affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Wo Ek Shaksh Janti Ho Tum

Friday, 22 March 2013

Wo Ek Shaksh Janti Ho Tum

Wo Ek Shaksh Janti Ho Tum..
Jis Ki Aankh Main Nami Si Thi..
Jis Ka Chehra Malool Rehta Tha..
Wo He Jo Be-Tawajoi Ke Sabab..
Humesha Be-Asool Retha Tha..

Wo Ek Shaksh Janti Ho Tum..
Wo Jisay Neend Boht Piyaari Thi..
Wo Jo Ek Khuwaab Ke Aasar Main Tha..
Wo Jo La-Ilam Raha Manzil Say..
Wo He Jo Umar Bhar Safar Main Tha..

Wo Ek Shaksh Janti Ho Tum..
Jis Ney Khusboo Ki Tamana Ki Thi..
Aur Roonday Gulaab Paay Thay..
Jis Ney Apni He Nekiyo'n Ke Iwas..
Rafta Rafta Azaab Paay Thay..
Wo Shaksh..

Wo Ek Shaksh Janti Ho Tum..
Jis Ka Deen Bus Mohabbat Tha..
Jis Ka Imaan Bus Wafain Thi..
Wo Jis Ki Soch Bhi Pareshaan Thi..
Wo Jis Ke Lab Par Faqat Duaain Thi..
Wo He Uljhi Hoi Bechain Si Baato Wala..
Mohabbato Say Darr Giya Kal Shab..
Hijar Ke Dhukh Ko Sehtay Sehtay..

Wo Shakhs Marr Giya Kal Shab..

Aao Ab Laash Uthao Uss Ki..
Wo Jo Tere Aasar Main Rehta Tha..
Aao Aab Soog Manao Uss Ka..
Wo Jo Suraj Ko Qamar Ketha Tha..
Mohabbato Say Darr Giya Kal Shab..
Wo Shakhs Marr Giya Kal Shab..

No comments:

Post a Comment