affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Muhabbat Shairi Hurgiz Nahi Hay

Friday, 15 March 2013

Muhabbat Shairi Hurgiz Nahi Hay

539819_398218433570163_232157415_n.jpg
Muhabbat Shairi Hurgiz Nahi Hay

*


Theek Kehtey Hain
Mohabbat To Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Per Woh Nassb Katba Hay
Key Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-e-Raah-e-Ulfat
Ashiq-e-Nakaam Ka Marqad

*

Mohabbat Aik Katba Hay

*

Laga Hota Hay Jo Aksar
Kabhi Layla Kay Marqad Per
Kabhi Majnoo Ki Hasrat Per
Kabhi Soni Kay Matkay Per
Kabhi Ranjhay Kay Teeron Per

*

Mohabbat Aik Katba Hay
Kay Jis Per Saaf Likha Ho

*

Mohabbat Maot Ki Aghoosh May Sir Rakh Kay Sona Hay
Mohabbat Dil Pay Laahaq Roag Hay
Taa Umer Rona Hay
Mohabbat Raat Bhar Ka Jagna
Aur Jaan Khona Hay

*

Muhabbat Arzoo-o-Hasrat-o-Arman-o-Kuwahish Ki
Kisi Maydan May Rakhee Hui Aik Aysee Mayyat Hai
Kay Jis Ko Kandha Dayney Kay Liye
Koi Nahi Aata
Mager Phir Bhi
Laboon Per Her Kisi Insane Kay Rakha Hay Ye Jumla

*

MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY

*

Koi Mujh Say Ager Kah Day
Mujhey Tum Say Mohabbat Hai
To Dar Jata Hon May Bayhad
Yeh Dil Main Wehem Aata Hay

*

Kay Ye Izhar Ka Jumla
Muhabbat Ka Yah Ik Katba

*

Phir Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Ki
Zeenat Na Ban Jaey
Mohabbat Ka Yah Katba
Phir Naee Aafat Na Ban Jaye
Wohee Katba
Kay Jiss Per Saaf Likha Ho

*

Shaheed-e- Raah-e-Ulfat
Ashiq-E-Nakaam Ka Marqad..

No comments:

Post a Comment