affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

Tuesday, 12 March 2013

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhon Mein,
Beetay Din Yaad Dilatey Ho
Mastana Hawa Kay Jhonkon Se,
Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakrnay Ki Dhun Mein,
Do Ajnabi Hathoon Ka Milna.
Aankhon Me Dhunwa Cha Jana,
Sansoon Mein Sitarey Se Khilna
Raasty Me Tumhara Mur Mur Kar
Takna Wo Mujhe Jatey Jatey
Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana,
Chilman Kay Qareeb Aatey Aatey
Nazroon Ka Taras Kar Reh Jaana,
Ek Aur Jhalak Paatey Paatey
Baalon Ko Sukhanay Ki Khatir,
Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi
Kuch Sharmana, Kuch Bal Khana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon,
Aur Khud Parh Kar Ro Leti Hoon
Halaat Kay Taptey Toufaan Me,
Jazbaat Ki Kashti Kehti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch To Kaho,
Mein Tum Ko Sadayen Deti Hoon
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Me,
Beetay Dinn Yaad Dilatey ho...!

No comments:

Post a Comment