affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Yehi gar zid tumhari hai

Saturday, 23 February 2013

Yehi gar zid tumhari hai

Yehi gar zid tumhari hai
Chalo Hum Bhool Jaatey Hain!
Sabhi Waadey, Sabhi Qasmain
Mohabbat Ki Sabhi Rasmain
Nahi, Manzoor Jo Tum Ko
Karain Ranjoor Jo Tum Ko
Tumhaari Shaad-Maani Hi, Azeez-Az-Jaan Hey Jab To
Tumhain Phir Tokna Kesa?
Zyaan, Sood Ki Baabat, Bhala Phir Sochna Kaesa
Chalo Hum Bhool Jaatey Hain..!
Mohabbat Ki Riyazat Main
Wafaaon Ki Musaafat Main
Qadam Kis Ke Kahaan Behkey, Hui Kis Sey Kahaan Larzish
Basaa Di Jis Ney Ik Pal Main, Humaari Aankhon Main Baarish
Ke Jis Ki Tez Boondon Ney
Kisi Tezaab Ki Soorat
Nishaan-E-Manzil-E-Dil Hi, Jala Dala Mita Dala
Magar Jaanan
Kahaan Aasan Hota Hey?
Jigar Ka Khoon Ashkon Mein, Badalna Aur Bahaa Dena
Khas-O-Khashaak Chun Chun Kar
Gharonda Ik Banana Aur…Ussi Ko Phir Jala Dena
Jawaan Sapnon Ki Laashon Ko
Daroon-E-Jaan Chuhpaa Kar…Muskura Dena
Khizaa'ein Paalna Khud Mein, Bahaar'ein Baant'tey Phirna
Kahaan Aasaan Hota Hey..?
Buhat Mumkin Hey Hum Bhi Haar Hi Jaaein
Jawaan Hey Zabt Jo Ab Tak
Muqaabil Ghum Ke Aaey..Aur Dhaey Jaaey
Aur Iss Mein Bhii Taa’ajub Kiyaa?
Tumhaarey Lout Aaney Ki..Bachi Ho Aas Jo Koi
Nawaaey Be-Zubaan Ban Kar
Sisak Kar Phir Sey Utthey Aur..Tum Tak Bhi Puhanch Jaaey
So Tum Sey Ye Guzaarish Hey
Tab Ik Ehsaan Tum Karna
Palat Kar Dekhna Yuun Sard Nazron Sey
Ke Jo Bhii Aas Zinda Ho..
Ussey Yak-Sar Mita Dena
Humein Pathar Bana Dena !!!


No comments:

Post a Comment