affiliate marketing Famous Urdu Poetry: January 2013

Thursday, 31 January 2013

Sab se chupa kar dard jo wo muskara dia


Zara dekho wo darwazey par dastak kesi hai

Zara dekho wo darwazey par dastak kesi hai,

Agar jo ho ishq to kehna yahan koi dil nahi rehta..

Sari rat so nahi patay

Isi KARZ Ko Ada  Kar.nay  K Wastay Hum Saari Raat Nahi So Patay


Ke Shayad Koi Jaag Rha Ho is Dunya Mein Humaray Liye.

Khirki chand kitab aor mein


Mein kaprey badal kr jaon kahan


Yeh b acha hai ke sirf sunta hai


kitni zulfein khulein kitne anchal uray


Mein hon tera khyal hai aur chand rat hai


Aik din aisa ho ga


Chand ke sath jagti ankhein

Chand ke sath jagti ankhein

Chand ke sath jaagti aankhain,
Maine dekhi hain bolti ankhain,

Koi tasveer si banati hain,
Raat main khawab dekhti ankhain,

Jese ghehre bhanwar samandar ke,
Eysi hoti hain sochti ankhain,

Jaan leti hain raaz bhi mere,
Zehen main uski jhankti ankhain,

Neend baqi nahin kahin in main,
Ek mauma hain jagti ankhain,

Main duaon main hon anjam,
Aur hain mujh ko sochti anhkain...

Khirki chand kitab aur mein


Mein kapre badal kr jaon kahan


Wednesday, 30 January 2013

Ab ye socha hai apni zat mein rahein gey


Ajab pahelian hain hath ki lakeeron mein


Baith jata hon khak pr aksar


Woh baray tajasus se puch betha mery gham ki wajha


Lafz kehnay walon ka kuch nahi jata


Suna hai ishq nam ke guzray hain aik bazurg


Rat gehri thi dar b saktay thay


Hum nay kaha kamal ho jo tum hum ko bhula sako


Aj phir hatheli par


Kon si misal don tum ko


Mohabbat kar betha tha khawab mein


Tum aksar yad ati ho


Ruk jati hai nazar had e nazar tak ja kar


Darta hon pagal he na mujh ko kar dalein


Apni tanhai mery nam pay abad karay


Dukh boltay hain

Dukh boltay hain

Jab seenay ander....
Sanse kay darya dolte hain...
jab mausam sard hawa main...
Aik Gheri chup si gholtey hain....
Jab aansoo........!
Pelkain rolte hain......
Jab sab aawazain.....
Appnay apnay bister per soo jati hain.....
Tab aahista aahista ......
Sanse lay ker aankh kholtey hain........
Aur......!
Dukh boltey hain...........!

