Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hai
Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua
Mujhey toh khair tera intezaar karna hai
Hawa ki zadd mai jalaaney hain ansoo-on kay chiraagh
Kabhi yeh jashn sar-e-rah guzaar karna hai
Wo muskura kay nayee waswason mai daal gia
Khayal tha keh usay sharmsaar karna hai
Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut mai kabhi
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai
Tairay firaaq mai din kis tarhan kattey apnay
Keh shugal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai
Chaloo yeh askh hi moti samajh kar baich ayeen
Kisi tarhan toh humein rozgaar karna hai
Kabhi toh dil mai chupay zakham bhi numaayan hon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
Khuda khabar yeh koi zidd keh shauq hai "Moshin"
Khud apni jaan kay dushman say pyaar karna hai
No comments:
Post a Comment