Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta
Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
Amal ki sookhti rag mei zara sa ...khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta
Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta
No comments:
Post a Comment