Tumhen yah kis nay keh diya aakhir
keh
resturaunt kay neem taareek goshay men
baith kar madham sargoshiyon men
muskuratay labon say baat karna
aur ice cream kay cup men chamach halaatay huay
khawahish e dil ko zubaan pay lay aana muhabbat hai?
tumhen yeh kis nay keh diya aakhir
keh
jaayaz o na'jaayaz kay falsafay ka asaa thaamay
ikhlaaqiyaat ki apni kasauti banaaey
jawaaz e hadd o bayhadd ki dewaar samaaey
bila dastak bay rooh makaan e jism men dar aana muhabbat hai?
balkay muhabbat to door daraaz kay kisi
wehshi qabeelay men
basnay wali koi chalaak devi jo
tumhari anaa ko apnay talism say
yuun qaid karti hai keh
tum apna saara zoam bhool jatay ho
muhabbat mann ka sacha sauda hai
jisay bazaar men baicha nhi kartay
muhabbat ik nazuk si larki hai
jisau rulaaya nhi kartay
muhabbat ko yuun zaayaa nhi kartay
No comments:
Post a Comment