affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Sunno tum rooth jatay ho

Friday, 15 March 2013

Sunno tum rooth jatay ho

Sunno tum rooth jatay ho
Tu ham pai kya guzarti hai
Na dil mai chain hota hai
Na jeewan saath hota hai

Na aankh mai koyi Sapna
Na lagta hai koyi apna
Na koyi phool khilta hai
Na chanda ham sai milta hai

Suno tum bin mairay jeewan saathi!!
Hamara dil tarapta hai
Suno!! Tum maan jao
Ajab sa chain milta hai

Jo tufaano andheeron mai bhi
Waffa ka deep jalta hai
Suno na roothna ham sai
Kabhi na roothna ham sai..

No comments:

Post a Comment