affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Suno aey jaan se piyaari GurRiya

Friday, 1 March 2013

Suno aey jaan se piyaari GurRiya

Usay maine yeh Likha tha

Suno aey jaan se piyaari GurRiya !!!

Tumhain maloom hi h0ga

tumhare bin to ab mera guzara h0 nahi sakta..

Tadapta h0n judaayi mai

Mager,,

yeh be’basi kesi !!

Keh

mei khuL ke r0o nahi sakta..

Mere A’asaab peh Haawi
tumhari yaad ka pehra

Main shab ko soo nahi sakta..

Suno GurRiya !!

Koi rasta,
k0i tadbeer ho aesi

keh dil k chaak siL jaayain

Judaayi mai wafaa0n k kahii peh GuL jo khiL jayain

hum phir ik baar mil jaayain..

Jo ab GurRiya ne Likh bheja

aey meri jaan se barh kar !!

Yeh mera aakhri khatt he..

Yeh mana he boht mushkil

mager !!

Dekho meri khaatir tumhain har haal mai

mujhse kinara karna hi h0ga..

Koi tadbeer bhi ab k

hamare bas se baaher he..

Jo dil k chaak hai janaa’n

yeh phir se siL nahi sakte

judaayi mei wafaa0n k kabhi guL khil nahi sakte

sun0 !!
Hum mil nahi sakte..

Tumhari khwaahishain janaa’n

hain sir aankh0n peh mere

so ,,

sar-e-raah m0habbat mai

tumhari khwaahish0n ka ab jo ik tawa’an he zimmay !!

Usi ko bhar raha h0n main

ubherti saans kehti he musalsal mar raha h0n main

Suno GurRiya !!!

Guzara kar raha h0n main . . .

No comments:

Post a Comment