Men Sochaa Na Karenge

Gussaa Bhii Hai Tahaziib-E-Ta’lluq Kaa Talabagaar
Ham Chhup Hain Bahare Baithe Hain Gussaa Na Karenge

Kal Raat Bahut Guur Kiyaa Hai So Ham Ai "John"
Tay Kar Ke Uthe Hain Ke Tamannaa Na Karenge

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa
Khud Ko Halaak Kar Liyaa Khud Ko Fidaa Nahiin Kiyaa

Kaise Kahen Ke Tujh Ko Bhii Hamase Hai Vaastaa Koi
Tuune To Hamase Aaj Tak Koi Gilaa Nahiin Kiyaa

Tuu Bhii Kisii Ke Baab Men Ahad-Shikan Ho Gaaliban
Main Ne Bhii Ek Shakhs Kaa Qarz Adaa Nahiin Kiyaa

Jo Bhii Ho Tum Pe Mautariz Us Ko Yahii Javaab Do
Aap Bahot Shariif Hain Aap Ne Kyaa Nahiin Kiyaa

Jis Ko Bhii Shekh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khudaa Diyaa Qaraar
Hamane Nahiin Kiyaa Vo Kaam Haan Baa-Khudaa Nahiin Kiyaa

Nisbat-E-Ilm Hai Bahot Haakim-E-Vaqt Ko Aziiz
Us Ne To Kaar-E-Jehl Bhii Be-Ulaamaa Nahiin Kiyaa

beqarai si beqarari hai

beqarai si beqarari hai
wasl hai aur firaaq taari hai

jo guzaari na ja saki hum se
hum ne woh zindagi guzari hai

us se kahiyo kay dil ki galioN meiN
raat din teri intezari hai

ik mehak samt-e-jaaN se aai thi
maiN yeh samjha teri sawari hai

haadisoN ka hisab hai apna
warna har aan sab ki baari hai

bin tumhare kabhi nahiN aai
kya meri neend bhi tumhari hai

nigharay kya hue keh logoN par
apna saaya bhi ab to bhari hai

khush rahe tu ke zindagi apni
umr bhar ki ummeed wari hai

aap meiN kaisay aauN mein tujh bin
saaNs jo chal rahi hai aari hai

hijr ho ya wisal ho kuchh ho
hum haiN aur us ki yaadgari hai

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey

Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,

Humko acha nahin lagta koi humnam tera,
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey.

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai,
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey

Kam nahin tamam e ibadat bhi to hirs-e-zar se,
Fuqr to wo hai ke deen na duniya rakhey.

Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan par,
Khuda meri tara tujh ko b tanha rakhe

Yeh qanahat hai, ita-att hai ke chahat hai Faraz
Hum to razi hai wo jis haal mein jesaa rakhe

Aaj meri fitrat meri wajah-e-tanhai ban gai

Aaj meri fitrat meri wajah-e-tanhai ban gai
mujh se teri qurbat kuch bin nibhai reh gai

Ehd-e-rafaqat saath hai tu kia hasil?
dil mein tu mauj e bewafai reh gai

Suna hai jeetay ho kisi manoos k liay Sabih
Per shayad us ko zindagi ki rasai mil gai...

Saturday, 27 April 2013

Loog Mujh Se Pochtey Hein

Me Shaair Hoon To Akser Loog Mujh Se Pochtey Hein
Is Haseen Israar K Baare
Bataain To Bhala Kia Hai?
Muhabat Aakhrish Hai Kia?
Wasi Me Hans K Kehta Hoon
Kisi Pyase Ko Apne Hissey Ka Paani Pilana Bhe
Muhabat Hai
Bhanwar Me Doobte Ko Saahiloon Tak Le K Jana Bhe
Muhabat Hai
Kisi K Waaste Nanhi Si Qurbani Muhabat Hai
Kaheen Hum Raaz Saare Khool Saktey Hoon Mager Phir Bhe
Kisi Ki Bebasi Ko Dekh Ker Khaamosh Reh Jana
Muhabat Hai
Ho Dil Me Dard, Weraani Mager Phir Bhe
Kisi K Waaste Jabran He Hoonto Per Hansi Laana
Zaberdasti He Muskana
Muhabat Hai
Kaheen Barish Me Seh'me, Bheegte Billi K Bachey Ko
Zara Si Deir Ko Ghar Ley K Aana Bhe
Muhabat Hai
Koi Chirya Jo Kamre Me Bhatakti Aan Nikli Ho
To Us Chirya Ko
Pankhey Band Ker K Raasta Bahir Ka Dikhlana
Muhabat Hai
Kisi K Zakhm Sehlana
Kisi Rotey Huwe Ke Dil Ko Behlana
Muhabat Hai
K Meetha Bool , Meethi Baat, Meethey Lafz, Sab Kia Hain?
Muhabbat Hai
Muhabat Aik He Bas Aik He Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Us Ki Batoon, Khushbowoon Me Dolna Kab Hai
Muhabat Us Ki Zulf K Bul Kholna Kab Hai
Muhabat K Hazaaron Rang
Laakhon Ista'aarey Hein
Kisi Bhe Rang Me Ho Yeh
Mujhey Apna Banati Hai
Yeh Mere Dil Ko Bhaati Hai

