Mohabbat ki ek Nazam
Agar kabhi meri yaad aaey
to chaand ratooN ki dilgeer roshni maiN
kisi sitarey ko dekh laina
agar voh nakhl-e-falak se uttr kar tumharey qadmooN maiN aagirey to
yeh jaan laina, ke voh istaa`ra tha mere dil ka,
agar na aaey......
magar yeh mumkin he kis tarah hai ke tum kisi par nigah dalo
to oski deewar-e-jaaN na TooTey
voh apni hastee na bhool jaey
agar kabhi meri yaad aaey
guraiz kartee hava ki lehrooN pay haath rakhna
maiN khushbooN maiN tumhaiN milooN_ga
mujhey gulaab ki pattiyoon maiN talaash karna
maiN a'us qatroon ke aainooN main tumhaiN milooN ga
agar sitarooN maiN, a'us qatrooN maiN, khushbooN maiN na pao mujhko
tu apney qadmooN maiN dekh laina
main gurd hotee musafatooN maiN tumhaiN milooN ga
kaheeN pay rooshan chiragh dekho to jaan laina
ke her patangey ke saath maiN bhi bikhar chuka hoo.N
tum apney hathooN se on patangooN ki khakh samandarooN maiN dal daina
Main Khakh bun kar samandarooN maiN safar karoo.n ga
kisi na dekhey hoey jazerey pay ruk ke tumko sadaiN dooN ga
samandaroo.n ke safar pay nikloo to os jazeerey pay bhi utarna
No comments:
Post a Comment