affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mein Hoon Tera Khayal Hai Aur Chaand Raat Hai

Thursday, 8 August 2013

Mein Hoon Tera Khayal Hai Aur Chaand Raat Hai

ﻣﯿﮟ ﮬﻮﮞ ﺗﺮﺍ ﺧﯿﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯﺩﻝ ﺩﺭﺩ ﺳﮯ ﻧﮉﮬﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭼﺒﮫ ﮔﺌﯿﮟ ﺗﺮﯼ ﯾﺎﺩﻭﮞ ﮐﯽ ﮐﺮﭼﯿﺎﮞ
ﮐﺎﻧﺪﮬﻮﮞ ﭘﮧ ﻏﻢ ﮐﯽ ﺷﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﺩﻝ ﺗﻮﮌ ﮐﮯ ﺧﻤﻮﺵ ﻧﻈﺎﺭﻭﮞ ﮐﺎ ﮐﯿﺎ ﻣﻼ؟
ﺷﺒﻨﻢ ﮐﺎ ﯾﮧ ﺳﻮﺍﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﭘﮭﺮ ﺗﺘﻠﯿﺎﮞ ﺳﯽ ﺍﮌﻧﮯ ﻟﮕﯿﮟ ﺩﺷﺖ_ﺧﻮﺍﺏ ﻣﯿﮟ
ﭘﮭﺮ ﺧﻮﺍﮬﺶ_ﻭﺻﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

کیمپس کی نہر پر ہے ترا ہاتھ ہاتھ میں
موسم بھی لاﺯﻭﺍﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﮬﺮ ﺍﮎ ﮐﻠﯽ ﻧﮯ ﺍﻭﮌﮪ ﻟﯿﺎ ﻣﺎﺗﻤﯽ ﻟﺒﺎﺱ
ﮬﺮ ﭘﮭﻮﻝ ﭘﺮ ﻣﻼﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﻣﯿﺮﯼ ﺗﻮ ﭘﻮﺭ ﭘﻮﺭ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﺳﯽ ﺑﺲ ﮔﺌﯽ
ﺍﺱ ﭘﺮ ﺗﺮﺍ ﺧﯿﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﭼﮭﻠﮑﺎ ﺳﺎ ﭘﮍ ﺭﮬﺎ ﮬﮯ ﻭﺻﯽ ﻭﺣﺸﺘﻮﮞ ﮐﺎ ﺭﻧﮓ
ﮬﺮ ﭼﯿﺰ ﭘﮧ ﺯﻭﺍﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

 
Mein Hoon Tera Khayal Hai Aur Chaand Raat Hai
Dil Dard Se Nidhaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Aankhon Mein Chubh Gayi Teri Yaadon Ki Kirchiyaan
Kaandhon Pe Gham Ki Shaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Dil Torr K Khamosh Nazaron Ka Kiya Mila?
Shabnam Kaa Yeh Sawaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Phir Titliyaan Si Urrne Lagi Dasht-e-Khuwab Mein
Phir Khuwahish-e-Wisaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Campus Ki Nehar Per Hai, Tera Haath Haath Mein
Mousam Bhi Laazawal Hai  Aur Chaand Raat Hai

Meri Tou Poor Poor Men Khushbu Si Bus Gayi
Is Par Tera Khayaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Her Iik Kali Ne Aurh Liya Maatmi Libaas
Her Phool Per Malaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Chalka Saa Parr Raha Hai Wasi Wehshaton Ka Rung
Her Cheez Pay Zawaal Hai Aur Chaand Raat Hai……

No comments:

Post a Comment