affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Main bhi kitni pagal hOOn na

Thursday, 21 March 2013

Main bhi kitni pagal hOOn na




Main bhi kitni pagal hOOn na
Sang hawa k urna chahOOn
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahOOn
PhOOlon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahOOn
Main bhi kitni pagal hOn na!

Chandni shab kO khunak hawa main
Chand nagar kO jana chahOOn
Amber k ik ik taarey kO
Daman main bhar lena chahOOn
Bhaag k sarey nanhey jugnO
Muthi main band karna chahOOn
Main bhi kitni pagal hOn na!

Kabhi kabhi un nazrOOn k main
Gungey sapney parhna chahOOn
Uss ki sOchOOn k zeney per
Nangey paOOn main chalna chahOOn
Janti hOn na mumkin hay ye
Phir b kitni pagal hOn main
Janey kya kya karna chahOOn
Titli, khushbO, badal ban ker
sang hawa k urna chahOOn

 :pray: :pray: :pray:

No comments:

Post a Comment