affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Dil jalanay kee baat kartay ho

Sunday, 10 March 2013

Dil jalanay kee baat kartay ho

Dil jalanay kee baat kartay ho

aashiyanay kee baat kartay ho

ham ko apnee khabar nahi yaroo

tum zamanay kee baat kartay ho

saree duniya kay ranj o gham day kar
muskuranay kee baat kartay ho

zikar maira sunaa tu chir kay kahaa
kiss dewanay kee baat kartay ho

hadsaa thaa guzar gayaa hogaa
kiss kay jaanay kee baat kartay ho

No comments:

Post a Comment