Gumaan gumaan sa qayas sa
kabhi door sa kabhi paas sa
kabhi chandni main chupa hua
kabi khushbuoon main basa hua
kabhi sirf us ki shabahatain
kabhi sirf us ki hikayatain
kabhi sirf milnay k silsilay
kabhi sirf us say hi faaslay
kabhi door chalti hawaoon main
kabhi meenh barasti ghataoon main
kabhi bad-gumaan kabhi meherbaan
kabhi dhoop hai kabhi saayebaan
kabhi band dil ki kitaab main
kabhi lab kushaan woh khwab main
kabhi youn k jaisay sawal ho
kabhi youn k jaisay khayal ho
kabhi dekhnay k hain silsilay
kabhi sochnay k hain marhalay
kabhi sirf rang-e-bahar sa
kabhi sirf ik ghubaar sa
kabhi dastaras k qareeb qareeb
kabhi door paas kahin nahi
yeh jo ukhrra ukhrra sa shakhs hai
yeh jo bikhra bikhra sa shakhs hai
No comments:
Post a Comment