affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Dareche se jhankte woh larki

Friday, 1 March 2013

Dareche se jhankte woh larki

    Dareche se jhankte woh larki ajeeb dukh se bhari howi hai
    k us k angan main phool per aik neli tetli mari howi hai

    kabhi azano main khoi khoi, kabhi namazo main royi royi
    woh aesy dunya ko dekhte hai k jaise us se darey howi hai

    Drood se mehke mehke sansain,wazefa parhte howe wo aankhein
    aik shamaey umeed k un main, kai baras se dhari howi hai

    woh dukh ki chader main lapti lapti,woh kale kapron main simti simti
    muhabbat wo bhi kise se shayad , meri tarah hi kare howi hai

    bare zamanoon k baad barsi hain meri aankhein kisi ki khatir
    bare zamanoon k baad dil ki zameen phir se hari howi hai........

No comments:

Post a Comment