ab mere sirf merey ho kar raho...!!!!

 
apni khatir jagay ho soye ho
apni khatir hansay ho roye ho
kis liye aaj khoye khoye ho
tum ne aansu bohot piye apney
tum bohot saal reh liye apney
ab mere, sirf mere ho kar raho

husan hi husan ho, zehaanat ho
ishq hon main to tum mohabbat ho
tum meri bas meri amaanat ho
ji liye jis qadar jiye apney
tum bohot saal reh liye apney
ab mere sirf mere ho kar raho

rehtey ho ranj-o-gham k gheron main
dukh k, aasaib k baseron main
kaisay choRon tumhein andheron main
tum ko day doon ga sab diye apney
tum bohot saal reh liye apney
ab mere, sirf mere ho kar raho

tum azal se dukhon k derey ho
chaahey khud ko ghamon se gheray ho
jab se paeda huay ho mere ho
aaj kholeiN gay lab siye apney
tum bohot saal reh liye apney
ab mere sirf mere ho kar raho

ab mujhey apney dard sehney do
dil ki har bat dil se kehney do
meri baNhon main khud ko behnay do
muddaton zakhm khud siye apney
tum bahut saal reh liye apney
ab mere sirf merey ho kar raho



ab mere sirf merey ho kar raho...!!!!
 

Kya Yeh Namumkin.....Mumkin Hai ?

!
!
!
!
!
!
!
~~~~~~!!!!~~~~~~


Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga

Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka

Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin.....Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !


~~~~~~!!!!~~~~~~
!
!
!
!
!
!
!

Saath ChhOot jAtey hAin

Barha Yeh Dekha hAi
Sirf Sun Nahe Rakha
Khud Bhe Aazmaya hAi
TajrabOn Sey Sabit hAi
Jo bhe Parhtey Aaye hAin
Us Ko Theak Paya hAi


Is Trah Kii BatOun Sey
ManzilOn Sey Pehley Hii
Saath ChhOot jAtey hAin
lOg rOoth jAtey hAin


Yeh tUmein Bata dOn Main
ChahatOun Key RiShtey Mein
Phir Girah Nahe Lagtii


Lag Bhe jAye To Us Mein
Wo KaShish Nhe Rehtii
Aik Pheeka Pheeka Sa
Raabta To hOta hAi
Taazgi Nahe Rehtii
ROoh Key Ta'aluq Mein
Zindgii Nahe Rehtii
Baat Wo Nahe Bantii


Laakh Bar Mil Kar Bhe
Dil Kabhe Nahe Miltey
Zehan Key JharokOn Mein
Yaad Key DareechOn Mein
TitliyOun Key RangOun Key
PhOol Phir Nahe Khiltey


Is Leye Main Kehta hOn
Is Trah Ki BatOun Mein
Ehtiyat Kartey hAin
Is Trah Ki BatOun Sey
Ijtanaab Kartey hAin

Youn lagta hai k tum ko bhi kisi se Ishq tha



Youn lagta hai k tum ko bhi kisi se Ishq tha...
 
Tab hi to shaam hotay hi Ghamon mein doob jatay ho...

Dil-E-Barbaad Ko Zakhmon Ki Kuch Kami Tu nahi



Dil-E-Barbaad Ko Zakhmon Ki Kuch Kami Tu nahi....)
Magr Hai DiL Ki Tamanna TUM B WaaR Karo.....)