Waqt badan ke zakham to bhar deta hai lekin

Waqt badan ke zakham to bhar deta hai lekin

Waqt badan ke zakham to bhar deta hai lekin

Dil ke andar kuch tabdeeli ho jati hai 

Chal buliya hun uthay chaliye

Chal buliya hun uthay chaliye

Main aisi mohabbat karta hoon

Main aisi mohabbat karta hoon 
Tum kaisi mohabbat karti ho 
Tum jahan peh beth k jati ho 
Main waheen pe betha rehta hoon 
Uss cheez ko choota rehta hoon 
Main aisi mohabbt karta hoon 
Tum jis se huns k milti ho 
Main us ko dost banata hoon 
Tum jis raste par chalti ho 
Main us se aata jata hoon 
Main aisi mohabbat karta hoon 
Tum kaisi mohabbat karti ho 
Tum jin ko dekhti rehti ho 
woh khawab....sarhane rakhta hoon 
Tum se milne julne k 
Kitne hi bahane rakhta hoon 
Main aisi mohabbat karta hoon 
Tum kaisi mohabbat karti ho 
Tum jahan bhi beth k jati ho 
Jis cheez ko haath lagati ho 
Main waheen peh betha rehta hoon 
Uss jaga ko choota rehta hoon 
Main aisi mohabbat karta hoon 
Tum kaisi mohabbat karti ho 
Kuch khawab saja kar aankhon main 
Palkon say moti chunta hoon 
Koi lums agar choo jaa a to 
Main pehroon us ko sochta hoon 
Main...aisi mohabbat karta hoon 
Tum kaisi mohabbat karti ho 
Jin logon main tum rehti ho 
Tum jin se baatein karti ho 
Tum jin se huns k milti ho 
Jo tum ko ache lagte hoon 
Wohi mujh ko ache lagte hain 
Main aisi mohabbat karta hoon 
Tum kaisi mohabbat karti ho 
Jis bagh main subh ko jati ho 
Jis sabze par tum chalti ho 
Jo shaakh tumhein choo jati hai 
Jo khushboo...tum ko bhaati hai 
Woh oos tumhare chehre par 
Jo qatra qatra girti hai 
Woh tittli chor k phoolon ko 
Jo tum se milne aati hai 
Jo tum ko choone aati hay 
Unn sab k nazuk jazbon main 
Mere dil ki dharkan basti hai 
Meri rooh bhi shamil rehti hai 
Tum paas raho ya door raho 
Nazron main samai rehti ho 
Main tum ko takta rehta hoon 
Main tum ko sochta rehta hoon 
Main aisi mohabbat karta hoon 
Tum kaisi mohabbat karti ho 
Jis college main tum parhti ho 
Jis class main bhi tum jati ho 
Jis kursi pe tum bethti ho 
Jab class woh khali hoti hai 
Main ja k us main bethta hoon 
Uss kursi ko main choota hoon 
Gadla sa ik tissue paper 
Jo tum ne class main choora tha 
Main pyar se uss ko choota hoon 
Main us ko...purse main rakhta hoon 
Woh copy jis main lecture k tum points likhti rehti ho 
Har moqay par har manzar main 
Main saath tumhare rehta hoon 
Main chashm-e-tasavvur main aksar 
Bas tum ko dekhta rehta hoon 
Bas tum ko sochta rehta hoon 
Main aisi mohabbat karta hoon 
Tum kaisi mohabbat karti ho

Dastan khatam hone wali hai

Dastan khatam hone wali hai

Dastan khatam hone wali hai

Tum meri aakhri mohabbat ho

Waahima by Parveen Shakir.

Waahima by Parveen Shakir.

Waahima

Tumhara Kehna Hai
Tum Mujhe Be-Panah Shiddat Se Chahte Ho
Tumhari Chahat 
Wisaal Ki Akhri Hadon Tak
Mere Faqat Mere Naam Hogi
Mujhe Yaqeen Hai
Mujhe Yaqeen Hai
Magar Qasm Khane Wale Larke!
Tumhari Aankhon Mai Ek Til Hai!

Itna to mery hal par ehsan kia kar

Itna to mery hal par ehsan kia kar

Itna to mere haal par ehsan kiya kar ! 

Aankhon se mera dard pehchan liya kar ! 

Kuch saath de safar mein bohat thak gaya hoon mein ! 

Kuch pal hoon tere sath meri maan liya kar ! 

Afsane Mohabbat k adhure na chor tu ! 

Jurm-e-Wafa ka mujhse har beyan liya kar ! 

Mud'dat hoi is aas par thehre howa hoon mein ! 

Bhoolay se kabhi TU B MERA NAAM LIYA KR ! 

Apni zat se wabasta kar mujhe ! 

Ho kar KHAFA mujhse meri yon na jaan liya kar...

Pagal larki by Wasi Shah

Pagal larki by Wasi Shah


Pehle Mere Khat Ke Us Ne

Ik Anjaane Khauf Se Dar Kar

Tukrye Tukrey Kar Daley

Ab

Ek Haseen Ahsaas Ke Taabay

Jis Ka Koi Naam Nahi

Pichle Kitne Hi Ghanton Se

Darwaaze Ki Ott Mai Chup Kar

Tukrey Jorr Rahi Hai…………Pagal

Aaj kal Mojzay nahi hote

Aaj kal Mojzay nahi hote

Chahaton main “Gilay” nahi hote,
 Ishq main “Zabtey” nahi hote,
 Yaad karte han Dil hi Dil main tujhe,
 Ab tere “Tazkary” nahi hote,
 Kho k sab kuch kheyaal ata ha,
 Kaash hum tum mile nahi hote,
Meri “Qismat” wo ban to jaye mager,
Aaj kal Mojzay nahi hote****>>>>>>…..!!!!!

Kambakht manta he ni dil ussey bhulany ko

Kambakht manta he ni dil ussey bhulany ko

Kambakht manta he ni dil ussey bhulany ko,,,,

Me hath jorta hn to woh paon pr jata ha.......

Bhula dia na by Fakhira Batool.

Bhula dia na by Fakhira Batool.

BHULA DIA NA.........?????????


