affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Sochta Hun Ke Usay Nend Bhi Aati Hogi

Friday, 30 May 2014

Sochta Hun Ke Usay Nend Bhi Aati Hogi

Sochta Hun Ke Usay Nend Bhi Aati Hogi

Ya Meri Tarha Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulane Wali

Apni Tasweer Se Kiya Aankh Milati Hogi

Is Zameen Pe Bhi Hai Sailaab Mere Ashkon Se

Mere Maatam Ki Sada Arsh Hilaati Hogi

Sham Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Kar Shamein

Apni Palkon Pe Kai Khuwab Sulaati Hogi

Us Ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rang Ke Libaas

Ab Moharram Ki Tarha Eid Manaati Hogi

Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Mai Pagal

Jab Bhi Zulfon Mai Koi Phool Sajaati Hogi

Mere Taareek Zamanon Se Nikalne Wali

Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilaati Hogi

Dil Ki Masoom Ragein Khud Hi Sulagti Hongi

Jun Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalaati Hogi

Roop De Kar Mujhe Is Mai Kisi Shehzaade Ka

Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunaati Hogi

No comments:

Post a Comment