Friday, 26 April 2013

Abhi Tum Rait Jaisy Ho


 
Abhi Sazish Ka Mousam Hai, Abhi Tum
Ishq Mat Karna'
Yahan Aandhi Ka ChaRcha Hai Abhi Tum Rait Jaisy Ho...

Idhar Dekho

Zaroori To Nahi ke
Mohabbat Ko Lafzon Me
Bayan Kar Doon,

Idhar Dekho, Kya Meri
Aankhen Tum Se Kuch Nahi
Kehti..!!

Udaasiyon Ka Ye Mausam Badal Bhi Sakta Tha


Udaasiyon Ka Ye Mausam Badal Bhi Sakta Tha,
Woh Chahta To Maray Sath Chal Bhi Sakta Tha,
Woh Shakhs Tu Nay Jisay Chhornay Main Jaldi Ki,
Teray Mizaaj Ke Saanchay Main Dhal Bhi Sakta Tha.

Bahot socha mohabbat mein


Suno Saahib

Bicharna Hai Tu Khushi Se Bichro

 Bicharna Hai Tu Khushi Se Bichro.
Sawal Kaisy, Jawaab Choro.
Kisy Mili Hain Jahan Ki Khushiyan?
Milay Hain Kis Ko Azaab Choro!

Naye Safar Py Jo Chal Parray ho.
Mujhe Khabar Hy K Khush Barray ho.
Hai Kon Ujrra Tumharay Peechay?
Ya Kis K Tootay Hain Khuwab Choro!

Mohabbaton K Tamam Vaaday.
Nibhaye Kis Ne, Bhulaye Kis Ny??
Tumhein Pashemani Ho Gi Jana..
Jo Meri Maano Hisaab Choro!

Dukhi Dilon Ki Pukar Sun'na.
Bana Lo Daa'yamm Amal Ye Apna.
Hai es Me Tum Ko Gunaah Kitna?
Ya Kis Qadar Hy Sawab Choro.

Ao Dekho

 Ao Dekho
Humari Ankhain Sulag Rahi Hain.
Humari Ankhain Tumhari Rahoon Ki Muntazir Hain.

Hazar Jugnoo Utter Rahey Hain.
Hum Apny Ander Bikher Rahey hain.

Daleel Kasi?
Jawaz Kaisa?
Tumhari Yadon Ki Khushboon Se Mehak Rahey Hain.
Khayal Apny Sisak Rahey Hain.

Laboon Pe Kesi Yeh Muskurahat Si Chaa Rahi Hai?
Tumhari Yadoon Ke Silsiloon Se Guzar Rahey Hain.

Qareeb Aoo
Humain Bhi Jano
Humain Bhi Mano
Hum Tumhari Furqat Ke Ansuoon Ko Chupa Rahey Hain.

Tumhain Hum Itna Bata Rahey Hain.
Humari Chahat Ka Koi Aisa Jawab Do Na.
Hum Ko Apni Muhabaton Ke Gulab Do Na.
Aoo Dekho
Humari Ankhain Sulag Rahi Hain.

Apne Honton Pe Sajana Chahta Hon

 Apne Honton Pe Sajana Chahta Hon.
Aaj Tujhe Main Gungunana Chahta Hon.

Koi Aanso Tere Daaman Pe Gira K.
Boond Ko Moti Banana Chahta Hun.

Thak Gaya Main Yaad Kartay Kartay Tujh Ko.
Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun.

Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye.
Mout B Shayerana Chahta Hun.

Reh Gayi Thi Kuch Kami Ruswaayion Me.
Phir us k Dar Pe Jaana Chahta Hun.

Tumhary Wasty Hi Jee Rahy Hain



Tumhary Wasty Hi Jee Rahy Hain.....)
Hamari Chahatoon Ka Maan Rakhna....)

Us ki Muhabbat Per Mera Haq Nahi Lekin.....)

Us ki Muhabbat Per Mera Haq Nahi Lekin.....)

Dil Karta Hai Umar Bhar Uska Intezar Karon.....)