Udaas rut mein Lahoo ki boondon mein
Bas udaasi hi jagti hai
Kahen parha tha........ Keh phir suna tha,,,,,,,

Tou yun bhi hota hai yeh udaasi
Tamam yadon ki narm o nazuk si konplon ko
Kabhi achanak hi noch leti hai
Bey dhiyani mein bey khudi mein

Suno yeh dharka laga hai mann ko
Kahen na esa ho esi rut mein
HAMEN BHULA DO
Yahe to tum se kaha tha janan
Wohi hua na
BHULA DIA NA........?????

Mohabbat hadsa hai by Fakhira Batool.

Mohabbat hadsa hai by Fakhira Batool.

 Mohabbat hadsa hai  

Hadsey se bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo es se pehly khwab ho jao

Jisey hum hadsah kehtey hain
Jeewan ko ghari bhar mein
Mita kr khaak krta hai
Koi ilzam dharta hai

Kabhi mahzorion ke jal mein qaidi 
Bana kr chor deta hai
Yeh bandhan torr deta hai


 Mohabbat hadsah hai
Hadsey se bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo es se pehly khwab ho jao

Ek shakhs ko dykha tha by Parveen Shakir.

Ek shakhs ko dykha tha................ 

Ek shakhs ko dykha tha taron ki tarha hum ne

Ek shakhs ko chahan tha 
Apnon ki tarha hum ne
Ek shakhs ko samjha tha 
phoolon ki tarha hum ne

Wo shakhs Qayamat tha kiya os ki karen baten

Din os ke leay paida 
us ki hi thi raten
Kab milta ksi se tha 
Hum se thi mulaqaten

Rang us ka shahabi tha zulfon mein thi mehkaren
Ankhen then ke jadoo tha
 palken then ke talwaren
Dushman bhi agar dykhen 
sou jan se dil haren

Kuch tum se wo milta tha
Baton me shabahat thi
Han tum sa hi lagta tha
Shokhi mein shararat mein

Lagta bhi tm sa hi tha dastoor e mohabbat mein
 
Wo shakhs hamen ik din
Apnon ki tarha bhoola
Taron ki tarha dooba
Phoolon ki tarha toota 

Phir haath na aya woh hum ne bohot dhoonda

Tum kis leay chonkey ho?
Kab zikar tumhara hai?
Kab tum se shikayat hai?
Kab tum se taqaza hai?

Ik tazah hikayat hai Sun lo to inayat hai..........
Ek shakhs ko chaha tha apnon ki tarha hm ne..........

Hamesha der kr deta hon mein by Munir Niazi.

Hamesha Der Kr Deta Hon Mein

Zaruri bat kehni ho 
Koi wahda nibhana ho 
Usy awaz dyni ho
Usy wapis bulana ho

Hamesha Der Kr Deta Hon Mein

Madad karni ho us ki 
Yar ki dharas bandhana ho
Bohot derina raston pr 
Kisi se milney jana ho

Hamesha Der Kr Deta Hon Mein

Badaltey mousamon ki sair mein 
Dil ko lagana ho
Ksi ko yad rakhna ho 
Ksi ko bhool jana ho

Hamesha Der Kr Deta Hon Mein

Ksi ko mout se pehly
Kse gham se bachana ho
Haqiqat aur thi kuch
 Usey ja ke yeh batana ho

Hamesha Der Kr Deta Hon Mein

Tuesday, 29 January 2013

Mohabbat Chup Nahi Rehti

Mohabbat Chup Nahi Rehti

Mohabbat Chup Nahi Rehti 

Woh kehti hai chalo Farhat hawa k sath chaltey hein 
  Mein khamoshi se us k sath chal deta hon bujhne ko

 Woh mujhse puchti hai tum kahan  ghaib ho sadion se
 Mein kehta hon hazaron waswason k darmian gum hon

Woh mujhse puchti hai raat ki beychainian kia hain
Mein kehta hon jo doorion k dil mein hoti hain 

Woh mujhse puchti hai khof ka dorania kia hai 
Mein kehta hon jo dil aur gham ka hota hai museebat mein

Woh mujhse puchti hai badlon ki umer kitni hai 
Mein kehta hon tamazat k mutabaq panion k waqt jitni hai

Mery ho k raho


Mohabbaten Aur Bhi Barh Jati Hain Juda Hone Se

Mohabbaten Aur Bhi Barh Jati Hain Juda Hone Se

Mohabbaten Aur Bhi Barh Jati Hain Juda Hone Se....

