Jo us k chehre pe rang e haya thehar jaye
To sans, waqt, samander, hawa thehar jaye
Wo muskuraye to huns huns parhein kain mousam
Wo gungunaye to baad-e-saba thehar jaye
Sabak haram saba chaal chal parhe jab be
Hazaar phool sar e rah aa thehar jaye
Wo hont honto’n pe rakh de agar dam e aakhir
Mujhay gumaa’n ha, k aai qaza the...har jaye
Mein us ki aankho’n mein jhanko’n to jese jam jao'n
Wo aankh japhke to chaho’n zara thehar jaye...!!!
No comments:
Post a Comment