affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main

Thursday, 8 August 2013

Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main

Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main
Jee Karta He Tujhe Khud Sanwaroon Sajaoon Main

Mehndi Ki Khushboo K Saat Teri Sansoo Main Utroon
Ho Aisa K Teri Hathelioon Main Khud Ko Bikhraoon Main

Har Khushi Ki Tarha Teri Zaat Main Rahoon Har Lamhe
Tere Mukhre Pe Kiran Si Ban Kar Muskaraoon Main

Jaise Hawa Ati He Jaise Chandni Ati He Ghar Tere
Pata Tujhe Na Chale Is Andaz Se Kabhi Aaoon Main

Tere Dil Main Samaa Jaoon K Aisa Hi Ho Jae
Kabhi Darkan Ban Kar Tere Dil Ko Dharkaoon Main

Wo Jo Khanakti Hain Chamakti Hain Teri Nazook Kalayoon Main
Ho Aisa K Khud Hi Wo Choraiaan Ban Jaoon Main

No comments:

Post a Comment