Wo kaha karta tha
Jab
Mein tujhy bhoolunga
To wo din zindagi ka
Akhri din ho ga
Us raat taaray
Na chamkaingy
Us subha
Suraj na
Nikley ga
Wo kaha karta tha
Meri har
Saans se
Tu wabasta hai
Aaj jab us
Ne rasta badla
Tou
Yaad aya
Wo kaha karta tha
Jab
Mein tujhy bhoolunga
To wo din zindagi ka
Akhri din ho ga
Us raat taaray
Na chamkaingy
Us subha
Suraj na
Nikley ga
Wo kaha karta tha
Meri har
Saans se
Tu wabasta hai
Aaj jab us
Ne rasta badla
Tou
Yaad aya
Wo kaha karta tha
ab ke ham bichde tow shaayad kabhii Khvaabon mein milen
ReplyDeletejis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milein
Dhuundh ujde hue logon mein vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milein
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itne hijaabon mein milein
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo
nashaa badataa hai sharabe.n jo sharaabon mein milein
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milein
ab na vo main huun na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milein
Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
DeleteUsse kehna be-fikar main bhi nahi hoon
Suna hay wo gumsum rehti hai
Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon
Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
Usse kehna sota main bhi nahi hoon
Suna hay wo chup chup ke roti hai
Usse kehna hansta main bhi nahi hoon
Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
Usse kehna bhoola main b nahi hoon
Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main bhi nahi hoon