affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar

Tuesday, 20 August 2013

Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar

Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar
Chahat nahi tou hum se adakaarian na kar


Lafzon se khalne ki zaroorat nahi tujhe
sada dilon ke saath yeh fan.kaarian na kar


Jin Se nahi lagao unhain munh bhi mat laga
Be waja har dukan se kharidaarian na kar


Tu shakh-e-gul hai koi amar bail tu nahi
Wabasta har shajar se wafadaarian na kar


Iss bheer se pare bhi hai abad khalq-e-shair
Apne hi doston ki taraf darian na kar


Iss shugal-e-bejawaz se kya faida tujhe
Dil mat dukha kisi ki dil aazaarian na kar


Taza hai dil pe dagh agar pehli choat ka
Phir dosri shikast ki tayyarian na kar

No comments:

Post a Comment