affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai

Sunday, 17 March 2013

Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai


Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
Usse kehna be-fikar main b nahi hoon

Suna hay wo gumsum rehti hai
Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon

Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
Usse kehna sota main b nahi hoon

Suna hay wo chup chup k roti hai
Usse kehna hansta main b nahi hoon

Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
Usse kehna bhoola main b nahi hoon

Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main b nahi hoon

No comments:

Post a Comment