affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Hansata tha mujh ko, kabhi rula bhi deta tha

Wednesday, 21 August 2013

Hansata tha mujh ko, kabhi rula bhi deta tha

Hansata tha mujh ko, kabhi rula bhi deta tha
kar k wo mujh se aksar wade bhula bhi deta tha


be-wafa tha bohat magar dil ko achha lagta tha
kabhi kabahar batain muhabbat ki suna bhi deta tha


Thaam leta tha hath mera kabhi yoon he
khud kabhi hath apna mere hath se chhura bhi leta tha


kabhi be-waqat chala aata tha milny ko
kabhi qeemti pal muhabbat k ganwa deta tha,


Ajab dhoop chhaon sa mizaj tha us ka
moutbar bhi rakhta tha, nazron se gira bhi deta tha

No comments:

Post a Comment