Tuje kia khabr mere haal ki

 Tuje kia khabr mere haal ki,
Mere dard mere malal ki,
Yeh mere khayal ka silsila,
Kisi yad se ha mila hua,
Usy dekhna usy sochna,
Meri zindgi ka ha faisla,
Yeh usi ki palkon k saye hen,
Meri rooh men jo utar gy,
Yeh janoon-e manzal-e ishq ha,
Jo chale to jan se guzar gy,
Mje is muqam pe chorna,
Hai yeh bewafai ki intha,
Yeh kafas ho jese khuli fiza,
Yahin sukh ka sans men lon sada,
Jinhen teri deed ki piyas thi,
Wo katore neno se bhar gy,
Yeh janoon-e manzal-e ishaq hai
jo chale to jan se guzar gye,

AaJ MuddaT BaD DidaR-E-YaaR HuA ThA

 
AaJ MuddaT BaD DidaR-E-YaaR HuA ThA
WoHi RaStA WoHi GaLiYaN JahaN MuJhy PYaR HuA ThA
DekhA TuJhy To YaaD AaYE Wo Beety HuyE Lamhy
JaB PYaR K JazbaT Ka iZhaaR HuA ThA
KaiSy BhooL JaoN TeRi BheeGi BheeGi NiGahoN Ko
iNHi JheeL Si AankhoN Mein
To MaiN GiraftaR HuA ThA
Wo To Chhor GYA NiGaheN PheiR K MuJhy
MaiN Hi RuSwA
SaR-E-BazaR HuA ThA
US DiN Se BhataK BhataK K Gee RahA HoN MaiN, " "
JiS DiN Se Be'wafA MerA YaaR HuA Tha.

Mujhe tum kiya batao gi

 Mjhe tum kiya batao gi...!!
K jab se mujh se bichri ho Bht be-chen rehti ho Meri baten satati hen
Mere lafzon k jugnu
Ik pal ojhal nhi hote
Meri nazmen rulati hen
Meri ankhen jagati hen
Mujhe tum kiya btao gi
k tum ne baarha un ajnabi chehron k jangal
min Mere chehre ko dhunda he
Kisi manus lehje par
Kisi manus aahat par
Palat kar aise dekha he K jese tum meri mojudgi mehsus karti ho
Mujhe tum kiya batao gi
K kitni shabnami shamen Tehelte, sochte guzrin.
K kitni chandni raten
Duaen mangte guzrin K kitne ashk aise the
Jo girte hi rhe dil min
Mujhe tum kiya batao gi ''Meri jan.....!
Main samajhta hon
Tumhari an-kahi baten K main in mosamon k aik aik raste se guzra hon
Min ab b lafz chunta hon Min ab b ashk bunta hon K jab se tum se bichra hon
Tumhari zat pr guzre
Min har mosam min rehta hon To phir tum kiya sunao gi...
Mujhe tum kiya batao gi....???

Rah-E'Vafa Men AzziYat ShanasiYaa'n' Na GaYee'n

 Rah-E'Vafa Men AzziYat ShanasiYaa'n' Na GaYee'n,,
Kisi Bhi Rutt Men Hamari' UddasiYaa'n Na GaYee'n,,
<>
Tanni Hai Abar Ki Chadar Bhi' Aasman Pe MaGar,,
Shu'aa-E'Maher Teri' Be'LibasiYaa'n Na GaYee'n,,
<>
TeraY Qareeb Bhi Reh Kar' TujhaY TalaaSh Kar0'n,,
Muhabbat0'n Men Meri' Bad'HaVasiYaa'n Na GaYee'n,,
<>
'KHUDA' Khabar Kaha'n' K00nJ0'n K QafilaY UtraY,,
Samandar Ki Taraf Bhi T0' PiYaasiYaa'n Na GaYee'n,,
<>
Khizaa'n Men Bhi T0' Mehakti Ghazal Pehan K Mila,,
MizaaJ-E'Yaaar Teri' KhuSh LibasiYaa'n Na GaYeen,,
<>
Basant Rutt Men Bhi' Mandar Uddas ThaY M0HSIN,,
K DeVata0'n SaY MilnaY K0' DaasiYaa'n Na GaYee'n,,

M0habt Ki Dunia Mein Mashhoor Kar Dun

 M0habt Ki Dunia Mein Mashhoor Kar Dun,
Mere Sada Dil Aa Tujh Ko Maghroor Kar Dun,
Tere Dil Ko Milne Ki Khud Aarzo0
Ho,
Tujhay Is Qadar Gham Se Ranjoor Kar Dun,
Mujhay Zindagi Door Rakhti Hai Tujh Se,
Jo Tu Paas Ho To Ussay Door Kar Dun,
M0habt K Iqraar Se Sharm Kab Tak,
Kabhi Samna Ho To Majhboor Kar Dun,
Ye Be-Rangeeniya'n Kab Tak Aey
Husn-E-Rangeen
Idhar Aa Tujhay Ishq Mein Choor Kar Dun,
Tu Gar Samnay Ho To Main Be-
Khuddi Mein,
Sitaaron Ko Sajday Pe Majhboor Kar Dun,
Nahi Zindagi Ko Wafa Warna 'Akhter'
M0habt Se Dunia Ko Maamoor Kar Dun..

