affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ab Tou Yeh Khuwahish Hai Yeh Zakhm Bhi Kha Kar Dekhein

Wednesday, 28 August 2013

Ab Tou Yeh Khuwahish Hai Yeh Zakhm Bhi Kha Kar Dekhein

Lamha Bhar Ko He Sahi Us Ko Bhula Kar Dekhein

Shehar Mein Jashn-e-Shab-e-Qadar Ki  Sa’at Aaiee
Aj Hum B Tere Milne Ki Duaa Kar Dekhein

Ulajhne Ki Kasak Rakhte Hein Aandhiyon Se Jo
Ik Diya Taiz hawa Mein Bhi Jala Kar Dekhein

Kuch Tou Awara Hawaoun Ki Thakan Khatam Karen
Apne Qadmon K Nishaan Aap Mita Kar Dekhein

Zindagi Ab Tujhe Sochein Bhi Tou Dum Ghut’ta  Hai
Hum Ne Chaha Tha Kabhi Tujhse Wafa Kar Dekhein

Hai Jin K Zarron Mein Khizaan Haanp K So Jati
Aisi Qabron Pe Koi Phool Saja Kar Dekhein

Dekhna Ho Tou Mohabbat K Azadaaron Ko
Na Shanasaiee Ki Diwaar Gira Kar Dekhein

Yun Bhi Dunya Hame Maqrooz Kiye Rakhti Hai
Dast-e-Qatil Tera Ehsaan Bhi Utha Kar Dekhein

Ronay Walon K Tou Hamdard Bohat Hein Mohsin
Hansty Hansty Kabhi Dunya Ko Rula Kar Dekhein..

No comments:

Post a Comment