affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Chalo door Kahin chaltay hain

Tuesday, 12 March 2013

Chalo door Kahin chaltay hain

Chalo door Kahin chaltay hain
Kahin peron kay saye Main
Kahin sapnon ki wadi main
Ya kahin jheel Kinaray Per
chalo chaltay hain Kahin Jana

Mohabbat Mehsoos Kartay hain

Teray Kandhay pay sar Rakhay
Jo badal chu kay guzrain To
jo barish ham pay barsay To
Buhut si ankahi batain Khamoshi ki zaban main
Buhut aahista say jana Hamry dil main Utar ayain

kabhi shabnam pay nangay paon,
Teri qurbat kay lamhon main
zamanay bhar say be-khabar
Kahin shehr-e-mohabbat ki zamin pay dono ja pohnchain
nazar main tera chehra ho
faza main khusbu hamri ho
na apni khabar tumhain kuch ho na apna pata mujhe kuch ho
Mohabbat ki khamoshi ho,
Mohabbat ki kahani ho
Mohabbat ki zabani ho

No comments:

Post a Comment