Mohabbat Mein Ghalat Fehmi Agar Ilzaam Tak Pohanche

 Mohabbat Mein Ghalat Fehmi Agar Ilzaam Tak Pohanche,
Kisey Maaloom Kis Ka Naam Kis Ke Naam Tak Pohanche.
.
Teri Aankho'n Ke Thukraaye Hue Voh Log They Shayed,
Jo Ik Sharmindagi Honton Pe Le Kar Jaam Tak Pohanche.
.
Sab'hi Rasto'n Pe They Sholaa Fishaa'n Haalaat Ke Suraj,
Bohat Mushkil Se Hum Un Gessou'n Ki Shaam Tak Pohanche.
.
Kisi Ne Bhi Na Apni Dharkano'n Men Di Jaga Jin Ko,
Voh Saare Valvale Mere Dil-ENakaam Tak Pohanche.
.
Saja Kar Aayen Jab Sone Ka Chashma Apni Aankho'n Par,
Nazar Hum Mufliso'n Ki Tab Kahan Us Baam Tak Pohanche.
.
Qateel Aaina Ban Jao Zamane Mein Mohabbat Ka,
Agar Tum Chaahte Ho Shairy Ilhaam Tak Pohanche..!!

Tujh se mil ker qaraar tha hi nahin

 Tujh se mil ker qaraar tha hi nahin ..
Wo tera intezaar tha hi nahi,n ...
^^Koi mish'all ba'dast tha, jiss ka ..
Qaaflay mein shumaar tha hi nahi,n ...
^^Khwab dekha nahi,n keh neendo,n se ..
Raabta ustwaar tha hi nahi,n ...
^^Hauslay ko barrha liya aakhir ..
Dard per ikhtiyaar tha hi nahi,n ...
^^Woh shab-e-hijr thi , chiragho,n per ..
Bhaid ye aashkaar tha hi nahi,n ...
^^Mein ne jiss ko ghubaar samjha tha ..
Dar haqeeqat ghubaar tha hi nahi,n ...
^^Mein ne bhi ponchh daalay phir aansu ..
Koi jab sogwaar tha hi nahi,n ...

Suno jana'n...

 Suno jana'n...
Bicharrny ka samay ab aan pohncha hy...
Tum apni aankh men umdy hoay in aasuo'n ko ponch daalo...
Aur zara sa muskra kar alwida keh do...
K dasht-e-na'muradi men
tumhari muskrahat
zaad-e-rah hogi...
Sulagty roz-o-shab men
yeh ghani chaao'n...
Hawa aur chandni ban kar
naveed-e-zindagi dy gi...
Main tum ko yaad rakhu'n ga...
Kabhi na bhool paoun ga...
Magr meri yeh khwahish hy...
K tum mujh ko bhula dena...
Bicharrny ki aziyat ko tum apny dil py mat lena...
Samajh lena...
Yehi apna muqadar hy..

Hawa K Saath Chalte Ja Rahe Ho

 Hawa K Saath Chalte Ja Rahe Ho.
Bohat Aagy Nikalte Ja Rahe Ho.
Chale Jao Magar Ye To Bata Do.
Ye Raste Kun Badalte Ja Rahe Ho.
Khud Apne Haath Se Ye Khaat Jalaye.
To Ab Kun Haath Malte Ja Rahe Ho.?
Hamain Samjha Rahe Ho Pyar Se Tum.
Suno! Tum Bhi Badalte Ja Rahe Ho.
Utha Kar Boojh Kandhon Par Jafa Ka.
Suna Hai Phir Sambhalte Ja Rahe Ho.
Lagi Ho Choot Koi Dil Pe Jaise.
Utha Kar Dard Chalte ja Rahe Ho.
Barha Kar Dosti Suraj Se.
Ghane Saye Main Chalte Ja Rahe Ho,,,,,*

