Wafa jab maslehat ki shaal ourhay
Sard rutt ka roop dhaaray
Dil ke aangan mein utarti hai
Tu palkoon per sitaaroon ki dhanak muskaane lagti hai
Kabhi khwaaboon k an- chouwoy khayalon se bhi Un-dekhi si,

anjaani si khushboo aane lagti hai
Kisi ke sang beetay, un-ginat lamhoon ki zanjeerain Achaanak zehan mein jab gun'gunaati hain
Nafs ke taar mein san'naatta yak-dam cheekh uth'ta hai
Tu yun mehsoos hota hai
Hawaayain aa ke sargooshi si karti hain
Muhabbat ka tumhein idraak ab tu hogaya hoga
Yeh jo bhi zakhm deti hai
kabhi seenay nahee deti
Muhabbat rooth jaaye tau kabhi jeenay nahee deti...

No comments:
Post a Comment