Tum Sirf Meri Ho Iss Bat Ka Khayal Rakhna!!!!!!

Kaash Mein Yeh Jan Sakta

Kaash Mein Yeh Jan Sakta

Kash ! 
Kash ! Mein Yeh Jan Sakta
Ke Yeh Hansti Muskarati Larkian
Apni Umar Ke Kisi Mor Pe
Sar e Sham Apne Aangan Mein
Dewar Se Lag Ke
Chupkey Chupkay Roya Karen Gi
To Zamane Bhar Ki Khushion Ko
Apne Rab Se In Ke Wastey Mang Leta

Aik farq hai

Aik farq hai

Aik farq hai waadon or

yaadon main

waady ham torr dety

hain or

Yaadin...... hamin torr deti hain...................

Hijr ka tara doob chala hai

Hijr ka tara doob chala hai

Hijr ka tara doob chala hai,dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkun ki barsat Wasi

Tere baad dunya wale mujhko pagal kardenge
Khushboo k dais mai mujhko le chal apnay sath Wasi

Yunhi chup ki mohar laga kar kab tab gumsum bethoge
Khamoshi se dum ghut'ta hai cherro koi baat Wasi

Aj tu uska chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mosam badla,dunya badli,badal gaye halat Wasi

Mere ghar khushboo ka ye raqs usi k dum se hai
Uske saath chali jayege phoolon ki baraat Wasi

Chor wasi ab uski yadein tujhko pagal kardenge
Tu qatra hai,wo darya hai dekh apni Auqat Wasi.....!!!!​

Tu ney Dekha hai kabhi


Mohabbat Kar Nahi Paya

Mohabbat Kar Nahi Paya

December K Maheene Ka..

Wo Shayad Akhri Din Tha!

Baraz Guzrey Kai Maine Mohabbat

Lafz Likha Tha!

Kisi Kaghaz K Tukray Par

Achanak Yaad Aya Hai …

Kisi Se Baat Karni Thi

Usay Kehna Tha

Jaan-e-Jaan

Mujhe Tumse Mohabbat Hai ..!!

Magar Mein Keh Nahi Paya

Wo Kaghaz Aaj Tak Lipta Para Hai

Dhool Mein

Lekin

Kisi Ko De Nahi Paya

Dobara Chah Kar Bhi Main

Mohabbat Kar Nahi Paya!!

Suno Tumhare Lot Aane Ki Aas Mein

Suno Tumhare Lot Aane Ki Aas Mein

Suno
Tumhare Lot Aane Ki Aas Mein
Abi Tak Maine
Dil Nahi Dafnaya

Tum mery ho kar nahi dety

Tum mery ho kar nahi dety

Jitni duain aati thi
Sub mang li hum ne
Jitne wazife yaad the sare
Kar bethe hain
Kai tarah se ji dekha he
Kai tarah se mar bethe hain
Lekin Janaa !
Kisi bhi sorat 
Tum mere ho kar nahi dete !

Lakeeren jhoot bolti hain لکیریں جھوٹ بولتیں ہیں

Lakeeren jhoot bolti hain لکیریں جھوٹ بولتیں ہیں

جب وہ میرا نام 
اپنے ہاتھوں کی لکیروں میں 
تلاش کر کے تھک گئی 
تو دھیرے سے سر جھکایا
اور مسکرا کے کہا 
” لکیریں جھوٹ بولتیں ہیں “

Jab woh mera naam
apnay haathon ki lakeeron men
talaash kar kay thak gaee
to dheeray say sir jhukaya
aur muskura kay kaha
"Lakeeren jhoot bolti hain"

Kitaabon Se Daleel Doon Ya Khud Ko Saamne Rakh Doon


Kitaabon Se Daleel Doon Ya Khud Ko Saamne Rakh Doon

Kitaabon Se Daleel Doon Ya Khud Ko Saamne Rakh Doon

Woh Mujhse Pooch Betha Hai”MOHABBAT”Kisko Kehte Hain

Asmanan Tay Urrday Panchhi

Asmanan Tay Urrday Panchhi

Vaikh Bandya….
Asmanan Tay Urrday Panchhi…..
Vaikh Tay Sahi Ki Karday Nay…..
…Na O Karday Rizq Zakheera….
Na O Pukhay Marday Nay….
Kaday Kisi Nay Pankh Pakheru…..
Pukhay Marday Vaikhay Nay? ? ?
Banday Hi Karday Rizq Zakheera…..
Banday Hi Pukhay Marday Nay……