"Tum REhnE D0"

 "Tum REhnE D0".
Main Tanhaaiy0n K Hisaar MEn Zinda H00'n,,
,
Tang H0 Gai Mujh Py Hayaat 'Tum REhnE D0'..*
Aaj Yaka'Yak YE Humdardi Ayaa'N Hui KaisE,,
,
ApnE SaarEy Altfaat
'Tum REhnE D0'..*
Tum Ch0r Gay ThEy Saahil Py Tanha Mujh K0,,
,
Aaj Barrhaay Hain Kyun Hath,
'Tum REhnE D0'..*
Mar Nahi Jaata K0i Judai K Lamh0'n MEn,,
,
Mil Hi Jaata Hy Kisi Ka Saath,
'Tum REhnE D0'..*
Har Gharri Kh0 K TEri Yaad MEn Dar'Ba'dar,,
,
Jal Gay MairE Jazbaat,
'Tum REhnE D0'..*
Ab J0 Aaya Hy ZavaaL T0 MilnE Ka KEhtE H0 'RaJu',,
,
MainE Dab0 Diya SafEEna-E-Ta'Aluqaat,
"Tum REhnE D0"...>*

W0 Rakh Rahi Thi Dopatta Seenay Pay Baar Baaar*,,,

 
W0 Rakh Rahi Thi Dopatta Seenay Pay Baar Baaar*,,,

Gustaakhiyaa'n Meri Nazar Ki saQi Uro0oj Parr thin*,,,*

Tum tu na pocha karo


 
Ab Kam az kam
Tum tu na pocha karo,

K main Itna udas,
Gumsum,
Aur ghamzada kiyon rehta hon...

Thursday, 25 April 2013

Yeh bhi ik khawab ka _ dekha hua manzar hi na ho.



Yeh bhi ik khawab ka _ dekha hua manzar hi na ho.

Teray hathoon me mera hath kahan mumkin hai..

Ek Masoom si Dua Hai Mere Labon Pe,



Ek Masoom si Dua Hai Mere Labon Pe,

Koi Kuch Bhi Kare Par Mohabbat Na Kare.

Dil B Ik Zid Pe Araa Hai Kisi Bachay Ki Tarah..!!



Dil B Ik Zid Pe Araa Hai Kisi Bachay Ki Tarah..!!
           

Sirf Wo he Chaahiye bas Us Jaisa B Nahi....!

Aey Naj0omi Aa zara Mere pas to Bhaith-----!



Aey Naj0omi Aa zara Mere pas to Bhaith-----!

Jh0oti Tasali Dy Laikin 1 BAr To Keh Dy wo Mera hai.

Mizaj Barhm Khafa Sa Lehja



Mizaj Barhm Khafa Sa Lehja.
Udas Chehra Naraz Ankhen.

Waja Jo P0chi Meny Us Se.
JAAN Meri Udas Q H0.

Q H0 Barhm Naraz Q H0.

Bhr K Uchli Ankhen Uski.
Larkhra K Gale Se Lg Kr.

"Mjhsy Boli"

Kahan Gaye Thy
Q Gaye Thy

Mjhy Bta0

Tmhare Bin J0 Bebasi Thi.
Elaj Uska Bta K Jaty.

Tm J0 Bichr0 Kahan Mn dh0nd0n.
Surag Apna Bta K Jate.

Tmhe Pata Tha Tmhare Bin ME.
ik Pal B Reh Ni Skti.

Chahe Bichre Dunia Sari.
Teri Judai Seh Ni Skti.

Tmen Qasm Ha Ab Na Jana.
Mar Ja0nGi Tmhare Bin Mn.

Chal0 Ab Mujse Wada KrL0

Kahen B Ja0 Kbi B Ja0.
Sath MjhK0 Le K Jana.

Phr Se MjhKo Saza Na Dena..
Phr Tum Mujh Se Door Na Jana.
Tmhe Qasm hy,
Tmhe Qasm hy...

Mujhe Aksar Woh Kehti Thi



Mujhe Aksar Woh Kehti Thi,
" Mohabbat Kuch Nahi Hoti..

Hijr Ka Khof Be-Matlab....
Wasal Ke Khawab Be-Maani..

Koi Soorat Nigahon Mein Kahan Din Raat Rehti Hai.. ?
Ussay Kiyun Khamoshi Kahiye Ke Jis Mein Baat Rahti Hai..

