affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ujri Hoi Udasi

Wednesday, 15 May 2013

Ujri Hoi Udasi

Wo udasi.
Jo pichle baras.
Rim jhim ki trah.
Wajud ko bhigoti thi.
Gati thi, gungunati thi.
Wo haseen udasi.
Jo hisar min leti thi.
To sogwar sa husn.
Malaal k dhanak rangon min.
Naha jata tha.
Magr ab k baras.
Ye dilkash udasi.
Toot toot kar barsi.
Aise ujaar chehre pe.
Jis pe tha.
Wehshat ka saya.
Khamoshi ka pehra.
Shikasta khad-o-khal min.
Sadiyon ka intazar.
Or be panah thakan.
Lafz ba lafz raqam thi.
Wirani ka ye alam.
K rooh tak kanp uthe.
Kati phati hatheliyon se.
Phoot’ti siyahi aisi k.
Andhere bhi panah mangen.
Or isi baras.
Hijar k sooraj ne.
Wo manzar dekha.
Bare karb se.
Jab ujre khandar pe utar k.
Udasi khud bhi ujar chuki thi.

No comments:

Post a Comment