affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Maqrooz k bigray hoye halaat ki manind

Wednesday, 13 March 2013

Maqrooz k bigray hoye halaat ki manind

Maqrooz k bigray hoye halaat ki manind
Majboor k honton pe sawalaat ki manind

Dil ka teri chahat mein ajab haal hua hay
Sailaab se barbaad makanaat ki manind

Main un mein bhataktay hoye jugno ki tarah hon
Us shakhs ki ankhain hain kisi raat ki manind

Dil roz sajata hon main dulhan ki tarah se
Gham roz chale ate hain baraat ki manind

Ab yeh bhi nahin yaad k kya naam tha us ka
Jis shakhs ko manga tha munajaat ki manind

Kis darja muqaddas hay tere qurb ki khwahish
Masoom se bache k khayalaat ki manind

Us shakhs se mera milna mumkin hi nahin tha
Main pyas ka sehra hon woh bersaat ki manind

Samjhao "Mohsin" us ko k ab reham kare
Dukh bantta phirta hay woh soghaat ki manind

No comments:

Post a Comment