Ye Aansoo Be-Zubaan Aansoo Bhala Kya Bol Saktay Hain... ?
Kahan Dil Mein Kisi Ki Yaad Say Toofaan Uthtay Hain..

Kahan Palkon Ke Saye Mein Nami Din Raat Rahti Hai... ?
Kahan Hoti Hain Woh Aankhein Jahan Barsaat Rahti Hai... ?

Mujhay Aksar Yeh Kahti Thi,
" Mohabbat Kuch Nahi Hoti..

Magar.......
Jab Aaj Barson Baad Maine Usko Daikha Hai.

Uski Jheel Aankhon Mein Hijr Ka Khof Rahta Hai.
Wasal Ke Khawab Rahtay Hain...
Wahan Barsaat Rahti Hai.

Youn Lagta Hai Kayee Raaton Say Woh Soyee Nahi Shayad... !
Youn Lagta Hai Kissi Ki Yaad Ab Din Raat Rehti Hai... !

Aur Uski Naram Palkon Ke Haseen Saye Bhi Geelay Hain... !
Aur Uski Khamoshi Aisi Ke Jis Mein Baat Rahti Hai... !

Mujhay Ab Woh Nahi Kehti,
" Mohabbat Kuch Nahi Hoti... !!! "

Ke Ab Shayad Mohabat Ki Woh Sab Ramzain Samajhti Hai..

Tuesday, 23 April 2013

Dua Karo Qissa Tamam Ho Jaye

Dua Karo Qissa Tamam Ho Jaye

Janaab-E-Ishq Bemaar Hain Kaafi

USY Hm YAD AYENGE

Toota Sitara Dekh Kr…
 
“USY Hm YAD AYENGE”
 
Kisi Se Sath Jb Choota
USY Hm YAD AYENGE”
 
Abi To Urh Raha Hy Wo Nai Chahat K Par Le Kr,
 
Uska Par Kbi Toota…
 
“USY Hm YAD AYENGE”
 
Usy Jis Pr Yaqeen Hy Aaj To Emaan Ki Had Tk,
 
Wohi Nikla Jo Kal Jhoota…
 
“USY Hm YAD AYENGE”

Yeh Na Samjho K Mujh Main Jurrat-e-SawaL Nahin

Yeh Na Samjho K Mujh Main Jurrat-e-SawaL Nahin

Is Baat Sy Drta Hon K Tujhe La-Jawab Na Kar Don

Sochta Hon Bana Hi Daalon Ab

Sochta Hon Bana Hi Daalon Ab

Aik Firqa Udaas Logon Ka . . .

Naqsh Yadon Ka Mitaati Hai To Ro Parti Hai

 Naqsh Yadon Ka Mitaati Hai To Ro Parti Hai
Wo Mera Khatt Jo Jalati Hai To Ro Parti Hai

Khoon Dikhta Hai Mere Marty Hoye Sapno Ka
Khuwab Ankhon Main Basati Hai To Ro Parti Hai

Log Poochty Hain Jo Gehri Udaasi Ka Sabab
Baat Logon Se Chupaati Hai To Ro Parti Hai

Yaad Karti Hai Mujhy Toot Kar Us Lumhy
Shaam Chehra Jo Dikhaati Hai To Ro Parti Hai

Woh Bary Zubt Bary Hosly Wali Larki
Ghum Ko Tahreer Banati Hai To Ro Parti Hai

Khushbu’on Ke Nazool Jaisa Tha

 Khushbu’on Ke Nazool Jaisa Tha
Woh Jo Ek Shakhs Phool Jaisa Tha

Hum Zamaney Ko Le Kar Kiya Krtey
Us Ke Qadmon Ki Dhool Jaisa Tha

Main Usey Bhool Hi Nahin Pata
Woh Meri Pahli Bhool Jaisa Tha

Us Ko Paana To Yun Bhi Mushkil Tha
Aap Apne Khasool Jaisa Tha

'. . . . ' Main Bhi Thi Ana'a Ki Tarah
Woh Hi Apne Asool Jaisa Tha

Dard-e-Ghum Ky Sewa Ishq Main Kiya Mila 'Kuch Nahi'

Dard-e-Ghum Ky Sewa Ishq Main Kiya Mila 'Kuch Nahi'

Jo Tha Kho Baithay Hasil Hova 'Kuch Nahi'

