Mere zarf ka ye qasoor tha
Ke main dard-e-dil na chupa saka
Mere zarf ne bhi dagha diya
Main to zarf bhi na bacha saka
Mera nafs aik alaao tha
Meri rooh tak ko nigal gaya
Ke main khwahishon ke alaao ko
Na jala saka na bujha saka
Mileen mujh ko jo bhi aziytain
Theen wo doston ki inayatein
Main tamam umr isi khof se
Koi dost phir na bana saka
Mujhe muflasi ne thaka diya
Mere walwalon ko sula diya
Mujhe log keh k juda huey
Ke ye dosti na nibha saka
Ke main dard-e-dil na chupa saka
Mere zarf ne bhi dagha diya
Main to zarf bhi na bacha saka
Mera nafs aik alaao tha
Meri rooh tak ko nigal gaya
Ke main khwahishon ke alaao ko
Na jala saka na bujha saka
Mileen mujh ko jo bhi aziytain
Theen wo doston ki inayatein
Main tamam umr isi khof se
Koi dost phir na bana saka
Mujhe muflasi ne thaka diya
Mere walwalon ko sula diya
Mujhe log keh k juda huey
Ke ye dosti na nibha saka
No comments:
Post a Comment