affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ankh bun jati hai sawan ki ghata shaam k baad

Thursday, 30 May 2013

Ankh bun jati hai sawan ki ghata shaam k baad

Ankh bun jati hai sawan ki ghata shaam k baad
laut jata hai agr koi khafa shaam k baad

shaam tuk Qaid raha kurte hain dil k ander
durd ho jate hain sare riha shaam k baad

log thuk haar k su jatay hain lekin janaan
hum ne khush ho k tera durd saha shaam k baad

shaam se pehle tuk laakh sulaay rakhein
jaag uth-ti hai mohabat ki ana shaam k baad

chand jub ru k sitaroon se galay milta hai
ik ajab rung ki hotee hai fiza shaam k baad

hum ne tanhaai se pocha k milo gi kub tuk
us ne be-chaini se forun hee kaha shaam k baad

mae agr khush bhi rahon phir bhi mere seene mein
su-gawari koi roti hai sada shaam k baad

laur aatee hai meri shub ki ebadut khali
jane kis arsh pe rehta hai Khuda shaam k baad

koi bhula howa ghum hai jo musulsul mujh ko
dil k pataal se daita hai sada shaam k baad

maar daita hai ujar jane ka dhoura ehsaas
kaash ho koi kissi se na Juda shaam k baad...

No comments:

Post a Comment