affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Is Dunia-e-Hasrat Mein Bare Hum Ne Azab Dekhe

Thursday, 8 August 2013

Is Dunia-e-Hasrat Mein Bare Hum Ne Azab Dekhe

Is Dunia-e-Hasrat Mein Bare Hum Ne Azab Dekhe,


Ishq Ki Lambi Manzil Thi Raste Sare Kharab Dekhe,


La Ilaj Is Marz Mein Kia Kia Ilaj Dekhe,


Kisi Ne Ghungro Bandh Liye Kai Peete Sharab Dekhe,


Tare Gin Gin Wqt Guzara Hijar Ki Lambi Ratain Dekhain,


Neend To Mujhe Qleel Aai, Jagrate Behisab Dekhe,


Sohni Mahiwal Shereen Farhad Mohabbat bemisal Dekhi,


Sassi Punoo Laila Majno Heer Ranjha K Bad Dekhe,


Wafa Hai Riasat Apni Phir Bhi Hum Ghreeb Thehre,


Bewafai Ka Taaj Pehne Kitne Hum Ne Nawab Dekhe,


Kia btaon Jab Neend K Us Lamhe Mein Kia Dekha,


Wohi Tanhai Wohi Judai Us Se Milne K Bas Khawab dakhe..................!

No comments:

Post a Comment