Main Ny Likh Ky Bejha Tha Kiya Lagta Hon Tera

Us Ny Likh K Bejh Diya 'Kuch Nahi'

Main Ny Kaha Ruk Ja Mar Jaon Ga Tere Bina

Woh Aisay Chal Para Jaisay Suna 'Kuch Nahi'

Aj Ek Buzarg Ki Ankhain Bhar Ai

Mere Hatheeli Dekh Kar

Phir Us Ny Kaha Teri Lakeron Main Hi Likha 'Kuch Nahi'

Pehlay Selaab-e-Dard Ki Hum Sy Zuban Li

 Pehlay Selaab-e-Dard Ki Hum Sy Zuban Li

Phir Us Ny Ja Ky Baat Zamanay Ki Maan Li

Kal Sham Youn Hova K Hawaon K Zikar Par

Bhujte Chiragh Ny Jalne Ki Thaan Li

Woh Pesh Pesh Aj Saf-e-Dushmana Main Hai

Kal Jis Ny Bheek Mang Kar Hum Sy Amaan Li

Phir Fakhta Ny Rotay Hovay Alwida Kaha

Basti Main Jab Uqaab Ny Chiriyan Ki Jaan Li

Jo Khud Ko Keh Raha Hai Tajir Hawaon Ka

Us Ny Tu Hum Sy Maang Kar Itni Uraan Li

Mile jahan se kisi ko kante

 Photo: Mile jahan se kisi ko kante,  

kisi k hisse gulab thehre..
Jisse wo chahe nawazta hai 

ye mere RAB k hisab thehre..

Bara Rahim-o-Karim hai wo 

jisko de day us ki marzi..
Kisi k hisse sawab likh de, 

kisi k hisse azaab thehre..

Ye apni taqdeer se mila hai

 kisi ko darya kisi ko sehra..
Koi tarasta hai boond bhar ko,

 kisi k hisse sailaab thehre..

Koi din mein spne dekhe, 

kisi se nendein bhi door kar de..
Kisi k hisse mein rat jagy 

to kisi k hisse khuwab thehre..
 
Mile jahan se kisi ko kante,
kisi k hisse gulab thehre..
 
Jisse wo chahe nawazta hai
ye mere RAB k hisab thehre..

Bara Rahim-o-Karim hai wo
jisko de day us ki marzi..
 
Kisi k hisse sawab likh de,
kisi k hisse azaab thehre..

Ye apni taqdeer se mila hai
kisi ko darya kisi ko sehra..
 
Koi tarasta hai boond bhar ko,
kisi k hisse sailaab thehre..

Koi din mein spne dekhe,
kisi se nendein bhi door kar de..
 
Kisi k hisse mein rat jagy
to kisi k hisse khuwab thehre..

Be Naam Musafir Hoon Be Naam Safar Mera

Be Naam Musafir Hoon Be Naam Safar Mera

Kis Rah Nikal Jaon Kuch Kah Nahi Sakta

Be Naam Meri Manzil Be Naam Thikana Hay

Kis Dar Pay Main Ruk Jaon. Kuch Keh Nahi Sakta

Iss Paar To Roshan Hay Sara Mera Rasta

Us Paar Andhera Ho Kuch Keh Nahi Sakta

Tinkay Ki Tarah Main Bhi Beh Jaon

Samandar Main Mil Jaye Ga Kinara Kuch Keh Nahi Sakta

Mil Jaye Gi Tabeer Mery Khawaboon Ki Aik Din

Ya Khawab Bikhar Jayen Kuch Keh Nahi Sakta

Apni Baaton Mein MereyNaam K Hawaley Rakhna

Apni Baaton Mein MereyNaam K Hawaley Rakhna
Mujh Se door Ho Tu Khud Ko Sambhaly Rakhna

Log Pochein Gay Kiyon Preshan Ho Tum
Kuch Nigahon Se Kehna, Zubaan Pe Taaly Rakhna

Na Khoney Dena Mere Beetay Lamhon Ko
Meri Yaadon Ko Baray Payar Se Sambhaley Rakhna

Tum Loat Aao Ge Itna Yaqeen Hai Mujh Ko
Mere Liye kuch waqt Nikaley Rakhna

Dil Ne Bari Shiddat Se Chaha Hai Tumhein
Merey Liye Apny Andaaz wohi Puarane Rakhna..